Create 3D Photo on Facebook: Facebook ne apne naye feature jise 3D Photo ke nam se jana ja raha hai use Roll-out karna shuru kar diya hai jo ke aapki image ko News feed aur VR mode dono me images ko ek 3D look dene ke liye ek additional layer provide karta hai.
Ye feature foreground aur background ke bich ke distance ko capture karta hai taki photo me movement aur depth ke sath lifelike sense create kiya ja sake.
Ye Feture abhi iPhone me available hai aur user compatible dual lens smartphone me portarait image capture kar 3D photo ke roop me facebook pe share kar sakte hai.
Facebook pe 3D me upload kiye gaye photo user ko 3D me scroll, Pan, aur tilt karne ke permission denge. 3D photo ko VR mode me Oculus Go, Oculus Browser ya Firefox on Oculus Rift browser me dekha ja sakte hai.
Also Read: Facebook Messanger Me Sent Messages Ko Delete Kaise Karen
Agar aap bhi 3D photo ko post karna chahte hai aur soch rahe hai ke aisa kaise karen to hamare niche diye gaye guide ko follow karen.
Pre-requisites:
- User ko ye feature iPhone 7 Plus, iPhone 8 Plus, iPhone X, iPhone XS, iPhone XS Max aur iPhone XR phone pe hi milega.
- Photo Portrait mode me liya jana chahye
Steps to follow:
- Sab se pahle aap apna camera open karen aur Portrait mode me us picture ko click karen jise aap lena chahte hai.
- Ab Facebook App pe aayen
- Facebook pe nayi Photo create karen
- Top right corner me three dot pe tap karen
- iPhone portrait folder ko open karne ke liye 3D photo ke option ko select karen
- Us image ko select karen jise aap 3D me share karna chahte hai.
- Post me add karne ke liye caption aur dusri detail ko add karen
- Image ko post karne ke liye Share biutton pe click karen
Tips and Tricks to capture and share 3D photo on Facebook
- Best result pane ke liye subject kam se kam 3 feet ki doori pe hona chahye
- Contrasting colors ke sath subject behtar depth ka sense deta hai.
- Portrait image ko enhance karne ke liye texture aur solid edge ka istemal karen
- Transparent object ke sath depth sensor ho skata hai ke sahi se kaam na kare
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
2 comments
: Facebook Messanger Me Sent Messages Ko Delete Kaise Karen
इस ऐप में से आप कुछ भी ऑनलाइन मार सकते हो
Comments are closed.