What is Keyword Research in Hindi: Apni website ko kisi khas keyword ke liye optimize karne me keyword researching aapka pahla step hai. Keyword research karte waqt bahut si aise baate hai jinka aapko dhyan rakhna parta hai. Aaj is article me hum aapko keyword research ke bare me batane wale hai ke keyword researching kya hai, aur ye SEO ke liye kyu important hai? aur hum keyword research kaise kare.
Keyword Research Kya Hai ?
Jub kabhi bhi hum search engine me kuch bhi search karte hai to kisi khas words ya sentence ka use karte hai. Example ke liye maan le ke agar hame delhi ke best hotel ke bare me jannna hoga to hum google pe search karenge “best hotel in delhi” to ye ek keyword hai. Aise hi keywords ki help se log search engine pe kuch bhi search karte hai. Aise hi bahut se log honge jo same keyword ka use karke google ya dusre search engine pe apne chizon ko search karte hai.
Keyword Research inhi term ko search karne ke liye kiya jata hai taki un popular terms ko search kiya ja sake jo log search engine pe apne content ko dhundhne ke liye use karte hai. Keyword research SEO ka ek important term hai aur iski help se hum apne site ke rank ko badha sakte hai.
Agar hum apne blog ko search engine pe high rank gain karna chahte hai to hame keyword research karna chahye. Iski help se aapko pata chal jayega ke aap kis keyword ka use apne blog me kare ke zyada se zyada traffic aapke site pe aaye aur aapki site search engine pe rank ho jaye.
To aise keywords ka pata lagana jispe zyada traffic aaye use hi keyword research kahte hai. Keyword research me hum aise keywords ka pata lagate hai jispe traffic zyada ho aur jiski competetion kam ho. Aise keyword jiske competetion bahut zyada hoti hai usko rank kar pana mushkil hota hai. Yahi wajah hai ke hame research karte waqt aise keywords ka pata lagana parta hai jispe traffic bhi achi ho aur competetion bhi kam ho taki us keyword ko search engine pe easily rank kiya ja sake.
Keyword Research Kaise Kare ?
Keyword research karne ke liye bahut saare free aur paid tool available hai jinki help se aap research kar sakte hai. Kuch top tools ke naam niche diye gaye hai jinki helps se aap keyword research kar sakte hai.
- In keyword tool ki help se aap relevant keyword dhoondh sakte hai.
- YE tool aap ke dhundhe gaye keyword se related suggestion bhi provide karta hai.
- Kisi bhi keyword ke liye kitne search hote hai ye find kar sakte hai.
- Keyword ke competition ko analyze kar sakte hai.
- Kaun se site us keyword ke liye kis position pe rank kar rahi hai ye bhi jaan sakte hai.
Keyword Research Ke Benefits :
- Agar aap apne blog ko keyword research kar ke likhte hai to aapke blog ki traffic increase ho jayegi.
- Agar aapne low competition wale keyword ko target kiya hoga to jald hi aapka page google pe rank ho jayega.
- Keyword research se aapko apne niche ke competetion ka idea lag jayega.
- Keyword research se aapko apne blog pe blog post likhne ke ideas bhi mil jayenge
- Aapke keyword ke rank hone se aapke site ki domain Authority bhi increase hogi.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko Keyword Researching ka ye article ( Keyword Research Kya Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.