Kya aap apne site pe WordPress logout link ko add karna chahte hai. Agar aap WordPress pe membership site, bbPress forum, eCommerce store, ya ek learning management system (LMS) run kar rahe hai to ek prominent logout link aapke user ke liye helpful hoga. Is article me hum aapko batayenge ke aap navigation menu aur dusri jagah pe WordPress logout link kaise add kare.
WordPress Ke Liye Logout Link
Normally aap apne WordPress site se log out hone ke liye logout link pe click karte hai. Ye link WordPress admin bar ke top right corner me aapki profile picture ke niche located hai.
Aapko sirf itna karna hai ke apne mouse ko username ke upar le jana hai aur wo dropdown menu me dikhne lagega.
Agar aapne ya aapke site administrator ne WordPress admin bar ko disabled kar diya hai, to aap WordPress logout link ko nahi dekh payenge.
Yahan pe aapke liye ek acchi baat ye hai ke current WordPress session se log out hone ke liye aap WordPress logout link ko direct access kar sakte hai.
Aapke WordPress site ka logout link is tarah ka dikhega:
http://example.com/wp-login.php?action=logout
Upar diye gaye example me example.com ko apne domain name se replace karna na bhoole.
Aap apne WordPress site se log out karne ke liye is link ko direct apne browser window me access kar sakte hai.
Jub aap WordPress logout link pe visit karte hai to ye aapko warning page pe le jata hai. Aapko ye confirm karne ke liye logout link pe click karna hoga ki aap real me log out karna chahte hai.
Aap apne WordPress site par kahi bhi is logout link ko manually add kar sakte hai. To chalye dekhte hai ke aap ise kaise kare.
WordPress Navigation Menus Me Logout Link Kaise Add Kare
Apni site ke navigation menu me WordPress logout link add karne se yeh aapki site pe kisi bhi page pe easily accessible ho jayega.
Simply aap WordPress admin me Appearance » Menus page pe jaye. Uske baad aapko custom links tab pe click kar ke use expand kar ke URL field me logout link ko add kar sakte hai.
Aisa karme ke baad aap ‘Add to menu’ button pe click kare aur aapko link right column me dikhega. Aap iske position ko simply up aur down drag kar ke adjust kar sakte hai.
Iske baad aapne changes ko store karne ke liye “save changes” pe click karna na bhoole.
Ab aap apne website pe visit kar ke navigation menu me logout link ko dekh sakte hai.
Menu me logout link add karne ka problem ye hai ke ye aapke sabhi users ko dikhega. Yeh sirf un users ko logout dikhne ke liye samajh me aata hai jo real me login hai.
Sidebar Widget Me WordPress Logout Link Add Kare
WordPress ek default widget ke sath aata hai jise meta kaha jata hai. Ye widget users ke liye logout ya login link ke sath useful links ka ek bunch hai.
Kuch log Meta widget me dusre link ko zyada useful nahi samajhte hai.
Alternatively, aap plain HTML me logout link ke sath ek plain text ya custom HTML widget bhi add kar sakte hai. Yahan pe diye gaye code ko aapko add karna hoga.
<a href="http://example.com/wp-login.php?action=logout">Logout</a>
WordPress Me Dynamic Login / Logout Link Add Kare
Agar aap WordPress me logout link ko add karte hai to problem ye hai ke ye user ke login status pe change nahi hota hai.
Ise fix karne ke liye aap plugin ko user ke session ke base pe login or logout link ko dynamically display karne ke liye plugin ka use kar sakte hai.
Sab se pahle aapko Login or Logout Menu Item plugin ko install karna hoga. Detail ke liye aap hamare step by step guide WordPress Plugin Install kaise kare ko follow kar sakte hai.
Plugin ko install aur activate karne ke baad aap WordPress admin me Appearance » Menus me jaye aur Login/Logout link ko menu me add kar sakte hai.
‘Save Menu’ pe click karne ke baad aap apne WordPress site ko check karenge to menu me aapko link show hoga.
Jub aap link pe click karenge to wo aapko login page pe le jayega. Agar aap allready login honge to aap logout ho jayenge.
Ummid hai aapko logout link add karne ka ye article (WordPress logout link kaise add kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.