Download images from instagram: Jaisa ke hum jante hai ke Instagram Photo sharing ke liye duniya ka most popular photo-sharing app hai. Bahut saare users ne Instagram pe apni bahut saari picture upload kar rakhi hai. Kabhi kabhi aisa hota hai ke hamare photo accidentally delete ho jate hai aur hamare pass bus ek photo bachti hai jo instagram pe hum ne upload kiya hota hai. Aise me agar hum apne Instagram ki photo ko download karna chahte hai to niche diye gaye steps ko follow kar ke hum Instagram photos ko Download kar sakte hai.
Ways to Download images from Instagram
Download images from Instagram On Android
Method one: DownloadGram
- Instagram open kare aur jis photo ko download karna hai uspe tap kare
- Image ke upar three dot ke icon pe tap kare
- “Copy Link” ke option ko select kare
- Is link pe click kar ke www.downloadgram.com DownloadGram’s website pe visit kare
- Link ko text box me paste kare
- “Download image” pe click kar ke image ko download kare
Method two: FastSave for Instagram
FastSave Instagram aapko ek sath multiple image ko download karne ka option nahi de sakta hai lekin ye pahle method se bahut tez kaam karta hai. Agar aap bahut saari pcture ko social network se download karne ka plan kar rahe hai to aap is option ke sath ja sakte hai.
- Play Store se FastSave for Instagram App download kare
- App ko launch kare “FastSave Service” feature ko on kare aur “Open Instagram” ke option pe tap kare
- Image ke upar three dot ke icon pe tap kare
- Apne device pe image ko download karne ke liye “Copy Link” option pe tap kare
- Apne downloaded image ko aap gallery me dekh sakte hai ya phir FastSave App me bhi dekh sakte hai.
How to Download images from Instagram On Pc
Jis website se Android pe Instagram ki photo ko download karne ke liye use kiya tha aap us website ko Pc se download karne ke liye bhi use kar sakte hai. Aapko wo hi Steps follow karne honge jo aapne Android ke liye kiya tha.
- Instagram ki website pe jaye aur us image ko open kare jise aap download karna chahte hai.
- Three horizontal dot pe click kare
- “Copy Link” ke option ko select kare
- Is link pe click kar ke www.downloadgram.com DownloadGram’s website pe visit kare
- Link ko text box me paste kare
- “Download image” pe click kar ke image ko download kare.
Method two: Download images from Instagram with Save-o-gram
Agar aap multiple image ko ek sath download karna chahte hai to Save-o-gram ek accha option hai.
- Save-o-gram ko www.save-o-gram.com se Download kare aur Install hone ke baad open kare.
- Instagram image ko dekhne ke liye Username, hashtag, or link ko text box me enter kare
- Us image ko select kare jise aap download karna chahte hai
- “Download selected photos” or “Download as ZIP file” ke option pe click kare