Nofollow and Dofollow Link :- Search engine optimization me Nofollow and dofollow link ka bahut zyada importance hai. Ye SEO ke un common words me se ek hai jinka pata har blogger ko hona chahye. Is post me hum Nofollow and dofollow link ke bare deatail se janege.
Jub kabhi bhi aap apne site ko kisi site se link karte hai ya aapki site se koi site link hoti hai to link ko kis tarah se treat karna hai ye bahut important hai, Kyu ye decide karta hai ke search engine un links ke sath kaise behave karega. To aaeye jante hai ke Nofollow and dofollow link ka kya matlab hai.
Nofollow and Dofollow Link :
No follow link aisa link hota hai jise search engine bot follow nahi kar pata hai. Aise link ko sirf insan hi follow kar sakte hai. Iska matlab hai ke agar website owner aapke site ke sath no follow link se link kar raha hai to link juice pass nahi hota hai. Google aise link ko consider nahi karta hai aur aise link ka wieghtage bahut kaam hota hai. Aise jagah pe no follow link se link karna ek accha practice hai jaha pe aap link-juice pass karna nahi chate hai.
Nofollow Link ka Ex:
<a href=”https://billi4you.in/” rel=”nofollow”>Google</a>
Dofollow link aisa link hota hai jo google aur dusre search engine ko follow karne ke liye allow karta hai. Dofollow link ko follow link bhi kaha jata hai. Sabhi link dofollow hi hote hai lekin jub unme nofollow attribute add kar diya jata hai to wo nofollow link ban jate hai. Dofollow link-juice aur backlink pass karta hai. Dofollow se backlink kiye gaye link ko search engine bot aur insan dono follow karne me capable hote hai.
Dofollow link ke Ex:
<a href=”http://www.billi4you.com/”>Google</a>
Nofollow and Dofollow Link Ka Use Kaha Kare ?
Dofollow :
- Agar aap ek high quality website ko link kar rahe hai to aapko dofollow link ka use karna chahye
- Reference ke liye bhi aapko Dofollow link ka use karna chahye
Nofollow :
- Low quality sites (porn, gambling) pe nofollow link ka hi use kare.
- Comment section me nofollow link ka use kare
- Affiliate link
- Unrelated site pe nofollow link ka use kare
Nofollow and Dofollow Link Ka Pata Kaise Kare ?
Jis link ka aap pata lagana chahte hai ke wo nofollow link ya dofollow link hai to aap to apne browser me link pe right click kare aur “Inspect Element” ke option ko choose kare. Ek naye window me us link ka HTML code open ho jayega jis se aap pata kar sakte hai ke wo nofollow hai ya dofollow.
Nofollow link ke types :
- Robots Meta Tag: <meta name=”robots” content=”nofollow”>
Aise link bots/crawlers/spiders ko full page ke link ko follow karne se rokta hai.
- Link Attribute: <a href=”http://www.google.com” rel=”nofollow”>
Aise link ko search engine page ke ranking ke term me count nahi karat hai.
Nofollow and Dofollow SEO ka ek important factor hai. Is se aapke site ke ranking pe bahut impact parta hia isliye linking ke waqt is baat ka dhyan rakhe ke aapko kis type ka link karna chahye.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Nofollow and Dofollow Links ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?