Homepage Se Post Ko Kaise Hide Kare : Hamare site pe bahut se post hote hai jinme se kuch aise post bhi hote hia jise hum apne site ke home page pe show karna nahi chahte hai. Aaj is post me hum aapko batayemge ki aap selected jagahon jaise homepage, category archives, feed, search results, se post ko kaise hide kare.
WordPress Me Homepage Se Post Ko Kaise Hide Kare ?
Apne WordPress post ko hide karne ke liye aapko ek simple plugin ko install aur activate karna hoga. Ab ye aap pe depend karta hai ke aap is plugin ko kaise install karenge. Is plugin ko install karne ke baad aapko setup karne ki bhi zaroorat nahi hai.
WP Hide Post plugin ki help se aap apne post ko hide kar sakte hai. Is plugin me aapko sabhi feature mil jayenge jiski help se aap apne post ki visibility ko control kar sakenge. Is plugin ki help se aap apne post ko Home page, category page, tag, author aur archive pages me include aur exclude kar sakte hai. Particular, Ye plugin apko allow karta hai kisi bhi post ke control aur visibility ke bahut sare different views ke setting ke liye.
For Example :
- The Front Page (Homepage, depending on your theme, this may not be relevant)
- The Category Page (listing the posts belonging to a category)
- The Tag Page (listing the posts tagged with a given tag)
- The Authors Page (listing the posts belonging to an author)
- The Archive Pages (listing the posts belonging to time period: month, week, day, etc..)
- The Search Results
- Feeds
Post ko hide karne pe Sitemap me post ka access hoga aur aapka permalink bhi theek se kaam karega.
Plugins ke install aur activate hone ke baad aapko “Post Visibility” ka option bottom right corner me dikhega. App jis option ko enable karna chahte hai use check karen aur setting karen fir uske baad aapne post ko publish kar den.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Homepage Se Post Ko Kaise Hide Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?