Apne WordPress site ke liye Theme select karna aapke site ke bare decisions me se ek hai. Theme aapke website ke performance aur look ko decide karta hai. Site pe hamesha aise company ka WordPress theme use karna chahye jo kafi popular ho aur jise constantly update kiya jata ho. Aaj is post me hum aapko Top 4 Best WordPress Theme Websites ki list denge jahan se aap apne website ke liye best themes le sakte hain.
Apne Site ke liye kisi bhi theme ko select karne se pahle aapko apne site se related kuch basic questions poochne chahye jaise:
- Aapka website kis chiz ke bare me?
- Apke website ka primary goal kya hai?
Ye do aise question hai jise them selection ke time aapko sabse pahle sochna hoga. In questions ko pooche bina aap apne website ke liye ek accha theme select nahi kar sakte hai. Maan lijye ke agar aapne apna online store open kiya hai to aapko aise theme ko select karna hoga jo e-commerce plugin ke sath compatible ho.
Iske sath hi kuch aise features hai jise aapko theme select karne se pahle dhyan me rakhna hoga.
- SEO optimized Theme.
- WordPress Compatibility
- Inbuilt Design option.
- Inbuilt setting option.
- Easily Import/Export Settings option.
- Easily customizable.
- Price of theme
- Responsive Theme
- Ad Management.
- HTML5
- Support
Ye aise features hai jo sabhi theme me hone chahye. Aur lagbhag sabhi theme club ye features in-built offer karte hai.
To aaeye dekhte hai ke hame apne wordpress theme ko kahan se install karna chahye aur aapko kin best WordPress theme websites ko browse karna chhaye.
Top 4 Best WordPress Theme Websites :
WordPress.org Theme Directory :
Agar aap apne WordPress website ke liye ek free WordPress theme search kar rahe hai to wordpress.org aapke liye ek best option hia. Ye WordPress theme ka ek largest collection hai jahan pe aapko 48,000 se zyada them available hai.
Yahan pe sabhi theme WordPress theme directory guidelines aur official best practices ko follow karte hai. In theme me aapko kuch aise features ki kami mil sakti hai jo ek premium theme me hoti hai. Lekin agar aapne abhi shuruaat ki hai aur aapko zyada feature ki zaroorat nahi hai to aapko bahut sare acche theme yaha pe mil sakte hai.
MOJO Marketplace :
Mojo Marketplace WordPress theme, plugin, aur services ke liye ek large marketplace hai jahan pe aapko free ke sath sath premium theme bhi mil jayenge. Aapko yahn pe top WordPress companies ke hosting services bhi mil jayegi.
Mojo Marketplace high quality coding standards ko maintain rakhne ke liye har theme ko carefully examine karti hai. Iske sath hi aapko sabhi third-party theme ke liye support bhi mil jayega.
Themeforest :
Themeforest Envato family ka part hai jahan pe aapko premium theme ka ek large collection mil jayega. Themeforest aapko sabhi theme ke liye full support aur documentation bhi provide karta hai.
Aap purchase karne se pahle aap theme ki rating, users review, aur developer portfolio ko dekh kar purchase kar sakte hai.
Yhan pe jitne bhi products hai unke code thoroughly reviewed aur tested hai taki user ko behtar experience offer kiya ja sake.
Elegant Themes :
Elegant theme sabse poorani aur well-known WordPress theme shops me se ek hai. Agar aap sasti price aur alag alag design ke sath kayi blog setup karna chah rahe hai to Elegant design aapke liye best option hai. Ye cheapest premium WordPress theme company me se ek hai.
Elegent Theme ki sabse khas baat ye hai ke aap sirf $89 me iske sabhi products aur services ko ek saal ke liye support aur update ke sath use kar sakte hai. Aur sirf $249 me aap lifetime license purchase kar sakte hai. Iske dono hi license me aap inke sabhi product ko unlimited website ke liye use kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Top 4 Best WordPress Theme Websites ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?