Search Engine Optimization me Backlinks sabse zyada use kiye jane wale term me se ek hai. Beginners ko backlink ke meaning ko samajhne me thori pareshani hoti hai. Is post me hum Backlink Kya Hota Hai isi ke bare me batane wale hai, umeed hai ke is post ko parhne ke baad aap backlink ke bare poori tarah se jaan jayenge.
Backlink Kya Hota Hai ?
Backlink aisa link hai jo ek website ko dusri website se link karta hai. Jub koi website kisi dusre website se link hota hai to use backlink kahte hai. Search engine pe website ke rank pe backlink bahut zyada impact dalta hai. Yahi wajah hai ki website ke SEO ranking ko improve karne ke liye ise bahut important mana jata hai. Search engine search result ko display karne ke liye kayi factors ka use kar ke ranking ko calculate karte hai. In factors me backlinking bhi ek important factor hai.
Aise webpages jispe bahut saare backlink hote hai wo sabhi major search engine pe high-rank pe hote hai. Jitne bhi backlink hamare website pe hote hai wo sabhi natural hone chahye. Iska matlab hai ki website pe backlink banane ke liye artificial ways ka use nahi karna chahye. Link ki quality quantity se zyada important hai.
Backlinks ke importance ki wajah se website owner backlink pane ke liye bahut se bad practices follow karte hai jaise- backlink purchase, sell aur exchange. Search engine is tarah ke practices ko recommend nahi karta hai. Aise practice me suspected website ko search engine penalize aur deindex kar deta hai.
Backlinks Se Related Common Terms :
Link Juice: Link juice kisi bhi article ya website ke homepage ko link karne ke liye kisi website ki taraf se pass kiya jata hai. Link juice article ki ranking aur domain authority ko improve karta hai. Link juice ko no-follow link ke through pass hone se roka ja sakta hai.
No-follow Link: No-follow link tag ke zarye se koi website kisi dusre website ko link juice pass nahi karta hai. Page ke ranking me no-follow link kuch bhi contribute nahi karta hai. Kisi unreliable site se link-out karne ke liye no- follow link ka use kiya jata hai.
Do-follow link: Aise link jo link juice pass karte hai do-follow link kahlata hai. By default post pe use kiye gaya sabhi link do-follow hota hai.
Linking Root Domains: ye aapke website pe kisi unique domain se aa rahe backlink ko refer karta hai. Agar koi website aapki website se 10 baar bhi link karta ahi to bhi wo ek linked root domain consider kiya jata hai.
Low Quality Links: Aise link jo harvested sites, automated sites, spam sites aur porn sites se aate hai use low quality links kahte hai. Low quality links aapki website ke liye bahut nuqsan dah hote hai. Aise site se backlink lene se bachna chahye.
Internal Links: Aisa link hai jo same domain me ek page ko dusre page se link karta hai.
Anchor Text: Aisa text jise hyperlink ke liye use kiya jata hai use Anchor Text kaha jata hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Backlink Kya Hota Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?