Waqt ke sath sath search engine aur zayada smarter aur intelligent ho raha hai, isliye ek achha search ranking pana aur mushkil hote ja raha hai. Ab search ranking me top rank par pahunchne ke liye sirf quality content ko hi nahi, balki bahut sare aise factors hain jise apko follow karna hoga. To chaliye top best practices ko follow kar ke hamlog janenge ki Search Engines Ke Liye Images Optimize Kaise Kare ?
Agar aap apne website par image SEO ko sudharna chahte hain to apke liye apne website ke images ko optimized rakhna bahut zarur hai. Proper optimized imgaes aapke website par new visitors lane me bhi help kar sakta hai.
Is Article me Padhen :
- SEO aur Speed ke liye apne images Optimize kare
- Alt text kiya hai ?
- Alt text vs title
- Alt text vs caption
- WordPress images me alt text, title, and caption add kare
- Images ke liye caption ka use kab kare
- WordPress me attachment pages ko Disable kare
- Image SEO me sudhar ke liye Additional tips
SEO aur Speed ke liye apne images Optimize kare :
SEO aur user experience me speed ka bahut bada role hota hai. Search engines hamesha fast websites ko hi higher rank deta hai.
Images aapke page ke loading time ko badhata hai. “Page” text ke compare me kisi bhi image ko download karne me zayada time leta hai, jiska matlab hai ki agar apke page me download karne ke liye koi badi images file hain to apka page slow ho jaega.
Aapko sure hone ki zarurat hai ki, aapki site par jo bhi uploaded images hain wo web ke liye optimized hai. Iska use karna thora mushkil ho sakta hai kyunki bahut sare beginners graphics aur image editing ke liye expert nahi rahte hain.
Aapke website par kisi bhi image ko upload karne se pahle thik se kaise optimize kiya jaye, Detail me janne ke liye aap hamare separate article Web Performance Ke Liye Images Optimize Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Images optimize karne ka sabse acha tarika apne computer par Adobe Photoshop jaise photo editing software ka use kar ke unhe edit karna hai. Ye aapko ek chhota file size create karne ke liye sahi file format choose karne ke liye allow karta hai.
Aap WordPress ke liye ek image compression plugin jaise reSmush.it, EWWW Image Optimizer, Compress JPEG & PNG images, ShortPixel Image Optimizer, WP Smush etc ka bhi use kar sakte hain. Ye image optimizer plugins aapko WordPress par image upload karte time file size ko automatically kam karne ke liye allow karta hai.
Alt text kiya hai ?
Alt text ya alternative text ek HTML attribute hai, jise img tag me add kiya jata hai. Jiska use web page par image display karne ke liye kiya jata hai. Ye plain HTML code me iss tarah se dikhta hai :
<img src="/fruitbasket.jpeg" alt="A fruit basket" />
Ye website owners ko plain text me images ko describe karne ke liye allow karta hai. Alternate text ka main purpose visually corrupt users ke liye alt text ko padhne ke liye screen readers ko enable kar ke accessibility ko improve karna hai.
Alt text bhi image SEO ke liye important hai. Ye search engines ko image ke context ko samjhne me help karta hai. Modern search engines image ko pahchan sakta hai aur artificial intelligence ka use kar ke iske content ko pahchan sakta hai. Wo abhi bhi apne khud ke words me image ko describe karne ke liye website owners par bharosa karta hai.
“Alt text” Google image search me images ke sath shamil rahta hai, Jo ki users ko image ko samjhne me help karta hai aur zayada visitors pane ke chances ko behtar banata hai.
Normally apke website par alt text dikhai nahi deta hai. Agar apke website par koi image broken hai ya nahi mil sakti hai to aapke users iske samne broken image icon ke sath alternate text dekh paenge. Niche diye gaye screenshot me broken image icon ke sath “dog walking” alt text hai.
Alt text vs title :
Alt text ka use accessibility aur image SEO ke liye kiya jata hai, jabki title field ka use media search ke liye WordPress ke zariye internally kiya jata hai.
WordPress hamesha image ko display karne ke liye use kiye jane wale actual code me alt tag ko insert karta hai. Title tag database me images ko search karne aur display karne ke liye store kiya jata hai.
Past me, WordPress ne HTML code me title tag bhi insert kiya tha. Lekin ye accessibility ke point of view ke according ek ideal situation nahi tha, Yehi reason hai ki unhone ise hata diya.
Alt text vs caption :
Search engines aur screen readers ke liye image ko describe karne ke liye alt text ka use kiya jata hai. Dusri taraf caption ka use sabhi users ke liye images ko describe karne ke liye kiya jata hai.
Niche diye gaye screenshot me aap dekh sakte hain ki Alt text aapke website par dikhai nahi de raha hai jabki image ke niche caption dikhai de raha hai.
Website par achhe image SEO ke liye alt text important hota hai. Caption optional rahta hai aur iska use sirf tab kiya ja sakta hai jab aapko websites ke visitors ko images ke bare me additional information provide karne ki zarurat hoti hai.
WordPress images me alt text, title, and caption add kare
Alt text, title, aur caption se image ka metadata banta hai. Jise aap images ko WordPress me upload karte time add kar sakte hain. Jab aap WordPress site par default image block ka use kar ke ek image ko add karte hain to WordPress apko image ke liye caption aur alt text add karne ke liye allow karta hai.
WordPress par image ko upload karne par, WordPress automatically file name se title generate karta hai. Aap WordPress par image upload karne ke baad bhi alt text, title, and caption ko change bhi kar sakte hain.
WordPress uploaded image ke upar double tap karne ke baad “media library” button par click kare, Then “media uploader” popup display hota hai, Jahan aap uploaded image ke liye apna khud ka custom title, alt text ya fir caption enter kar sakte hain.
Images ke liye caption ka use kab kare
Caption aapko apne sabhi users ke liye ek image par additional details provide karne ke liye allow karta hai. Ye screen par search engines aur screen readers ke sath sabhi users ko dikhai deta hai.
Niche diye gaye scenarios me dekhiye ki caption ka use kab kare :
- Family or event photos par
- Aise images jahan background story ko describe karne ke liye additional explanation ki zarurat ho.
- Product image galleries par
Zayadatar mamlon me, Aap article content me image ko explain karne ke able honge.
WordPress me attachment pages ko Disable kare :
WordPress apke post aur pages par upload hone wale sabhi images ke liye ek page create karta hai. Uss page ko attachment page kaha jata hai. Ye page actual image ka bada version show karta hai aur kuch nahi.
Ye aapke search rankings par negative SEO impact daal sakta hai. Search engines uss pages par consider karta hai jisme thora bhi low quality wala ya thin content wala koi text nahi ho. Ye hi reason hai ki ham users ko aapki website par attachment pages ko disable karne ke liye recommend karte hain.
Aisa karne ke liye sabse asaan tarika apne WordPress website par Yoast SEO plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad ye automatically attachment URLs ko turn off kar deta hai. Aap “SEO » Search Appearance” page par ja kar Media tab par click kare.
Yaha make sure kare ki, “Media & attachment URLs” option “yes” par set hai.
Agar aap Yoast SEO plugin ka use nahi kar rahe hain to aap Attachment Pages Redirect plugin ko install kar sakte hain. Ye plugin logon ko attachment page par uss post par redirects karta hai jahan image display hota hai.
Image SEO me sudhar ke liye Additional tips :
Sirf Alt tag ko add kar ke apne image SEO me shudhar nahi laya ja sakta hai. Niche diye kuch Additional tips hai jin par aapko apne blog post me image add karte time dhayan dena chahiye.
1. Write descriptive alt text
Bahut sare beginners hamesha images ke liye ek ya do word ka use karte hain. Ye image ko generic aur rank karne me mushkil banata hai.
2. Use descriptive file names for your images
Apne images ko DSC00434.jpeg ke roop me save karne ke bajaye, Aapko unhe thik se name dene ki zarurat hai. Unn keyword ke bare me soche jo users uss imgae ko dhundne ke liye type karenge. Apne image file names ko zayada specific and descriptive bnaye. For example, “red-wooden” house.jpeg se better name hai.
3. Provide context to your images
Har roz Search engines pahle se zayada smarter hote ja raha hai. Wo images ko achhi tarah se pahchan aur categorize kar sakta hai. Search engines ke liye apko images ko topic provide karne ki zarurat hai.
Aapke images ko post ya pages ke sare topic se milta julta hona chahiye. Ye aapke article me sabse zayada milte julte text ke pass images ko rakhne ke liye bhi helpful hai.
4. Follow the SEO best practices
Aapko apne website ke liye sare SEO guidelines ko follow karna bhi zaruri hai. Ye images search ke sath aapke sare search rankings me sudhar lata hai.
5. Use original photographs and images
Bahut sare free stock photography websites hain jinka use apko pane blog post ke liye free image dhundne ke liye kar sakte hai. Stock photos ke sath problem ye hai ki wo hazaro website ke zariye use kiye jate hain.
Original photographs use karne ya quality wali images create karne ki koshish kare jo apke blog ke liye unique ho. Ham jante hai ki maximum blogger photographers ya graphic designers nahi hote hain. Lekin fir bhi mai aapko yaha kuch achha online tools suggest kar rahi hu jaise Visage, Canva, Pablo by Buffer, Piktochart etc, aap ise apne website ke liye graphics create karne ke liye use kar sakte hain.
Ummid hai aapko ye article (Image Optimize) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?