Hum apne site pe traffic ko increase karne ke liye bahut se techniques ka use karte hai. Lekin hum aksar user engagement aur user behaviour jaise important topic ko consider nahi karte hai. Agar aap apne site pe SEO techniques ka use kar ke search engine pe high rank aur traffic gain kar lete hai par agar aapke user ka experience accha nahi hua to google jald hi aapke site ke rank ko decrease kar dega. To chalye dekhte hai Bounce Rate kya hai aur hum ise kaise kam kar sakte hai?
Agar aapki site pe daily bahut se visitors aate hai aur wo aapki site ke ek page ko visit kar ke hi back ho jate hai to iska matlab hai ke aapki site ek quality site nahi hai. User experience aur engagement aapki site ke rank ko high karne me bahut important role play karta hai. Aaj is post me hum aapko batayenge What is Bounce Rate and how to decrease it.
Bounce Rate Kya Hai ?
Bounce rate un visitors ka percentage hai jo aapki site pe visit karte hai aur aapki website ke dusre page pe visit kiye bina aapke website ko chor deta hai. Kuch aise visitors bhi hote hai jo aapki site pe visit karne ke turant baad aapki site ko chor dete hai. ye aapke upar depend karta ahi ke aap apne user ke engagement ko site pe kaise banaye rakhe.
Agar aapki site ka bounce rate 40% hai to iska matlab hai ke aapki site pe visit karne wale logon me 40% log hai jo aapke kisi dusre webpage pe gaye bina aapki site se kahin aur chale jate hai.
Bounce Rate SEO ka ek important factor hai. Aapki site ka bounce rate aapke site ke success ko measure karne ka ek behtareen tareeqa hai. Apni site pe ek accha bounce rate maintain karna mushkil hai par namumkin nahi.
Agar ideal bounce rate ki baat kare to 10% se kam hai. High quality website ka hi bounce rate 10% hota hai. Ek average site ka bounce rate 40%- 80% ke beech me hota hai.
Bounce Rate ko Decrease Kaise Kare ?
Bounce rate ko kam karne ke liye bahut se aise strategies hai jinka use kar ke aap apni site pe bounce rate ko kam kar sakte hai.
Design and Load Time :
Aapki site pe aane ke baad jo chiz aapke visitors sab se pahle notice karenge wo hai aapke blog ka loading time aur blog ka design. Kayi baar aisa hota hai ke aapke site ka loading time zyada hone ki wajah se aapke visitors aapki site ko chor dete hai. Aapke blog ka design bhi visitors ko aapke site pe banaye rakhta hai. Is liye apne site ke loading time aur design ka khas khyal rakhe.
External Site Opens in New Tab :
Jub kabhi bhi aap apni site pe kisi bhi external link ko add kare to “open in a new tab” ke option ko enable kar den. Is se ye hoga ke external link ko naye tab me open hoga aur aur aapki site pe aapke visitors ke bane rahne ka chances zyada ho jayega.
Related Posts :
Related post bounce rate ko kam karne me bahut help karta hai. Jub aapke visitors article ko parh lete hai to zyada chances hota hai ke wo us post se related topic ko janna chahe. Agar aapke blog pe ralated post hita hai to ye user engagement ko increase karta hai aur aapki site pe bounce rate kam ho jata hai.
Internal Linking :
Apne blog pe jitna ho sake utna inter linking kare. Ye ek aisa factor hai jo aapke user ko aapki website pe banaye rahne me bahut important role play karta hai. Iske sath hi inter linking aapke site ke rank ko bhi search engine pe improve karta hai.
Quality Content :
Quality content sabse zyada important hai. Apni site pe quality content dale, agar aapki site pe quality content honge to user automatically aapke site ko explore karna chahenge aur aapke site ko google pe high rank mil jayega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Bounce Rate kya hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?