Aap Free Music Download Sites khoj rahe hain ? Legal music online videos ke liye difficult ho sakta hai. Har online video creator apne videos ke liye perfect soundtrack chahte hai, vo bhi copyright laws bina break kiye huye. Kiyunki vidieos ko badi mehnat se banaya jata hai, aur aise me agr sirf music copyright violation hota hai to ye bahut bura feel karata hai ek online video creator ko.
Internet bahut si chizen offer karta hai aur unme se kuchh Free Music Download Sites bhi hain. Aap bahut sari website pa sakte hain jisse aap Free Music Download kar payen aur vo sabhi music legal hain. Isliye agr aap Free Music Download Sites ki talash me hain jinhe aap safely aur free me pa sake to humne kuchh Best Free Music Download Sites ki list ready ki hai aap yahan se apne online videos ke liye free music le sakte hain. Ye list time to time update hoti rehti hai to aap ise check krte rahiye.
Best Free Music Download Sites :
- Incompetech
- DanoSongs
- Moby Gratis
- Free Soundtrack Music
- ccMixter
- Partners In Rhyme
- PacDV
- Public Domain 4U
- Musopen
- Beatpick
1. Incompetech :
Incompetech great royalty free music provide karne me se ek hai, Ye website composer Kevin MacLeod aur has tons ne bnaai thi, Is site ke FAQ section me aap dekhnge ki ispe available music apke video soundtrack ke use ke liye free hai, Kevin ka kehna hai ki aap jab bhi is website se music use kare to credit zarur den. Is website pe apko horror soundtracks to polka, rock, pop sabhi type ke tracks mil jyenge.
Click here to view the full license details.
2. DanoSongs :
Dan-O ek composer hain jo apne original songs ko DanoSongs.com par free me use krne ke liye avabile kar dete hain, Aap Dan-O ki website ( DanoSongs.com ) se free me music download kar ke apne video, project me use kar skte hain bus shart ye hai ki aap jab bhi unki website se music len to video credit link share zarur karen.
Click here to view the full license details
3. Moby Gratis :
Agr aap Free Music Download Sites ke talash me hain to Moby Gratis apke ke liye ek option ho sakta hai kiyunki yahan pe apko without paying free license ke sath music mil jayegi, Yahan pe pako kuchh music download aur use krne ke liye free hai. Is site pe jitne bhi resources hai unka use independent, non-profit film, video, or short ke liye kar skte hain. Aprox 200 tracks apko yahan pe mil jayenge.
Click here to view the full license details
4. Free Soundtrack Music :
Free Soundtrack Music pe soundtrack music composers video producers ko royalty free license ke liye tarck karte hain. Yahn pe jitne bhi music online library me avabile hai unka use aap films, videos, video games, YouTube videos or other digital multimedia productions me kar skate hai.
Click here to view the full license details
5. ccMixter :
ccMixter ek community music site hai, Jahan se aap bahut sare music pa sakte hain, jo Creative Commons license ke under ate hain, Ye site apko music sunne, sample music, create mashups ke liye allowe krta hai, Bus is chiz ka dhayan rahe aap apne video source me credit zarur den.
Click here to view the full license details
6. Partners In Rhyme :
Partners Rhyme Since 1996 se royalty free music ko deliver kar rahe hain, Is site pe apko free music loops se lekar sound effects, midi files aur bhi bhaut kuchh milega.
Click here to view the full license details
7. PacDV :
PacDV free music aur sound effects offer karte hain, Jiska use filmmakers, sound designers, music producers, film students, aur multimedia kar skte hain. Bus unka kehna hai ki agr aap unke music ka use karte hain to apne project me unke site ka return link zarur den.
Click here to view the full license details
8. Public Domain 4U :
Jab Content Public Domain me ati hai to iska matlab hota ki ab unke paas koai Intellectual Property Rights nhi hai, Kiyunki ya to Right over ho gye hain yafir unhe Seized kar liya gya hai. Public Domain videos aur Other material ka use kisi bhi tarh se kiya ja sakta hai. Jisme apke online video bhi shamil hain. Public Domain 4U Public Domain music download aur khojne ke liye ek shandar site hai, Bahut sara music old hai.
Click here to view the full license details
9. Musopen :
Musopen ekaur free site hai, Jo Public Domain 4U ke tarh hi music provide karta hai, Jisme copyright ki Period expired ho gyi hai, Is Sites pe apko recordings, sheet music, aur textbooks bina kisi restriction ke free me mil jyenge. Ye site apke liye bahut importent ho sakta hai agr aap specially apne video ke liye classical music ki khoj me hain to.
Click here to view the full license details
10. Beatpick :
Beatpick licensed music ka ek great selection offer karta hai, Aap iska use non-commercial aur non-profit production ke liye kar skte hain.
Click here to view the full license details
To ye the apke 10 Best Free Music Download Sites jiska aap Commercial Use kar sakte hain, Apko is music ko download aur use karne me kisi tarh ka problem na ho isliye har website ki term and condition alg se di huai hai, Aap apne sanctification ke liye sare website ke music ko download aur use karne se pahle website ki di huai term & condition ko zarur padh len. Waise to humne jo list di hai vo sare website Free Music provide karane ke liye hi jane jate hain. Magr fir bhi music lene se pahle license detail padhna behatr hoga.
Hame umeed hai ke aapko ye article ( Free Music Download Sites ) informative laga hoga. Isi tarah ke aur bhi content ko parhne ke aap Billi4you ko subscribe kare.
Also Read:
- 28 Best Websites for free Stock Images
- 5 Best Document Scanner Apps
- 5 Best Job Search App in India
- 5 Best Translator App For Android
- 5 Best Free Android Antivirus Apps