Virtual Private Network (VPN) aapke data ko secure aur private rakhne ka ek tezi se badhta hua security tool hai. Chahe hame streaming video, ya blocked social media ko access karna ho, ya phir public wi-fi use karte waqt apne information ko protect karna ho VPN ke use karne ke bahut sara advantage hai. To jante hai ke VPN kya hota hai aur iska use kaise karte hai.
What is a Virtual Private Network (VPN)?
Virtual Private Network ek connection ka method hai jo public aur private network jaise Wi-fi Hotspot aur Internet me security ko add karne ke liye istemal kiya jata hai. Apne network ko surakshit rakhne ke liye aur apne personal sensative data ko hacker se bachane keliye VPN ka istemal Corporates dwara kiya jata hai. VPN user ki security ko badhata hai. Halaki aaj kal personal VPN ka istemal kafi tezi se badhta ja raha hai.
VPN ke istemal se user ki privacy badh jati hai, kyu ki user ka initial IP address Virtual private network provider ke dwara badal diya jata hai. VPN network ko aap free ya paid dono tarah se use kar sakte hai.
VPN ki madad se hum un sites ko bhi open kar sakte hai jo Internet service provider ke dwara block kiya gya ho. Agar hum VPN se login hone ke baad kisi bhi site ko open karte hai to aapka connection encrypt ho jata hai. Aur is condition me ISP ko bhi pata nahi chalta hai ke aap kaun si website ko access kar rahe hai. To agar aap bhi apne phone me VPN ki madad se kisi block site ko access karne chahte hai to niche diye gaye steps ko follow karen.
Also Read: Youtube Dark Mode On And Off Kaise Karen
Mobile Me Android Setting Se VPN Kaise Setup Karen
- Apne Smartphone ke Setting me jayen aur Wireless & Networks section me ‘More’ pe click karen
- Iske baad VPN ke option ko select karen
- Top right corner pe aa rahe ‘+’ ke sign pe click karen
- Aapka Network Administrator aapko sabhi VPN information provide karega. Aap desired Protocols ko fill karen aur sabhi information ko enter karen. Aapko yahan pe VPN server ka IP ya Hotsname enter karna hoga jis se aap connect hona chate hai.
- Save Ke button pe Hit karen
- Aap VPN setting pe ja kar aur apne pasand ke VPN ko select kar ke connect kar sakte hai, aapko apna user name aur password enter karna hoga.
- Aap apne VPN setting Me ‘Always On VPN’ ke option ko bhi select kar sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.