WordPress dropdown menu Create karna bahut aasan hai aap simple steps ko follow kar ke aasani se dropdown menu create kar sakte hai. Iss article me hum aapko step by step bataenge ki WordPress Dropdown Menu Create Kaise Kare.
WordPress me built-in menu management system ki help se aap bhut asani se Main menu ko apni site me add kar sakte hai. WordPress dropdown menu create karne ke liye aapko kisi bhi third party plugin ki zarurat nahi hogi, aap WordPress ke core feature ko use kar ke dropdown menu create kar sakte hai.
Drop-down Menu Ka Use Kyu Kare ?
Dropdown menu ki help se aap apne content ki list ko show kar sakte hai. Main menus apke website ke main pages ka link hai jo normally apke website ke logo ke thik samne ek row me dikhai deta hai.
Agar aap sirf kuch page ke sath ek blog shuru kar rahe hai ya fir ek website create kar rahe hain to aap unhe ek single row me add kar sakte hain.
Lekin agar aap online store ya koi badi website run kar rahe hai to aap navigation menu me zayada link ko add kar sakte hain.
Jab bhi user parent item par click karega to dropdown menu unhe menu links show kar ke limited space ke issue ko solve karne me help karta hai. Iske sath hi dropdown menu ki help se apne menu structure ko topic ya hierarchy me organize kar sakte hai.
To chaliye jante hain WordPress Dropdown Menu Create aur site par add kaise kare.
WordPress Dropdown Menu Create Kaise Kare ?
Step 1. Drop-down Supported Theme Selection :
WordPress dropdown menu create karne ke liye, Aapko sabse pahle dropdown menu feature ko support karne wale theme ko select karna hoga. Kyunki WordPress built-in menu management system ke sath aata hai, Lekin in menu ko display karna completely WordPress theme par hi depend hota hai.
Isliye aapko iss baat ka khayal rakhna hoga ki aap aise WordPress theme ko select kare jo dropdown menu ko support kare. Aap best theme select karne ke liye hamare guide Best WordPress Theme kaise select kare ko follow kar sakte hai.
Yahan par kuch theme ke name diye Gaye hain jo dropdown menu ko support karta hai :-
- Astra :- Ye ek multipurpose WordPress theme hai jo bahut se feature ke saath aata hai.
- StudioPress themes:- Ye genesis theme framework par bana hai, joki ek professional themes hai.
- OceanWP:- Ye ek popular WordPress theme hai jo sabhi tarah ke website ke liye suitable hai.
- Ultra:- Ye theme drag and drop option ke sath beautiful templates aur flexible theme options ke sath aata hai.
Step 2. WordPress Me Navigation Menu Create Kare :
Agar aapne pahle se hi apne site par navigation menu setup kiya hua hai to aap iss step ko skip kare aur next step ko follow kare.
To chaliye sab se pahle hum ek simple menu create karte hai.
Sabse pahle Appearance » Menus page par jaye aur top me aa rahe “Create a new menu” link par click kare.
Ab aapko navigation menu ke liye ek name enter karna hoga. Ye name aapke website par publicly available nahi hoga. Bus aapko iska name isliye enter karna hai taki aap menu name ko admin areas me identify kar sake.
Apne menu name ko enter karne ke baad “Create menu” par click kare. WordPress aapke liye new empty menu create kar dega.
Ab aap apne navigation menu me apne top link ko add kare. Ye add kiye gaye sare items aapko menu ke top row me dikhenge.
Aap simply left column se unn pages ko select kare jise aap add karna chhate hai aur “Add to menu” button par click kare. Aap blog posts, categories, ya fir custom links ko add kar sakte hai.
Ab aap inn pages ke right column me new menu ko dekh sakte hai.
Step 3. Menu me Sub-Items Addition :
Sub items wo items hote hain jo dropdown menu ke andar hote hai. Aap apne menu ko jis tarah se organize karna chahte hain, Uske according aap inhe kisi bhi existing items me add kar sakte hai.
Aap sub-item create karne ke liye, Menu item ko drag and drop kar ke parent item ke niche rakh sakte hain. Simply jis menu ko sub-item banana chahte hain, Uss menu ko drag kare aur thora right side slide kar ke drop kare aur ye ab sub-item ban jaega.
‘Parent item’ main menu me appear hoga. Aur jab user parent item par apne mouse ke cursor ko le jayenge tab unhe Sub-Items dikhayi dega.
Jab aap menu ko arrange kar len to “Save Menu” par click kare.
Step 4. Publish Your Dropdown Menu
Agar aap apni site ke ek live menu ko edit kar rahe hain to ye aapke site par dikhna shuru ho jayega. Aur agar ye ek new menu item hai to iss menu ko display karne ke liye ek theme location select kare.
WordPress themes menu ko diff diff location par display karta hai. Har ek theme apna khud ka menu location define karta hai, aur aap usme select kar sakte hai ki aap kis menu ko kaha par display karna chahte hai.
Ye option aapko right column me “Menu settings” me mil jayega. “Display location” settings ke next option ko select kare aur “Save menu” button par click kare.
Ab aap apne website par ja kar dropdown menu ko live dekh sakte hain.
Tips on Creating Interactive Dropdown Menus
Navigation menus bahut important hai kyunki koi bhi users sabse pahle yaha se hi apke website ke bare me info lena chahta hai. Iske zariye apke users ko apke website par visit karne me help milta hai. Ye apke website par zayada pageviews, conversions, aur sales me bhi apki help karta hai.
Dropdown menus ke sath apne navigation menus ko aur zayada interactive banane ke liye yaha kuch tips diye gaye hain.
1. You can create multi-level dropdown menus
Ek link ko kisi other link ka sub-item banane se ye dropdown menu me dikhai deta hai. Multi-level dropdown menus create karne ke liye aap kisi bhi sub-item ke niche ek aur sub item add kar sakte hain.
Ab aapka theme unhe automatically dropdown ke andar ek sub-menu ke tarah dikhaega.
2. You can also create multiple dropdown menus
Aap apne menu me kisi bhi top link ke andar ek dropdown create kar sakte hain. Aap apne main navigation menu me multiple dropdown menus bhi add kar sakte hain.
3. Create menus with a live preview
Agar aapka menu bahut complicated ho gaya hai to live theme ko customize karne ke liye aap visual preview par switch kar ke Appearance » Customize par jaye.
Next ab “menu” tab par click kare aur fir apna navigation menu select kare. Ab aap apne live site preview par left column me ek drag and drop menu editor dekhenge.
Ummid hai aapko ye article (WordPress Dropdown Menu Create Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- Complete Guide – WordPress Trackbacks and Pingbacks
- Google Analytics ko Kaise Set Up Kare – Admin Dashboard
- WordPress Me Autoblog Create Kaise Kare ?