Blogger Kya Hai ? – Blogger ya Blogspot Google ki ek free blog website making service hai, Blogger ko Pyra Labs ne San Francisco me August 1999 me launch kiya tha aur phir Google ne February 2003 me ise purchase kar liya.
Beginners ke liye Blogger ek best option hai blogging start karne ke liye. Blogger ki services bilkul free hai. Blogger par app free me apni website ko host kar sakte hain or is wajah se usme bhot zyada customisation ke option nhi hain. saalon se se uske interface or layouts me bhot zyada changes nhi aaye hain. Lekin in sab ke bawajood Blogspot ya Blogger beginners ke liye sabse best option hai.
Blogger Ke upar jab aap website bnate hain to aapka web address ek subdomain ke saath hota hai. Jaise www.billi4you.blogspot.com . Isme blogspot.com main domain hai. aap chahen to apna top level domain ( www.billi4you.com ) apne blogger website se connect kar sakte hain.
Chaliye jaante hain blogger ke baare me kuch khaas baaten jiski wajah se blogger aaj bhi bigeners ke liye ek best option hai.
1. Easy Interface
Blogger ka Admin Interface kafi simple hai, New user ko ise samajhne me zyada waqt nahi lagta. sari settings bhot hi simple way me aapko saamne hi mil jayengi, chunki is bhot zyada customisation ke option nhi hote is liye iska interface bhot hi simple hai.
2. Free of Cost
Blogger par website banana bilkul free hai, Lekin Free hone ke baad bhi aapka website bhot hi fast, Responsive, and SSL Secure hota hai. 4. aapko website host karne ke liye Unlimited Storage And Bandwidth milta hai. Aap easily apna Top Level Domain connect kar sakte hainApne Blogger se jisse aapka website Subdomain ke bajaye aapke top level domain par khulega.
3. Earn Money
Blogger Blog se aap Easily Earning kar sakte hain. Adsense easily approve ho jaata hai blogger website ke upar kion ki Blogger and Adsense dono Google ki hi service hai. App agar poori imandari se blogger par 15 din mehnat karte hain to aap aapka Adsense account approve ho jayega. kuch log specially blogger par website Adsense approve karwane ke liye hi banate hain.
4. Fast and Secure
Blogger par Unlimited Storage And Bandwidth milta hai isliye blogger par bani website kafi fast hoti hain. chunki Blogger direct aapke Google account se linked hota hai. Is liye ye tabtak safe hai jubtak aapka Google account safe hai. Humesha apne google account me 2-Step Verification laga kar rakhen.