Know Who Has Read your WhatsApp Group Message: WhatsApp Smartphone user dwara sab se zyada istemal kiye jane wale Application me se ek hai. Chahe Android user ho ya phir iOS user dono hi tarah ke user dwara WhatsApp sabse zyada use kiya jata hai. WhatsApp apne Interface ki wajah se kafi pasand kiye jane wala Application hai. Users ke badhte huye intrest ko dekhte huye WhatsApp aaye din apne user ke liye naye naye feature ko launch karta rahta hai. WhatsApp ne apne user dwara bheje gaye message ki jankari ke liye kayi feature launch kiye hai jinme se ek blue tick feature hai joke batata hai ke receiver ne aapke bheje huye message ko parha ya nahi.
Also Read: Apne Instagram Account ko Delete kaise karen
Blue tick feature ki madad se to hum apne individual contact ka pata laga pate hai ke us ne hamare message ko parha ya nahi. Par kya aapko pata hai ke Group me bhi bheje gaye messaage ka aap pata laga sakte hai ke kin kin logon ne aapke dwara bheje gaye message ko dekha. To agar aap bhi jan na chahte hai ke Group me aapke bheje gaye Message ko kin kin logon ne dekha to niche diye gaye step ko follow karen.
How to Know Who Has Read your WhatsApp Group Message
- Whats App open karen
- Us Group ko Select karen jisme bheje gaye message ke bare me aapko janna hai
- Apne message pe tap karen aur hold karen
- Three dot pe click karen
- Uske baad ‘Info’ ke option pe jayen
- Info ke option pe tab karne pe aapko unlogon ki list dikhegi jinhone aapke message ko dekha hoga.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.