WordPress me 413 Request Entity Too large Error usually tab hota hi jub aap WordPress me theme ya plugin file ko upload karna chahte hai. Is article me hum aapko batayenge WordPress Me Kaise Kare Fix 413 Request Entity Too Large Error Ko ?
WordPress Me 413 Request Entity Too Large Error Kyu Hota Hai ?
Normally zyadatar wordpress hosting companies ke server configured hote hai jis wajah se wordpress user large images aur dusre media ko easily upload kar pate hai. Lekin kabhi kabhi ye setting large plugin aur theme ki files ko upload karne ke liye zyada nahi hote hai.
Ye aapko media library me large files upload karne se rokta hai. Aise condition me aapko different message milega. jisme clearly
file size exceeds maximum allowed limit likha hoga.
To aaeye dekhte hai how to fix WordPress 413 request entity too large error.
WordPress Me Kaise Kare Fix 413 Request Entity Too Large Error Ko ?
WordPress me 413 request entity too large error ko fix karne ke bahut sare method hai. Hum sabhi method ko aapko bata rahe hai aapke liye jo bhi method suitable ho aap use kar sakte hai.
Method 1. Increase Upload File Size Limit via Functions File :
Simply niche diye gaye code ko theme’s functions.php file me add kar den.
@ini_set( 'upload_max_size' , '64M' );
@ini_set( 'post_max_size', '64M');
@ini_set( 'max_execution_time', '300' );
Aaap upload_max_size aur post_max_size me value ko increase kar sakte hai. Aapko max_execution time ko increase karne ki zaroorat ho sakti hai. Agar aap unsure hai to aap is value ko double bhi kar sakte hai.
Method 2. Increase Upload File Size Limit
Is method me aapko .htaccess file ko edit karna hoga, aur aapko niche diye gaye code ko bottom me add karna hoga.
php_value upload_max_filesize 64M
php_value post_max_size 64M
php_value max_execution_time 300
php_value max_input_time 300
File upload size limit ko increase karne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Method 3. Manually Upload File via FTP :
Agar aapko kisi particular file ko upload karne me 413 error aa raha hai to Aap FTP ki help se file ko manually upload karne ke liye try kar sakte hai.
Agar aap theme ko install karna chahte hai to aap theme ko install karne ke guide ko dekhe aur phir theme ko upload karne ke liye FTP section Me move kare.
Agar aap plugin ko install karna chahte hai to aap hamare plugin ko install karne ke guide ko dekhe aur phir plugin ko install karne ke liye FTP section me move kare.
Kisi dusre file ko install karne ke liye aap FTP method ka use kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Me Kaise Kare Fix 413 Request Entity Too Large Error Ko ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?