Apko har ek do din me browser cache clear karne ki zarurat nahi hai, Kyunki ab aap common WordPress errors ko fix karte waqt hi apna browser cache clear kar sakte hain. Maximum non-techy users iss process ko nahi jante hain. Isliye iss beginner’s guide me ham detail me bataenge ki sabhi major browsers me apna Browser Cache Clear Kaise Kare ?
Browser Cache Kiya Hai ?
Browser cache ek aisi technology hai jo kisi bhi users ke computer me visit ki gayi website ke data ko save rakhne ke liye web browsers ke zariye use ki jati hai. Ye browser ko apke next visit par webpage ko jaldi se display karne ke liye allow karta hai.
Iske pichhe logic ye hai ki Far located WordPress hosting server se static files ko download karne se users ke computer se resources ka reuse karne me zayada waqt lagta hai. Browser cache poore page ke loading time ko kam karta hai aur apke online experience ko fast banata hai.
Normally browsers web pages ko tab tak cache nahi karega jab tak ki web developers specifically unhe aisa karne ke liye allow nahi karega (via code). Iske siwa browsers stylesheets, images, aur JavaScript jaise static content par focus karta hai.
Why browsers cache static content?
Browser cache static content hai, Kyunki ye aksar dynamic content ke tarah change nahi hota hai. For example – Agar aap kisi WordPress website par visit karte hain to apke posts aur pages ke content ko apke WordPress theme se badalne ki zayada chances hai.
Ek achhe website template me bahut sare stylesheets, JavaScript files, aur images me shamil rahte hain. Ye file sare pages par same rahta hai, isliye sare page load par ek fresh copy download nahi ho sakta hai. Ye hi reason hai ki browser inn sabhi static files ki ek copy apke computer ke temporary storage folder me rakhta hai, isliye wo uss copy ka use aapke next website visit karne par karta hai.
Agar aap ek WordPress caching plugin ka use kar rahe hain, to ye har ek resource ke liye end instructions ke sath apke static content ko cache karne ke liye browsers ke liye guidelines add kar sakta hai. Ye users experience ko achha banata hai aur sabhi ke liye internet ko fast karta hai.
Why and when you need to clear browser cache?
Popular browsers ye decision bhut hi smartly leta hai ki cache me kon sa content store karna chahiye. Jabki kabhi kabhi browsers ye pata lagane ke liye unable hota hai ki aap jis website ko dekh rahe hain wo badal chuki hai. Uss situation me bhi browsers local storage se files se cached version ko load karta hai.
Ye apko web page ka old version dekhne ke liye lead karta hai, aur website ke intention se kaam nahi karta hai. Agar aap ne apne website par kuch changes kiye hain to ho sakta hai ki aap unhe live site par dikhai nahi de. Ye tab hota hai jab aapko uss page ko dusre word me reload karne ki zarurat hoti hai jo apke browser cache ko clear karta hai.
- Force browser to refresh / reload a page (Shortcut)
- Clearing browser cache in Google Chrome
- Clearing browser cache in Firefox
- Clearing browser cache in Internet Explorer
- Clearing browser cache in Edge
- Clearing browser cache in Safari
- Clearing browser cache in Opera
- What to do when clearing browser cache doesn’t fix the problem?
Forcing Browsers to Hard Refresh / Reload a Page
Isse pahle ki aap apna browser cache clear kare, aap iss step ko zarur try kare kyunki ye bahut hi fast aur asaan hai (this is what the Pros do). Basically, jab aap apne browser me refresh button par click karte hain, to ye browser cache se static content ko lead karta hai. Jabki shortcut keyboard ka use kar ke, aap browser ko cache bypass karne aur web page ka ek new version download karne ke liye force kar sakte hain.
Apne web browser me hard refresh karne ke liye simply niche diye gaye keys ko press kare.
- Google Chrome on Mac: Command + Shift + R
- Google Chrome on Windows & Linux: CTRL + F5
- Firefox on Mac: Command + Shift + R
- Firefox on Windows & Linux: CTRL + F5
- Safari: Command + Option + R
- Opera on Mac: Command + Alt + R
- Opera on Windows: Shift + F5
Normally ek hard refresh karne se apki problem solve ho jaegi. Agar ye step work nahi karta hai, to apko apna browser cache clear karna hoga taki aap make sure kar sake ki aap web page ka live version dekh rahe hain.
Browser Cache Clear Kaise Kare ?
Aiye ab sare ( Google Chrome, Firefox, Internet Explorer, Edge,Safari, Opera ) Browser Cache Clear Kaise Kare dekhenge hain bari bari se, Jo bhi browser aap use karte hain uska Cache Clear krne me apko help mil jyegi.
Clearing Browser Cache in Google Chrome
Google Chrome abhi duniya ka sabse popular browser hai. Agar aap Google Chrome use karte hain to yaha se apna browser cache clear kar sakte hain.
Bass apne computer par Google Chrome web browser switch kare aur fir top me right side corner me three-dot menu par click kare. Menu ke baad aap “More Tools » Clear Browsing Data” par visit kare.
Ye screen par display “Clear Browsing Data” popup ke sath chrome settings launch karga. Then aap iss ‘Basic setting’ par “All time” option select kare.
Uske niche “Cached image aur files” option ke pas wale box ko mark kare. Aur aap “Clear cookies and other site data” option bhi mark kar sakte hain. Ye apke browser storage me stored sabhi cookies ko delete kar dega. Aisa karne se aap sabhi website se logout ho jaenge aur other sare session end ho jaenge.
Next “Clear data” button par click kare, then Google Chrome browser cache ko delete kar dega.
Clearing Browser cache in Firefox
Agar aap Mozilla Firefox ka use karte hain to yaha se aap apna browser cache clear kar sakte hain.
Sabse pahle apne computer par Mozilla Firefox web browser switch kare. Uske baad aap apne screen ke top me right side corner me “hamburger” menu par click kare aur fir “Preferences” option ko sect kare.
Ye Firefox settings page display karega. Yaha aap “Privacy and Security” tab par click kare then scroll down kar ke “Clear Data” button par click kare.
Firefox ab puchhega ki aap kis data ko clear karna chahte hain. Ab aap “Cached Web Content” aur “clear” button par click kare.
Firefox ab apke browser storage se cached ki gayi web content ko delete kar dega
Clearing Browser Cache in Internet Explorer
Internet Explorer ko jab tak new Microsoft Edge browser ke zariye replaced nahi kiya gaya tha, tab tak ye windows computers par default web browser tha. Abhi bhi bahut sare users iska use karte hain, agar aap bhi un users me se hain to yaha se aap apna browser cache clear kar sakte hain.
Sabse pahle aap apne computer par Internet Explorer ko switch kare. Uske baad aap apne screen ke top me right side corner me “gear icon” par click kare aur fir “Safety » Delete browsing history” option select kare.
Next“Preserve Favorites website data” ko save rakhne ke liye iske samne wale box ko unmark kare, “Temporary internet files” option ko mrark kare aur as optionally “Cookies” option ko bhi mark kare.
Next “delete” button par click kare ab Internet Explorer apke browser storage se cached ki gayi web content ko delete kar dega. To ye dekha apne ki Internet Explorer Browser Cache Clear Kaise Kare.
Clearing Browser cache in Edge
Edge windows 10 computer par default browser hai. Yaha se aap Microsoft Edge me apne browser cache clear karenge.
Sabse pahle aap apne computer par Edge browser switch kare. Uske baad aap apne screen ke top me right side corner me “three-dot” menu par click kare aur “Settings” option ko select kare.
Next aap “Clear browsing data” section ko visit kare aur jo bhi data delete krna chahte hai use choose kare.
Ab “Clear browsing data” ke liye ek panel aaega, yaha aap “Cached data and files” and “Cookies and website data” options ko mark kare.
Finally ab “Clear” button par click kare aur ab Microsoft Edge apke browser storage se cached ki gayi web content ko delete kar dega.
Clearing Browser Cache in Safari
Mac operating system par Safari ek default browser hai. Yaha se aap Safari browser cache ko clear kar sakte hain.
Sabse pahle apko apne computer me Safari web browser ko switch kare. Uske baad top menu se “History » Clear History” option par click kare.
Ab ek time range select karne ke liye popup display hoga.
Yaha ek time range select karne ke liye “Clear” dropdown menu se “All history” par click kare aur fir “Clear History” button par click kare. Ab Safari cache, cookies, aur all temporary website data ko delete kar dega.
Agar aap cookies aur other data ko delete kiye bina safari cache ko clear karna chahte hai to apko “Developer” menu ko enable rakhna hoga.
Simply to menu se “Safari » Preferences” par click kare. ye setting ek dialog box laega usme “Advanced” tab par click kare.
Ye apke web browser’s ke top bar me “Develop” menu ko add karega. Uske baad aap “Develop” menu par click kare aur “Empty Caches” option select kare.
Ab ‘Safari’ sirf cookies aur other temporary data ko delete kiye bina browser cache ko empty kar dega.
Clearing Browser Cache in Opera
Agar aap Opera web browser ko use kar rahe hai to yaha se aap apne Opera browser cache ko clear kar sakte hain.
Sabse pahle aap apne computer par Opera web browser ko switch kare. Uske baad aap apne screen ke top me right side corner me “menu” icon par click kare aur fir “Clear browsing data” par click kare.
Ye screen par ab ek popup laega, yaha se sabse pahle aapko ‘Time range dropdown menu’ me “All time” select kare. Uske baad “Cached images aur files” ke options ke paas wale box ko mark kare.
Next “Clear data” button par click kare aur fir Opera web browser apke browser storage se cached ki gayi web content ko delete kar dega.
What to Do When Clearing Browser Cache Doesn’t Work?
Ye iss baat par depend karta hai ki aap iss waqt kiya karne ki koshish kar rahe hain. Aaye kuchh common scenarios ko jante hain.
1. Can’t see changes you made to your website appear on the live site
Iske liye sabse common culprit WordPress caching plugin hai. Normally agar aap WordPress par login hain to apka caching plugin apko apke website ka non-cached version show karega. Jabki ek plugin ke ghalti ke wajah se, aapko apne website ka cached version dikhna band ho sakta hai.
Live version dekhne ke liye apko WordPress cache empty karna hoga. Hamare paas ek detailed guide hai ki kaise step by step instructions ke sath WordPress me cache clear kare.
2. I cannot log in to my WordPress website
Agar aap apne WordPress site me login nahi paa rahe hai aur login page refresh hote rahta hai, to sabse zayada chances hai ki ye WordPress settings ka koi issue ho.
Yaha aap detail me jaan sakte hain ki kaise WordPress login page ko refresh aur redirect issue ko fix karte hain.
3. A third party website is not updating
Agar aap third-party website ka outdated version dekh rahe hai, jabki other users changes dekh sakte hain to ye bahut sare reason se ho sakta hai.
Example for, website temporarily down ho jati hai, aur uska CDN server website ka cached copy show kar raha hota hai. Ye bhi possible hai ki apke website ka firewall work nahi kar raha hai aur specific geographic locations par cached versions ki service provide kar raha hai.
Iss situation me aap ek VPN service ka use kar ke dekh sakte hai. Ye aapko apna IP address aur geographic location se website par visit karne ke liye allow karta hai. Isse aapko problem solve karne me aur problem kahan se shuru hui hai ye pata lagane me help milega.
Ummid hai aapko ye article (Browser Cache Clear Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?