Aap Blogger pe apne post ko poori tarah se control kar sakte hai ke aapke post ko kis ne Edit aur read kiya hai. Agar aap apne post ko dusron ko edit karne ke liye allow karna chahte hai to aap niche diye gaye steps ko follow kar ke dusron ko apne blog ko edit karne ke option ko enable kar sakte hai.
How to Let others edit your Blog Post
- Top left corner pe down arrow pe click kare, us blog ko select kare jise aap Update karna chahte hai.
- Left Menu me Settings pe clik kare uske baad Basic pe tap kare
- “Permissions,” me “Blog Authors” pe jayen aur Add authors pe click kare
- Us person ka Email Address Enter kare jise aap Add karna chhate hai.
- Invite authors pe click kare
Invitation Accept ho jane ke baad wo person Author me list ho jayega. Aap apne blog me total 100 tak member add kar sakte hai.
Remove Access
- Top left corner pe down arrow pe click kare, us blog ko select kare jise aap Update karna chahte hai.
- Left Menu me Settings pe clik kare uske baad Basic pe tap kare
- “Permissions,” me “Blog Authors” pe jayen aur us Team member ko select kare jise aap Remove karna chhate hai.
- Remove kiye gaye Author ka previous posts Blog pe appear hoga lekin wo post ko edit nahi kar sakte hai.