Google Home Smart Speaker:Internet Search Giant Google ne apne Smart Speakars ke liye Hindi Language Support Roll-Out kar diya hai. Iska matlab ye hai ke ab Indian User Google Home devices se hindi me baat kar sakte hai. Agar aap bhi apne Google Home devices pe Hindi Language Set karna chahte hai to hamare diye gaye Step ko Follow karen.
- Google Home App ko apne Google Play Store ya Apple Store se apne Smartphone pe Download karen
- Niche Right side me Account icon pe click karen
- Setting pe tap karen
- Assistant Tab pe jaye
- Language Select karen
- Add Language pe tap karen
- Hindi Language Dhoonden
- Google Home pe Assistance se Conversation start karne ke liye ‘Ok Google’ kahan.
Ek baat aapko bata den ke User Ya to English Language set kar sakte hai ya Phir Hindi dono Language ko sath me Use nahi kar sakte hai.
Hindi Support Standard Google Home Functions ke liye Valid hai. User Wheather Condition jan ne ke liye, Traffic aur Finance ki jankari ke liye, apni trip ko Plan aur Map karne ke liye Google Assistant se Quick Answer le sakte hai.
User Google Play Music service aur Gaana jaise Services ke liye Google Home Smart Speaker ke Assistant ka use kar sakte hai. User apni Voice se Speaker Tv aur dusre Device Connect karne ke liye iska Use kar sakte hai.
Haal me hi Google Assistant ne Airtel customer Service ke sath Integration kiya hiai taki customer ke account related Query ko jald hi resolve kiya ja sake.Ye feature Airtel user ko apne account balance, offer, billing related jankariyon ke liye question poochna Allow karega. Airtel ne kaha hai ke abhi ye suvidha kewal English Language me uplabdh hai jald hi ise Multiple regional language me Roll-out kiya jayega.
Also Read: Ab WhatsApp Android User Kar Payengen Group Chat Me Bhi Private Reply
अगर आपको यह आर्टिकल पसंद आया, तो कृपया वर्डप्रेस वीडियो ट्यूटोरियल्स के लिए हमारे YouTube Channel को Subscribe करें। आप हमें Twitter और Facebook पर भी फॉलो कर सकते हैं।