How to change computer language: Aaj is Article me hum aapko batane wale hai ke aap apne computer ke language ko kaise change karen. Yah aapke Menue aur Windows me istemal kiye gaye Text ko affect karega. Aap apne windows aur Mac dono computer pe is feature ka use kar sakte hai.
Apne computer ki default language ko badalne se aapke internet browser ya dusre Application ka language nahi badlega
Also Read: How to Speed Up windows 10 Slow Startup
Windows Computer Pe Apne Language ko kaise Badle
- Start ko open karne ke liye niche left side me diye gaye windows ke icon pe click karen. Aap windows key ko press kar ke bhi start ko open kar sakte hai
- Setting pe click karen, ye aapko windows start ke lower left side me mil jayega
- Time & Language pe click karen
- Uske baad Region and Language tab pe click karen
- Add a Language pe click karen
- Us Language ko select karen jise aap apne computer pe use karna chahte hai
- Apne Added Language pe click karen, ye “Languages” me aapke current language section ke niche hoga,
- Ab option pe click karen, aisa karne se language’s Options window open ho jayega
- “Download language pack” ke niche Download pe click karen
- Back ke Arrow pe click karen
- Language pe phir se click karen aur set karen
- Aapka language change ho jayega
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.