WordPress blogging ke liye ek best platform hai. Jaisa ke hum jante hai ke internet pe 30% se zyada website WordPress pe bane huye hai. WordPress permalink ko change karna bahut aasan hai. Aaj is post me hum aapko batane wale hai, How To Change WordPress Permalink ?
Agr aap bhi bina technical knowledge ke WordPress pe apni website bana sakta hai. Niche diye gaye Article ki help se bus kuch minutes me hi aap apna khud ka website create kar sakte hai.
Permalink structure ko change karna ek easy task hai, lekin traffic aur SEO lose kiye bina change karna ek important thing hai. Is post me hum un ways ke bare me janege jinki help se hum apne post ke permalink ko change kar sakte hai.
How To Change WordPress Permalink ?
Aksar new blogger apne post ke default permalink ko change nahi karne ka mistake karte hai aur baad me unhe jub iske importance ka pata chalta hai to wo apne permalink ko change karna chahte hai. SEO friendly permalink creat ekarne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Apne post ko publish karne ke baad agar hum apne post ke permalink ko change karna chahte hai aur agar theek dhang se use change nahi kar pate hai to chances hai ke aapka blog me error aa jaye aur aap link juice ko kho de.
To aaeye jante hai ke hum apne post ke permalink ko bina traffic aur link juice khoye bina kaise change kare.
Sabse pahli chiz jise aapko karni hai wo hia apne post ke permalink ko setting me ja kar change karna. Aap Settings me Permalink me jaye aur apne post ke liye post /%postname% wala permalink structure choose kar lijye. Aapko bus itna karna hai WordPress redirection ko automatically handle kar leta hai.
Permalink ko change karne ke baad aap kisi bhi permalink ko open kar ke dekh sakte hai ke wo aapko naye permalink pe redirect kar raha hai ke nahi. Agar aapko naye permalink pe redirect kar diya jata hai to aapka kaam ho chuka ab aapko kuch bhi karne ki zaroorat nahi hai. Aur agar naye permalink pe redirect nahi kiya gya to aap niche diye gaye ways ko try kar sakte hai.
Agar aapka koi post 404 error show karne lag gya hai to aapko apne .htaccess file ko 777 pe change karna hota hai. Apne .htaccess file ko change karne ke baad aapko upar diye gaye process ko phir se repeat karna hoga. Aapko settings me permalink me custom structure ko select karna hai, aur %postname% ko uske field me fill karna hai.
Ab hame purane permalink structure ka use kar ke naye permalink structure me sabhi backlinks ko redirect karna hai. Aisa karne ke liye hame .htaccess file ko edit karna hoga aur niche diye gaye code ka use karna hoga.
RedirectMatch 301 /([0-9]+)/([0-9]+)/([0-9]+)/(.*)$ http://www.domain.com/$4
Upar diye gaye code ko paste karne ke alawa aap ye bhi dhyan de ke .htacces file me niche diye gaye code bhi ho.
- # BEGIN WordPress
- RewriteEngine On
- RewriteBase /
- RewriteRule ^index\.php$ – [L]
- RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-f
- RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-d
- RewriteRule . /index.php [L]
- # END WordPress
Apne blog me interlink kiye gaye post ko aap Broken Link Checker plugin ke redirection module ka use kar ke aap poorane links ko update kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article (Change WordPress Permalink ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?