Delete Sent Messages in Facebook Messanger: Kabhi kabhi hamare sath aisa hota hai ke hume message kisi aur ko bhejna hota hai aur wo chala kisi aur ko jata hai. Message bhejne ke baad hame realize hota hai ke humne wo messsage kisi ghalat aadmi ko bhej diya, Aur hum nahi chahte ke wo us message ko parhe is liye hum us message ko delete karne ke ways ko talash karne lagte hai. WhatsApp ne pahle se hi ye is feature ko apne iOS aur Android user ke liye de rakha hai.
Ab social media Giant Facebook WhatsApp ki tarah apne messanger App ke liye unsend feature ko jald hi Roll-out karne wala hai jis se ghalti se bheje gaye message ko Delete kiya ja sakega. Unsend feature Android aur iOS version ke liye Roll-out hoga.
Abhi ye update phases me Roll-out ho raha hai, aur jald hi sabhi ke liye available ho jayega. Pahle phase me ye update jin countries ko milega wo hai Colombia, Bolivia, Poland aur Lithuania hai.
Also Read: Telegram Messenger Kya hai? Telegram Pe Naya Account Kaise Banayen
Agar aap ye janna chahte hai ke hum messanger me sent messages ko kaise Delete kar sakte hai to aap hamre is guide ko parh sakte hai. Jaisa ke humne aapko bataya ke ye update phased manner me Roll-out ho rahe hai to aapko is update ke liye kuch time ke liye intezar karna par sakta hai.
How to Delete Sent Messages in Facebook Messanger
- Apne smartphone me messenger App open karen
- Us chat window ko open karen jahan se aap message ko delete karna chahte hai.
- Message ko select karen aur press kar ke kuch time ke liye hold karen
- Select hone ke baad ‘Remove’ ke option pe tap karen
- Iske baad aapko do option dikhaye jayenge ‘Delete for Everyone’ aur ‘Delete for you’
- Message ko Delete karne ke liye ‘Delete for Everyone’ ke option ko select karen
- Aapka message Delete ho jayega
Note: Message ko send karne ke baad us message ko delete karne ke liye aapke pass 10 minute ka time hoga. 10 minute ka time guzar jane ke baad ‘Delete for Everyone’ ka option available nahi hoga.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.