Email signature text ka ek block hota hai jise hamare bheje gaye message ke last me add kiya jata hai. Aam taur pe signature ka use recipient ko apna naam, email address, business contact information, ya Website URL, provide karne ke liye kiya jata hai. Lekin kuch log apne email ke closing statement, funny quote ya dusre messages ko sign karne ke liye signature ka use karte hai.
Also Read: Digital Signature kya hai Aur ye kaise kaam karta hai
Signature ke use se aap apne essential contacts ko share kar sakte hai aur khud aur khud ke business ko ek condensed form me advertise kar sakte hai. Gmail me signature ko setup karna bahut aasan hai. Agar aap bhi apne Gmail account me khud ka signature setup karna chahte hai to niche diye gaye guide ko follow karan.
Gmail me Email signature kaise Add kare
- Gmail Toolbar me Setting ke option pe click karen
- Menu ke option se Settings ko choose karen.
- General ke option pe click karen karen
- Signature ke option me aa kar jo signature aap type karna chahte hai use type karen. Apne signature ko zyada lamba na karen. Apne signature ko 5 line me rakhna sahi hai. Aapko signature separator ko include karne ki zaroorat nahi hai. Google ise khud hi separate kar dega.
- Formate ya koi image add karne ke liye formate bar ka use karen
- Save changes ke option pe click karen
- Ab jub aap kisi bhi mail ko compose karege to Gmail automatically message ko add kar dega, aap send pe click karne se pahle ise edit ya remove kar sakte hai.
Replies me Email Signature ko Quoted Text ke upar move karen
- Gmail me Settings gear icon pe click karen
- Menu se Settings ke option ko select karen
- General category me jayen
- “Insert this signature before quoted text in replies and remove the “–” line that precedes it” ke option ke checkbox ko check kare.
- Save Changes ke option pe click karen
- Ab Reply me signature quoted text ke upar hoga.