Best Free Antivirus Software: Windows user hone ki wajah se aap bahut saare Free Application ko access kar sakte hai. Bahut saare Application jinki hamare System ko zaroorat hoti hai unme se ek Antivirus bhi hai. Free Antivirus ke bhi bahut se option market me available hai, itne saare options me hame khud ke liye trustable aur best Antivirus dhoondhna mushkil ho jata hai. Isliye aaj hum aapke liye Best Free Antivirus Software ki list le kar aa gaye hai. To aaeye pahle jante hai ke Anti virus software kya hota hai aur windows 10 ke liye best free antivirus software kaun se hai.
Antivirus software ek Program ya program ka ek set hai jo particular software, virus aur malware ko detect, Block, aur Remove karta hai.
Hame Apne computer pe Anti malware software Install karne ki bahut zyada zaroorat hai. Kyu ki aaj kisi bhi system ko Internet se connect karne ke kuch minute ke andar hi wo malware se infected ho sakte hai. Chuki hazaro malware daily banaye jate hai isliye kisi bhi internet se connected device me Anti virus software ka hona aur ise lagatar update karna zaroori ho jata hai.
Functions of Antivirus
- Suspicious aur malicious file ya program ke liye files aur directories ko scan karna
- kisi bhi specific file ya flash drive ya CD ko Request pe scan karna
- User ko inform karne aur infected file ko clean karne ki permission grant karne ke baad Malicious codes ko detect karna aur clean karna
- User ko system ke health Ke bare me update karna
Best Free Antivirus Software available for Windows 10
2018 Panda Free Antivirus
Panda ek complete antivirus, anti adware and anti spyware suite provide karta hai jo aapke computer ke resource pe nazar rakhta hai. Kisi bhi acche Antivirus tool ki tarah ye USB device scan kar sakta hai aur aapke web browsing ko protect bhi kar sakta hai. Aap aasani se apne pop-up ko disable kar sakta hai. Panda ka 2018 version AV-Comparatives’ “real world” protection test me pahle position pe aaya tha. Yeh single software hai jo zero compromises ke sath aata hai.
Download: Panda Free Antivirus (Free)
Bitdefender Antivirus Free Edition
Bitdefender no options overload ke sath ek simple aur dark interface provide karta hai. Autopilot mode aapko kisi bhi tarh ki pareshani diye bina protect karne ko allow karta hai. Bitdefender ki madad se aap khud kisi bhi tarah ki koi decision liye bina ek acchi security ko enjoy kar sakte hai. Agar aap aise Antivirus security ki talash me hai jisme aapko khud kuch bhi nahi karna ho to Bitdefender aapke liye #1 choice ho sakti hai.
Download: Bitdefender Antivirus Free Edition (Free)
Avira Free Antivirus 2018
Avira ek Light weight aur solid Antivirus package hai jo sirf windows ke liye nahi hai. AV-Comparatives ke dwara ise continuously best software ke tur pe Aaward kiya gya hai. Iski security ko germany me banaya gya hai. Yahan maujood sabhi Antivirus solutions ki tarah Avira ko bhi 2018 version me AV-Comparatives se Advance+ rating hasil hui hai.
Download: Avira Free Antivirus 2018 (Free)
Avast and AVG Free AntiVirus
Halaki AVG KO Avast dwara Acquire kiya gya tha. Avast aur AVG ke dono free Antivirus software aapke computer, web, identity, email, aur firewall security ke sath aata hai.
AV-Comparatives’ “real world” protection test me Best Free Antivirus Software ke roop me aane ke dauran ye Avira aur Bitdefende se piche rah gya.
Chuki dono client ek hi Antivirus backbone pe based hai isliye umeed hai ke unka test result ek jaisa hi hoga. Ye aapko sabse accha dikhne wala Interface select karne ka mauqa deta hai.
Download: AVG AntiVirus Free (Free)
Download: Avast Free AntiVirus (Free)
Ye the Windows ke liye kuch sabse acche free Antivirus software. Agar aap Windows 8 ya 10 ka use kar rahe hai to hamari salah hai ke aap Windows defender ke sath in third party App ko best Antivirus software ke taur pe copliment kar sakte hai. Best Free Antivirus Software ke liye aap is list ko Follow kare aur apne device ko Virus se free rakhen.
Read More: Facebook Messenger Par Apni Privacy Ko kaise Maintain karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
1 comment
[…] Also Read: Best Free Antivirus Software For Windows […]
Comments are closed.