Agar aap ek Facebook user hai aur aap khud ki Facebook public search privacy ke bare me concern hai to aapko apne facebook profile ki privacy setting ko regular basis pe review karte rahna ek accha idea hai. Facebook aaj web pe sab se popular networking site hai jiske millions user hai. Bahut se user apne private information jaise addresses, phone numbers, family photos, aur workplace info, ke liye concern hote hai aur nahi chahte hai ke wo public search me aaye. To agar aap bhi nahi chahte ke aapke information public search me aaye to aap apne security settings ko review kar sakte hai.
How to Remove Your Profile From Facebook Public Search
- Apne Facebook account me Login kare aur privacy settings me jaye
- Privacy ke option me aapko “Do you want search engines outside of Facebook to link to your profile?” option dikhega.
- Edit option pe click kare.
- Yhan pe aapko settings me uncheck ka option milega.
- Turn Off pe click kare.