WordPress ek aisa platform hai jahan pe user ke pass free theme ke bahut saare options available hai. 10,000 se bhi zyada WordPress theme abvailable hone ki wajah se beginners ke liye best theme ka pata lagana bahut mushkil ho jata hai. Is post me hum aapko 3 Best Free Magazine Style Theme ke bare me batayenge.
Magzine style post bahut popular hai kyuki ye acche khase number of post ko aapke homepage pe display karta hai. Agar aap ek tech ya news blog ko run kar rahe hai to aapko apne blog ke liye magazine style theme ka use karna chahye.
Free theme ke comparison me Premium theme ke use ke liye recommend kiya jata hai kyu ki ye well-coded hote hai aur aapko support bhi provide karte hai.
Par agar aap aise free WordPress magazine-style theme ka use karna chahte hai jo aapko premium theme ki tarah hi ho to aap niche diye gaye theme ko select kar sakte hai.
3 Best Free Magazine Style Theme WordPress :
1 : Hueman Free WordPress Theme :
Hueman ek most popular free WordPress theme hai. Ye ek fully responsive theme hai. Ye theme aapko aapke wordpress blog ke traffic ko barhane aur visitors ko engage rakhne me help karta hai. Ye theme fast load hota hai aur google ke according 100% mobile-friendly hai. Ye blog aur magazine ke liye ek best rated WordPress theme hai.
2 : DualShock by MyThemeShop :
DualShock ek 100% free blog aur magazine ke liye dual purpose UI theme hai. DualShock ek responsive modern magazine style WordPress theme hai jisme aapko options panel, custom widgets, translation-ready functionality aur search engine optimization jaise feature mil jayenge.
3 : Swift WordPress Theme :
Swift best magazine style WordPress theme me se ek hai jise SEO ke liye jana jata hai. Ye ek fast load hone wala aur infinite layouts provide karne wala theme hai, jo aapko complete customization provide karta hai. Ye theme 45 days ke trial period ke liye free hai. Trial period ke finish ho jane ke baad aap is theme ko use kar sakte hai par aap isme koi bhi changes nahi kar sakte.
Ye the kuch free premium like magazine style wordpress theme jiska use aap apne blog ke liye kar sakte hai. WordPress bhot hi flexible hai so jaisi website aap banana chahen aap bana sakte hain. Ummid hai aapko samajh me aa gya hoga ki wordpress kya hai or yahan par aap kitni aasaani ke saath website bana sakte hain.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Best Free Magazine Style Theme ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?