WordPress duniya ka sabse zyada popular blogging platform hai. Poori dunya me 33% se zyada website WordPress pe bani huyi hai. Reliability ke sath hi is platform ko use karna bahut aasan hai jiski wajah se poori duniya me millions log ise use karte hai. Bahut sare users aise hai jo most important WordPress terms ko nahi jante hai. Is aaj is post me hum aapke samne WordPress glossary ki ye list aapke liye laye hai.
Aisa isliye hai kyuki hum me se jitne log WordPress ka use karte hai unme se sabhi log tech savvy user ya developer nahi hote hai. Inme se zyadatar log hamare ya aapki tarah hote hai jo ek blogging platform ki talash me hote hai taki wo khud ko express kar sake ya phir apne product ya services ki marketing kar sake.
Agar aap WordPress ka use kar rahe hai aur aap important WordPress terminology ke bare me nahi jante hai jinhe is platform pe use kiya jata hai, to aap ek aise car ke driver hai jo car ke various parts ke bare me nahi janta hai. To aise car owner ke exploit hone ke chances bahut hai. Is liye aaj is post me hum aapko kuch common WordPress terms ke bare me batayenge jinhe aapko zaroor janna chahye.
Agar aap WOrdPress ka use nahi bhi karte hai to yaha pe diye gaye terms aapke future use ke liye important ho sakta hai, kyuki kuch terms aise hai jo overall sabhi web development me use kiye jate hai.
Important WordPress Terms
1. Dashboard/Frontend
Dashboard wo pahli screen hai jise aap apne admin section me login karte waqt dekhte hai. Dashboard ko backend ke naam se bhi jana jata hai.
Ye WordPress interface ka wo part hota hai jo visitors aur readers ko kabhi dekhne ko nahi milta hai kyu ki ye unse hidden hota hai. Ek administrator hi WordPress backend ko access kar sakta hai.
Agar aap ek administrator hai to aap editors, writers, guest authors ko is dashboard ka access provide kar sakte hai.
Dashboard ko access karne ka default URL domain.com/wp-admin hai.
WordPress Ka dashboard kuch is tarah ka dikhta hai.
Backend se aap apne blog posts ko edit aur schedulekar sakte hai, page create karne ke sath hi theme ko customize kar sakte hai, advertisements add kar sakte hai, aur plugins aur themes ko install/disable kar sakte hai.
Agar aapne inme se koi bhi kaam kiya hai to aapne dashboard pe kaam kiya hai.
WordPress dashboard ki sab se khaas baat ye hai ke aap zero experience ke bawajood bhi ise easily manage kar sakte hai. Yahan pe aapko kisi bhi tarah ke code ko janne ki zaroorat nahi hai. Sab well explained aur graphical user interface (GUI) form me aapko milega.
Yahi reason hai ke blog ya website create karne ke liye ye sabhi tarah ke logo me WordPress bahut popular hai.
Ab hum frontend ki baat karte hai.
Frontend blog ka interface hota hai jo visitors ke liye visible hota. Example ke liye jaise is waqt aap WordPress frontend hamare is article ko parh rahe hai.
Frontend me blog layout, design, color, navigation bar, sidebars, published posts, active banners, etc shamil hai. WordPress themes ki help se aap WordPress blog different look de sakte hai.
Kuch Plugins ki help se aap bhi aap apne front end me kuch changes la sakte hai. Page builder ek aisa hi plugin hai jiski help se aap simply drag and drop element ki help se kisi bhi tarah ke frontend layout ko design kar sakte hai. In plugins ko use karna bahut easy hai. Aap kisi bhi problem ke bina easily inhe use kar sakte hai.
2. FTP
Har ek self-hosted WordPress user ke liye ye zarori hai ke use pata ho FTP Kya hota hai. FTP (File transfer protocol) ek data transfer protocol hai jo two different computers ya servers ko independently file exchange karne me help karta hai.
Technically jub aap apne blog post me image ko add karte hai to ye hamare web server pe upload hota hai. Isi tarah se WordPress theme aur plugins aapke web-server pe add hota hai. FTP ki Help se aap apne in file ko FTP Client ki help se access karte hai.
Ye WordPress related issues ke troubleshooting ke liye ya heavy files ko upload karne ke liye ya phir WordPress ka backupn lene ke liye important hai.
Ye kuch free aur paid FTP clients hai jinhe aap use kar sakte hai:
- cURL (Free)
- FireFTP (Free)
- CrossFTP (Free)
- SmartFTP
- Cute FTP
- Cyberduck
Zyadatar log generally FileZilla ka use karte hai. Filezila setup karne ke liye aap is post ko follow kar sakte hai.
FTP ki help se aap easily cPanel ka use kiye bina apne computer se website server pe file ko upload kar sakte hai. File upload karne ke liye aap hamare is article ko follow kar sakte hai.
FTP ka use apne file ko server se apne computer pe backed-up karne ke liye transfer karne me help karta hai. Ek bar apne desktop pe use setup karne ke baad aap hostname, username, password, aur port ki help se easily login kar sakte hai.
3. MySQL
MySQL ek open source database management system (DMS) hai jise zyadatar internet providers or hosting companies database server ke taur pe provide karti hai.
Apne blog ke information ko store karne ke liye WordPress blogs mainly MySQL databases pe depend karta hai. Aap apne hosting company ke provide kiye gaye cPanel se easily MySQL ko access kar sakte hai. Iske sath hi aap:
- WordPress database ko optimize kar sakte hai.
- Database ka backup le sakte hai.
- table ko drop kar sakte hai.
Halaki 99% cases me aapko MySQL database se directly deal nahi karna parta hai. Aap in sabhi kaam ko karne ke liye plugin ka use kar sakte hai. WordPress bacxkup ke ye kuch articles hai jinhe aap follow kar saktehai.
Agar aap apne WordPress blog ko Bluehost, SiteGround, GoDady ya kisi dusre hosting pe install karte hai, to ye automatically aapke liye blog create karta hai aur usi ke sath MySQL Database bhi automatically create ho jata hai.
Ho sakta hai ke aapko ise kabhi bhi istemal karna na pare, lekin agar aap iske bare me knowledge rakhte hai to ye aapke liye accha hai.
4. Permalinks
Permalinks hamare post, page, categories, download links, aur hamare website ke dusre cheez ka permanent addresses or URLs hota hai.
Agar aap chahte hai ke log aapke site ke kisi khas post pe jaye to aap permalink joki address bar me hota hai use aap logo ko bhej sakte hai.
Jaise https://billi4you.in/category/wordpress/ hamare WordPress category ka permalink hai.
WordPress me different types ke permalinks structures hote hai jise hum apne site ke adopt kar sakte hai. Aaap different permalinks me se jo aapko suite kare use choose kar sakte hai.
Aap jis bhi permalink ko select kar bus itna dhyan rakhe ke search engine bot ko aapke page ya post ko permalink ki wajah se find karne me koi problem na ho. WordPress permalinks ke ye kuch guide hai jinhe aap follow kar ke permalink me aane wale issues ko fix kar sakte hai.
- WordPress me SEO friendly Permalink kaise create kare
- WordPress me traffic loose kiye bina Permalink kaise change kare
- WordPress URL Change Kaise Kare
5. WordPress Plugins
Jaha tak WordPress Ki baat hai to Plugins WordPress ke sabse zyada talk kiye jane wale topics me se ek hai.
Plugins users ko apne post me add additional features add karne me help karta hai. WordPress plugins directory me kayi hazar plugins hai jinhe aap easily use kar sakte hai.
Plugins ki help se aap blog speed ko increase kar sakte hai, seecurity ko enhance kar sakte hai, site backup kar sakte hai, shortcodes add kar sakte hai, SEO ko improve kar sakte hai.
7. WordPress Themes
WordPress glossary me plugins ke baad themes sabse zyada popular WordPress terms me se ek hai. Theme hamare blog ke functionality ko determine karne me ek important role play karta hai. Plugins ki tarah theme bhi blog speed ko increase karne me help karta hai.
WordPress Themes ko templates ke naam se bhi jana jata hai. Aap apne site pe free aur paid dono tarah ke themes ka use kar sakte hai.
Naye log zyadatar free themes ka use karte hai. Wahi additional functionality ke liye aap premium themes ka use kar sakte hai. Premium themes me built-in premium plugins hote hai jo enhanced responsiveness offer karta hai.
Themes ke dekh bhal ke liye time to time updat kiya jata hai taki iske security issues aur bugs ko fix aur user experience ko improve kiya ja sake.
Ye kuch premium WordPress themes ke list hai:
- Genesis
- GeneratePress
- ThriveThemes
- Elegant Themes
- Envato
Theme ke regarding aap in post ko follow kar sakte hai:
- Apni site ke liye Best WordPress Theme kaise select kare
- Best WordPress Theme Kahridne ke liye Popular Websites
Ummid hai aapko WordPress glossary ka ye article (important WordPress terms) informative lagi hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.