How to send Diwali stickers on WhatsApp: Popular Instant Messenger WhatsApp ne haal me hi apne Platform pe sticker feature ko introduce kiya hai. Ye feature WhatsApp Android, iOS aur web pe available hai. App me sticker ke store bhi diye gaye hai jahan se user bahut tarah ke sticker ko download kar sakte hai. Jiasa ke Diwali aa chuki hai to WhatsApp user Diwali greetings ke liye sticker ko apne friends aur family member ko bhej sakte ahi. To agar aap bhi apne WhatsApp pe Diwali wishes sticker bhejna chahte hai aur soch rahe hai ke ye kaise kiya jaye to niche diye gaye steps ko follow karen.
Android user
- Diwali wishes bhejne ke liye aapke phone me WhatsApp ka 2.18 ya iske upar ka version hona chahye.
- Android user WhatsApp pe chat windows open karen aur smiley icon pe click karen.
- Aapko Sticker ka option GIF icon ke bad dikhayi dega.
- Sticker ke icon pe click karen aur sticker store pe jayen wahan aapko sabhi tarah ke sticker pack mil jayenge
- Uske baad aap Page ke niche jayen aur ‘Get more sticker’ ke option pe click karen
- Ab aapko Google play store pe redirect kar diya jayega
- Aur yahan se aap apni pasand ke Diwali sticker ko download kar sakte hai
- Sticker Download ho jane ke baad sticker ko aapko open karna hoga aur ‘Add to WhatsApp’ ke option pe click karna hoga
- Ab aapko diwali ka whatsApp sticker App me hi mil jaayega jise aap Diwali Greetings ke liye jise chahe bhej sakte hai.
iPhone user
- iPhone user ke pass Diwali sticker ko Download karne ka option nahi hai, iphone user sticker ko download nahi kar sakte hai par ise send kar sakte hai. Sticker ko send karne ke liye pahle unhe WhatsApp pe Diwali sticker receive karna hoga uske baad user sticker ko favorite mark kar ke send kar sakte hai.
- Favorite mark karne ke liye Sticker pe long press karen aur phir star ke option pe tap karen
- Uske baad text bar me aaye sticker ke option pe click karen
- Ek bar Sticker ke option pe click karne ke baad aapko star icon dikhega jispe aapko Diwali ke sare sticker dikhenge jise aap select kar ke apne contacts me bhej sakte hai.
Also Read: In Store Se Karen WhatsApp Sticker को Download
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.