Delete an Instagram account: Photo sharing platform Instagram bahut saare dusre photo sharing platform ko tough competition de raha hai. Jaisa ke hum jaante hai ke Instagram ek popular Photosharing App hai jiske Globally 800 million active users hai. Millions user daily is social media platform pe information ko photo, video, aur story ke roop me share karte hai. Aapko bata den ke Instagram account ko disappear karne ke do options hai, Aap ise temporarily ya permanently delete kar sakte hai. To dekhte hai Instagram ke account ko delete karne ke steps.
Also Read: Kisi ko Instagram pe unblock kaise kare
Instagram account Ko Temporarily Disable Kaise Karen
Step 1. Instagram.com pe jane ke liye Browser ka use karen (Aap ise Application se nahi kar sakte hai)
Step 2. Login kare
Step 3. Top right corner me profile button pe click kare.
Step 4. Edit profile ke option pe click kare
Step 5. Niche scrool karen aur “Temporarily disable my account” link ko select kare
Step 6. Reason select kare ke aap Instagram kyu Disable kar rahe hai
Step 7. Apna Password dobara Enter karen
Step 8. “Temporarily Disable Account” ke button pe click kare
Step 9. Account ko reactivate karne ke liye simply apne account me login karen
How to Delete an Instagram account (Permanently)
Step 1. Browser me Instagram account ko delete karne ke liye delete Instagram account link pe click kare.
Step 2. Agar aap login nahi hai to aapko login karne ke liye kaha jayega
Step 3. Account Delete karne ke reason ko select karen
Step 4. Password ko Re-Enter karen.
Step 5. “Permanently delete my account” wale red Button ko select karen
Step 6. Ab aapka Instagram Account Delete ho jayega.