Doston Coupons and Deals Website ke upar aapne kayi baar visit kiya hoga. Lekin aapne kabhi socha hai ki wo website hume coupons and deals dilakar khud kaise kamati hongi. To hhaliye jaante hain.
Coupons and Deals Website Se Earning Ke Source
Coupons and Deals Website se earning ke mainly 2 Source hote hain.
- Ads ( Adsense )
- Affiliate Marketing ( Main Source)
Ads ya Adsense ye souce kisi bhi website ke liye apply hota hai, website kisi bhi trah ki ho wo Adsense se earning kar sakta hai. Normal website bhi affiliate marketing se earning karte hain lekin Coupons and Deals Website ke Liye Affiliate Marketing Earning ka main source hota hai.
[content-egg module=Pixabay]
Coupons And Deals Website Paise Kaise kamate hai ?
Aap ye jaan chuke hain ki Coupons and Deals Website Mainly Affiliate Marketing se kamate hain, lekin aapke man me ye sawal uth rha hoga ki kaise?, To chaliye jaante hain.
Coupons and Deals website par hume Discount Coupons and shopping deals ki jaankari di jaati hai, Jaise aapko Amazon se kuch kahridna hai to aapne socha ki chalo kuch coupons ya deals search karte hain. or is trah aap kisi website par pahunch jaate hain. wo website aapko coupons ya deals ki information deta hai, aap uski deals wali link ko follow karke Amazon ya doosre website par chale jaate ho.
Yahan par aapne kya kiya ? Deals pane ke liye aapne uske Deals ke link ko follow kiya or amazon par chale gaye. or wahan se aapne wo saaman ya doosra saaman kharid liya. Kion ki aapne us website ki link ko follow karke amazon par gaye or kuch kharida isliye Amazon Us website ko aapki purchased ka kuch hissa commission ke tor par degi.
Jab aap kisi website ki link ko follow karke kisi shopping site par jaate hain or 7 Days, 30 Days, 90 Days, 365 Days ke andar kuch bhi karidte hain to us website ko aapke purchase amount ka kuch percent milta hai.
Commission Percentage website and product type ke upar depend karta hai. Kuch website 30% – 50% tak ka commission dete hain.
Har website ke alag alag rules hote hain Cookies ko lekar, koi website affiliate link par click karne ke baad 7 Days tak ka time dete hain to koi 365 Days tak ka. Agar is darmiyan user buy karta hai to us website ki kamayi ho jaati hai.
Doston Ummid hai ki aapko samajh me aa gya hoga ki Coupons and Deals ki website Kaise paise kamati hai. Agar aap khudka apna Coupons and deals website create karna chahte hain to aap humari WordPress se related articles padh sakte hain.
Latest Post
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen