Anchor links hmesha contents sections ke table me use kiya jata hain, Kiyunki iski help se users page ko reload kiye bina ek long article ko up & down karte hain. Is step by step guide me hum apko explain krenge ki Anchor Link kya hota hai ? Ise kab aur kiyun use kre ? Fir dekhenge WordPress Me Anchor Links Add Kaise Kare ?
Hum kabhi kabhi apne long WordPress posts me Anchor Links ka use krte hain, Jisse users ko quickly dusre section me jump krne me help milti hain jise vo read krna chahte hain.
Is Article me Padhen :
- What is an anchor link?
- Why and when you should use anchor links ?
- How to Manually Add Anchor Links in WordPress ?
- How to automatically add headings as anchor links in WordPress?
What is an Anchor Link ?
Anchor link page pe ek type ka link hota hai, Jo apko same page pe ek specific place par le jata hai. Ye users ko us section pe jump krne ke liye allow krta hai jisme vo sabse zyada interested hote hain. Anchor links ka use aamtaur par content ke table ke liye long article me kiya jata hai, jo users ko quickly un section par jump krne ke liye allow krta hai jise vo padhna chahte hain.
Why & When You Should Use Anchor Links ?
Ek average users ko ye decide krne me kuchh seconds hi lgta hai ki vo apke site pe rehna chahte hain ya niklna chahte hain. To apke paas bus kuchh hi seconds hote hain apne users ko site pe bne rehne ke liye convince krne ki. Aur iska sabse best way ye hai ki aap pahle hi users ko vo information de dijye jiski vo talash me hain.
Anchor links users ko baki content ko chhod dene aur us section par direct jump krne ki permission dekar is process ko easy bana deta hai. Ye user experience ko improve krta hai aur new customers / readers win krne me help krta hai.
WordPress SEO ke liye bhi Anchor links great hai. Google search results me ek anchor link jo“jump to link” ke roop me display kar sakta hai. Kbhi kabhi Googke us page se kai link bhi display kar sakta hai jisse direct us section me chale jye, Aur ye search result me click through rate increase krne me bhi help krta hai. Simply kahen to isse apke website pe ztada traffic ayega.
How to Manually Add Anchor Links in WordPress ?
Agr aap apne article me kuchh anchor link add karna chahte hain to apke liye manually link add karna zyada easy hoga. Basically, Uske liye apko sirf 2 jagh changes krni hai :
- # sigh ke sath apko anchor text create krna hai.
- Jahn pe aap users ko jum kara chahte hain wahan pe
id
attribute dena hai.
Step 1. Creating an anchor link : Sabse pahle text select krenge jise link krna chahte hain, Fir insert link button pe click krenge. Apke paas insert link popup open ho jyega, usually aap yahan pe URL date hain. Is popup me aap # Singh ke sath vo keyword daal dijye jahan pe aap users ko jump karna chahte hain.
- Wahi keyword use karen jo section ko link karna hai.
- Unnecessarily anchor link ko long or complex na kren.
- Separate words ke liye hyphens ka use kijye.
Jab aap link add kar lenge to aap dekh sakenge jo bhi link aapne create kiya hai. Lekin jab aap link pe click krenge to kuchh nhi hoga. Aisa isliye kiyunki browser anchor link ko ID ke terh nhi le pata hai. To chliye ab ise fix kar lete hain taki jab users ispe click kre to us section me jump kar jye jahan aap chahte hai.
Step 2. Add the ID attribute to the linked section : Scroll down kar ke us section me aaiye jahn se link krna hai apko. Ab text ko select kijye, Fir rite side me document » Advanced option me aaiye aur apne anchor link ko ‘HTML Anchor’ me pasete kar dijye, Magar yahan pe # nhi hoga.
Ab aap click kar ke dekhe apka Anchor Link work kar raha hoga aur is tarh se apne article me manually anchor link add karenge.
How to Automatically Add Headings as Anchor Links in WordPress?
Automatically headings Add krne ke liye apko sabse pahle Easy Table of Contents plugin ko install krna hoga. Step by step detail me jane ki WordPress Plugin Install Kaise Kare ?
Ye plugin apko anchor links ke sath automatically contents table bhi generate krta hai. Ise aap apne acceding puri tarh se customize kar sakte hain. Plugin ko Install aur activate krne ke baad apko ana hai Settings » Table of Contents page pe. Fir humlog yahan pe plugin settings ko configure krenge.
Sabse pahle post type ko enable kijye jahan pe aap content table ko add karna chahte hain. By default, Plugin pages ke liye enable hai, Lekin aap ise post ke liye bhi enable kar sakte hain. Aap auto-insert option bhi enable kar skate hain. Is plugin se aap sare article ka automatically content table generate kar sakte hain, Older articles bhi bus criteria match hona chahiye.
Agr aap sirf specific articles ke liye automatically contents table generate krna chahte hain, Tab aap is options ko unchecked chood sakte hain. Aamtaur pe hum apko ye recommend nhi krenge ki aap apne sare article me content table ko add kren, Aap iska use tabhi karen jab apka article long ho.
Next, Aap scroll down kar ke content box ke table ko change kar sakte hain, Jaise ke theme select, Width & hight adjust, font size st aur custom color scheme create kar sakte han.
Uske baad ab apko Advanced settings section me jane ki zarurat hai. Most website ke liye default option kaam krenge. Lekin aap in options ka Review kar sakte hain, Agr kuchh bhi adjust krna chahte hon to aapko preview krne pe pata lag jyega.
Sari settings krne ke baad Save Changes button pe click karna na bhule. Aap chahen to jo bhi changes apko yahan pe krni hai use save krne ke baad apne blog ko preview karen taki apko pata chahe ki apki ki huai setting kaisi dikh rahi, Taki agr use sudhrna hua to aap sudhar saken.
Jab ye sare changes ho jayen, to fir aap ek post create kijye jisme multiple heading dijye, Aur ek baar jab aap multiple heading ke sath article likh lete hain to preview krne pe apko content table dekhne ko milega.
Content Table apke article ke top me show hoga, Jisse apke readers ko particular kisi section me jumb krne me easy ho jyega.
Ummid hai aapko ye article ( Anchor Links Add Kaise Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Me Kaise Kare Increase Pageviews and Reduce Bounce Rate ?
- Best WordPress Gallery Plugin Kon Sa Hai (Performance Compared)
- Complete Guide – WordPress Trackbacks and Pingbacks