Hidden Android Setting: Android phone wide variety ke shape aur size me aate hai. Lekin andar se sab ek hi Operating system ka use karte hai. In Android code me setting shamil hai jo aapko apne smartphone ko apne zaroorat ke mutabiq banane me madad karti hai. Is Article me hum aapko kuch less known customizations ke bare me batane ja rahe hai. To aaeye jante hai un Hidden Android Setting ke bare me.
Shuru karne se pahle hum aapko bata den ke hamare ye instructions Android ke current stock version Android, 8.0 Oreo pe Apply hota hai jo aapko Goggle ke latest pixel phone me mil jayega. Halaki agar aap kisi dusre version ko use karte hai to bhi ye setting ko Apply kar sakte hai, bus aapko inhe dhundhne ke liye thora zyada ghoomna hoga.
Increase font size
- Setting me jayen aur Display ko choose karen
- Aone Font ko adjust karne ke liye ‘Font size’ me jayen aur Font ko adjust karen
- Font ko adjust karne ke liye pointer ko slider pe drag karen
- Preview window ki madad se apne fomt ke size ko dekh kar fix karen
Make sure you can find your phone
Kya aap apne phone ke kho jane ko lekar pareshan hai. Apne missing device ke recovery ke chances ko maximum karne ke liye Android ke built-in traclking system ko activate karen.
- Setting me Security & location pe jayen aur Find My Device pe tap karen
- Uske baad agar aapne apne phone ko kahi misplace kar diya hai to use dhundhne ke liye browser me is page pe visit karen
- Apne google account me login karen
- Dusre option ke sath aapko apne phone ke location ko Map pe dekhane ka option bhi dikhayi dega.
Wake your phone with your voice
Google Assistant tak access hasil karne ke liye aapko apne phone tak access hasil karne ke liye aapko apne phone ko choone ki zaroorat nahi hai. Bus aapko apne setting ko adjust karne ki zaroorat hai.
- Google App ko open karen aur menu button (three horizontal line ) tap karen
- Phir voice ke baad setting press karen
- Voice Match choose karen aur uske baad OK Google kis bhi time kaam karega. Us waqt bhi jub aapka device lock hoga
- In fact aap apne device ko voice ka use kar ke unlock kar sakte hai.
Free up more memory
Agar Aaap Android 7.0 Nougat ya iske baad ke version ka use kar arhe hai to aap smart storage ka fayda utha skate hai. Agar aapka device free space ke liye struggle kar raha hai to ye feature delete local copies of photos aur videos ko automatically delete kar deta hai jise safely google photos me transfer kar diya jata hai. Ise enable karne ke liye
- Setting ko open Karen
- Storage pe tap Karen aur Smart Storage ko ON karen
Turn on Wi-Fi automatically
Bahar nikalne ke dauran apne wi-fi ko band rakhna aapki phone ki security aur baterry life ko badhata hai. Lekin ek trusted strong Wi-Fi ke network ki presence me jise aapne pahle use kiya hua hai Android 8.0 Oreo automatically aapke phone ke wi-fi ko On kar sakta hai.
- Setting me Network & Internet, pe tap karen
- Uske baad Wi-Fi aur phir Wi-Fi preferences
- Uske baad Turn on Wi-Fi automatically ko turn on karen
Show emergency information
Agar kisi accident ke baad kisi ko aapka phone milta hai to agar aap chahte hai ke aapke phone ke lock screen pe aapke bare me basic information dikhayi jaye to aap Emergency information ka istemal kar sakte hai aisa karne ke liye aap
- Setting me jayen aur Users & account choose karen
- Emergency information pe tap karen
- Yahan pe aap koi bhi emergency detail ya phir koi important contact dal sakte hai
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
1 comment
[…] Hidden Android Setting Jise aapko janna Chahye […]
Comments are closed.