How to monetize a Blogger Blog: Blogger me aap apne page pe AdSense aur dusre Add show kar ke paisa earn kar sakte hai. Har koi apne blog se earn karna chahta hai, agar aap bhi apne blog se earn karna chahte hai to aap apne niche diye gaye guide ko follow kare aur apne blog pe add show kar ke paise earn kare.
How to monetize a Blogger Blog
Sign up for AdSense
- Blogger pe Sign in kare
- Top left corner pe down arow pe click kare aur us blog ko select kare jispe aap add show karna chahte hai.
- Left corner me Earning pe click kare
- Sign up for AdSense pe click kare. Agar aapko ye button nahi dikh raha hai to iska matlab hai ke aap ka blog AdSense ke liye qualify nahi kar raha hai. Ye pata karne ke liye ke aapka blog pe AdSense ka option kyu nahi aa raha AdSense eligibility checklist ko check kare.
- Apne Google Account se form fill kare
Note: Aapke Application ko review hone me kam se kam 48 hours lagenge.
Post ke beech me Add show kaise kare
- Blogger pe Sign in kare
- Top left corner pe down arow pe click kare aur us blog ko select kare jispe aap add show karna chahte
- Left menu me Layout pe click kare
- Apne template ke hosab se
– “Blog Posts” me “Page Body,” pe Edit pe click.
-“Blog Posts” me “Main,” Edit pe click.
- “Show Ads Between Posts” ke side me aa rahe Box ko check kare
- Ad format, colors, aur kitni baar Add appear ho use select kare
- Save pe click kare
Blogger Earnings report
- Blogger pe Sign in kare
- Us Blog ko select kare jiska aap report dekhna chahte hai
- Earnings pe click kare
- “Visit AdSense for details of my earnings” pe click kare