Google map offline: Google Maps sabse popular aur reliable mapping/navigation services me se ek hai. Google Map ko smoothly kaam karne ke liye ek acche internet ke connection ki zaroorat hoti hai. Kuch log Google Map ko daily use karte hai aur poori duniya me ghoomne ke liye isi pe depend hai. Hame internet se related kafi issues ko face karna parta hai. Aise me agar hame aisi jagah pe jana ho jahan pe Internet available na ho to Google Map ka offline feature aapki kafi madad kar sakta hai. Google Map ka offline feature hame kis bhi area ke Map ko download karne aur internet connection ke na hone pe aapko Map ko use karne ki facility provide karta hai. To aaeye jante hai ke hum Google Map ko offline kaise use karen.
Also Read: Google Map Group Feature
Google Map Offline Kaise Use kare
- Apne Android phone aur tablet pe Google Map App ko open karen
- Is baat ka dhyan rakhen ke aap Internet se connected ho aur Google Map me sign in ho
- Jis jagah ka pata karna hai use search karen
- Niche me Jagah ke Name aur address pe click karen.
- Location/area mil jane ke baad offline save karne ke liye three line ke option pe click kar ke menue me offline Maps ke option ko select karen.
- Ab screen ke top me aaye select your own map ke option pe click karen.
- Ab apko screen ke niche me”download this area” ka option dikhega us pe click karen
- Blue square box me us Area ko select karen jise aap download karna chahte hai.
- Download area ko bara aur chota banane ke liye screen pe pinch kar sakte hai.
- Aap dekhenge ki file ka size automatically screen ke niche update ho jayegi.
- Jitna bara size aap select karenge utna zyada file ka size hoga.
- Jub aap Map ke size ko select kar len to download ke option pe click karen.
- Map ko download ho jane ke baad aap usi tarah se use kar sakte hai jaise aap online ho kar use karte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai