Website banane ke baad sabse pahle hame apne blog ke sitemap ko Google search engine me submit karna chahye, taki google hamare blog ko index kar sake. Is guide me hum aapko batayenge WordPress Blog Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare ?
WordPress Blog Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare ?
Sabse pahle hume Google search console ke bare me janna chahye ke ye hai kya. Google search console Google ka ek free tool hai jiski help se hum apne site ko google perspective ke according control kar sakte hai.
Google search console me hum apne blog ke sitemap ko submit karte hai. To pahle hame ye janna hoga ke ye site map kya hai aur ise hame search engine me submit kyu karna parta hai.
Sitemap Kya Hai ?
Sitemap ek XML file hai jisme aapke site ke sare URL hote hai. Sitemap aapki site ke sabhi files ko crawler ko crawl karne me help karta hai. Sitemap search engine ko un sabhi pages ko batane ka tareeqa hai jo unke site pe maujood hote hai.
Sitemap search engine ko ye bhi batata hai ke aapke site pe kaun si link dusre link ke comparesion me important hai aur aap apne website ko kitna frequently update karte hai. Sitemap aapke search ranking ko boost nahi karta hai. Sitemap sirf aapke site pe search engine ko sahi se crawl karne me help karta hai.
Sitemap ki zaroorat Kyu Hoti Hai ?
SEO ke point of view se sitemap bahut important hai. Aapko bata de ke sitemap add karne se site ki ranking me koi farq nahi parat hai. Agar Apki site pe koi aisa page hai jise index nahi kiya gya hai to sitemap aapke us page ke bare me search engine ko batane ka ek way provide karta hai, taki aapka page properly index ho sake.
Naye website aur blog ke liye sitemap bahut zaroori hai. Naye websites zyadatar apne individual blog pe backlink nahi bana pate hai, isliye search engine ke liye ye mushkil ho jata hai ke wo sabhi pages ko crawl kare aur index kare. Aise sites ko effectively crawl karne me search engine bahut help karta hai. Popular websites ke liye sitemap search engine ko site se effectively interact karne me help karta hai.
WordPress Me Sitemap Kaise Create Kare ?
WordPress sitemap create karne ke kayi ways hai. Lekin SEO Yoast ki help se sitemap generate karna bahut aasan hai. SEO by Yoast plugin ko install aur activate kare aur settings me SEO aur phir XML Sitemaps me ja kar apne site ka sitemap generate kare.
By default WordPress SEO sitemap ki functionality ko enable nahi karta hai, isliye aapko ise turn on karna hoga. Is functionality ko turn on karne ke liye aapko SEO aur phir XML Sitemaps ke option me jakar aapko sitemap ki functionality ko enable karne ke liye box ko check karna hoga.
Jub aap sitemap functionality ko enable karne ke liye box ko check karenge to WordPress SEO aapko bahut saare options show karega jise aapko apni site ke liye configure karna hoga. Agar aap in options ke bare me sure na ho to aap unhe ignore kare aur save setting ke option pe click kare.
Ab aapka sitemap generate ho jayega jise publicly access kiya ja sakta hai. WordPress SEO aapko ek XML Sitemap button show karega jispe click kar ke aap sitemap_index.xml sitemap dekh sakte hai.
Google Search Console Me Sitemap Ko Submit Kaise Kare ?
Sitemap ko google search console ki help se Google ko submit karte hai. Sabse pahle Google Search console me jaye aur signin kare. Signin karne ke baad aap search console tools me pahunch jayenge. Wahan pe aapko “Add a site” button dikhega uspe click kare aur apne site ka URL enter kare.
Next Screen pe aapko website ke ownership ko verify karne ka option dikhega jise aap add karna chhate hai. HTML Meta tag value ko copy kare aur use WordPress SEO plugin me paste kar den.
Screenshot me show kiye gaye line ko kisi text editor me copy aur paste kare aur content=”” ke andar ke value ko copy kare. site verification tool ko open rahne den aur website ke ownership ko verify karne keliye meta tag ke content=”” ke andar ke value ko SEO tab me Google search console tool me paste kare aur settings ko save kare.
Google search console tool ke site verification screen pe wapis jaye aur verify button ko press kare. Aapko ek notice milega “Congratulations you have successfully verified your ownership of www.yoursite.com”.
Webmaster tools dashboard pe jane ke liye Continue pe click kare.
Next screen pe aapko sitemap coloum dikhega jisme koi bhi sitemap nahi hoga. Uspe click kar ke aap apne sitemap page pe le jayega jahan pe aap apne site ka sitemap add kar sakte hai. “Add/Test Sitemap” ke red button pe click kare aur apne site ka sitemap URL enter kare.
Yoasts WordPress SEO plugin aapke site ka bahut sara site map generate karta hai, lekin main sitemap sitemap_index.xml hai jisme aapke dusre sitemap ka link bhi hoga. Aap sitemap_index.xml ko alone submit kar sakte hai ya phir sabhi sitemap ko one by one submit kar sakte hai. Sitemap_index.xml ko alone submit karna ek accha idea hai.
Ek baar successfully site map ko google me submit kar dene ke baad yah pending dikhayi dega. Aapki site ko google ko crawl karne me kuch time lagega. Thori der ke baad aap apni sitemap ke bare me kuch states dekh sakege.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Blog Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?