Kisi bhi WordPress website ki RSS feed ka use marketing device ke taur pe kiya ja sakta hai. Chuki iska purpose aapke content ko easily index karana hai, isliye ise kayi tarah se share kar ke business ko promote karne ke liye use kiya jata hai. RSS feed ek tarah se logon ko aapki site ka table of content dene jaisa hai. Kabhi kabhi hamare RSS feed me error generate ho jata hai aur hame is system ko use karne se rok deta hai. WordPress me bahut tarah ke RSS feed hote hai jo theme aur plugin me aane wale changes ki wajah se hote hai. Is article me hum aapko batayenge ke WordPress Me Kaise Kare Fix RSS Feed Errors Ko ?
WordPress me RSS feed error poor formatting ki wajah se hota hai. Ek missing line ya extra tab aapke RSS feed ko break kar sakta hai. RSS error message niche diye gaye lines jaisa dikhta hai.
XML Parsing Error: XML or text declaration not at start of entity
Location: http://example.com/feed
Line Number 2, Column 1:
Aap kaun sa browser use karte hai iske base pe RSS feed error message vary karta hai. Agar aap FeedBurner ka use karte hai to error different ho sakta hai.
WordPress Me Kaise Kare Fix RSS Feed Errors Ko ?
RSS feed ke error show karne ka reason poor formatting hai. Ye poor formatting theme ya plugin ke function.php file me php tag ko close karne ke baad blank space ki wajah se hota hai.
Agar aapne recently apne kisi theme ya child theme ke function.php file me koi code snippet add kiya hai to aapko apne function.php file ko edit karne ki zaroorat hai. Agar aapke function.php file ke end me koi bhi php tag hai to is baat ka dhyan rakhe ke uske baad koi bhi extra space or line breaks wahan pe na ho.
File ke end me PHP closing tag ki requirement nahi hoti hai. Is liye ye aapke liye behtar hoga ke aap php tag ko sath hi remove kar den. Zyadatar cases me PHP tag ko remove karne se ye problem fix ho jata hai. lekin agar is method ka use kar ke aapka RSS feed error theek nahi hota hai to aap dusre method ka use kar sakte hai.
Fixing WordPress RSS Feed Errors Using Plugin :
Sabse pahle aapko Fix My Feed RSS Repair plugin ko install aur activate karna hai. Plugins ko install karne ke liye aap hamare niche diye gaye guide ko follow kar sakte hai.
Activate hone ke baad aap Tools me RSS Feed Fix page pe jaye.
Aap Fix feed button pe click kare, iske alawa aapko kuch bhi nahi karna hai. Ab aap browser windows me apne feed pe ja sakte hai, ya phir ise feed validator tool ki help se test kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Fix RSS Feed Errors ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?