Kya Aap apne site pe custom Facebook feed crete karna chhate hai. Custom Facebook aapko apne WordPress site pe apne business page ya group se Facebook posts ko display karne ke liye allow karta hai, taki aap engagement ko improve kar sake. Is article me hum aapko batayenge ke aap WordPress Custom Facebook Feed Kaise Create kare.
WordPress Me Custom Facebook Feed Kyu Create Kare?
Facebook duniya ka largest social media platform hai. Ek website owner ke form me ho sakta hai ke aap pahle se hi Facebook page ya group create kar ke apne audience ke sath engage ho.
Halaki ki aap jitne bhi page Facebook pe create karte hai wo sabhi aapke site pe aane wale logo ko ke liye visible nahi hota hai. Aap custom Facebook feed add kar ke apne site visitors ko ye show kar sakte hai ke aapke Facebook page or group me kya ho raha hai.
Ye aapke bahut sare users ko aapke post ko dekhne me help karega aur aapko Facebook pe zyada like gain karne me help karega. Agar aap Facebook remarketing/retargeting pixel ka use apni site pe kar rahe hai to aap apne Facebook users ke liye bhi us add ko show kar sakte hai.
To chalye dekhte hai ke hum apne WordPress site pe custom Facebook feed ko kaise add kare.
Custom Facebook Feed Plugin Ko WordPress Me Add Kare
Pahli chiz jo aapko yaha pe karni hai wo hai Smash Balloon Custom Facebook Feed plugin ko install aur activate karna. Complete detail ke liye aap hamare step by step Plugin installation guide ko follow kare.
Is article me hum Smash Balloon Facebook feed plugin ke pro version ka use kar rahe hai taki hum iske sabhi powerful features ko cover kar sake.
Installation ke baad aap WordPress admin me Facebook Feed » Settings page pe jakar ‘License’ tab me activation code ko enter kare.
Activation code enter karne ke baad d Facebook page to your custom feed.
Facebook Page Feed Ko WordPress Se Connect Kare
SmashBalloon Custom Facebook Feed plugin aapko apne Facebook pages aur groups ke liye feeds create karne ke liye allow karta hai. Aap multiple Facebook feeds create kar sakte haiaur yaha tak ke feeds ko merge kar ke custom feed create kar sakte hai.
Feed create karne ke liye aapko Facebook Feed » Settings page pe jakar plugin ko configure karna hoga. Yaha pe aapko ‘Connect a Facebook account’ button pe click karna hoga.
Phir aapko ye select karna hoga ke aap Facebook page or a group ko connect karna chhate hai ke nahi. Uske baad ‘Continue’ button pe click kare.
Ye aapko Facebook website pe le jayega jaha pe aapko apne Facebook account ke sath continue karne ke liye kaha jayega.
Uske baad aapko apne Facebook pages ki list dikhayi degi. Un pages ko select kare jise aap feed me include karna chhate hai aur Next pe click kare.
Ab Facebook aapse Smash Balloon ko pages ko manage karne ka permission mangega. Permission dene ke liye aap Done pe click kare.
Ab aap apne WordPress website pe wapas aye aur un pages ke list ko dekhe jinhe aapne authorize kiya hai. Apne page ko select kare aur ‘Connect this page’ button pe click kare.
Aapka connected Facebook page ab plugin settings appear ho jayega.
Apne custom Facebook feed ko store karne ke liye ‘Save Settings’ button click kare.
Is article me aage hum aapko batayenge ke aap ise apne blog post ya pages me kaise add kare. Us se pahle hum batayenge ke aap apni website pe Facebook group ko custom group feed se kaise connect kare.
WordPress Se Apne Facebook Group Feed Ko Connect Kaise Kare
Sab se pahle aapko Facebook Feed » Settings page jaye aur ‘Connect a Facebook Account’ button pe click kare. Ddrop-down menu se ‘Facebook Group’ ko select kare aur ‘Continue’ pe click kare.
‘Continue’ button pe click karne ke baad aap aap us group ko select kar sakte hai jise aap connect karna chhate hai.
‘Use token for this Group’ button pe click kare aur aapko niche dikya gaya message dikhega:
Upar diye gaye steps ko ‘here’ link pe click kar ke follow kare aur us page pe apps section me jaye.
Jub aap ‘Smash Balloon,’ pe click karenge to aapko ye dikhega.
Us button pe click kar ke aap app ko add kare.
Aur aap apne configuration section me aap apne page aur group ko connected dekhenge.
‘Save Settings’ pe click kare.
A aap apne Facebook feed ko WordPress website pe embed kar sakte hai.
WordPress Me Custom Facebook Feed Ko Create & Display Kare
Smash Balloon aapko custom Facebook feeds ko apne post, page, ya sidebar widget me display karne ke liye allow karta hai.
Sab se pahle aapko Facebook Feed » Settings page, pe jana hoga aur niche scroll kar ke Facebook feed shortcode ko dekhe.
Aapko shortcode ko copy karna hai aur WordPress content editor ko open kare aur us page ko create or edit kare jaha pe aap ise embed karna chahte hai.
Content editor me simply (+) icon pe click kare aur shortcode block create kare aur shortcode ko waha pe paste kare.
[custom-facebook-feed]
Uske baad aap apne page ko save kar ke preview kar sakte hai. Smash Balloon aapke WordPress page pe Facebook page or group se latest posts ko fetch and display kar dega.
Multiple Facebook Feeds Display Kare
Agar aap apne WordPress blog me ek se zyada custom Facebook feed display karna chhate hai to aap shortcode ko add kar ke easily kar sakte hai. Plugin’s settings aapko ek page ya group ID ko add karna allow karta hai.
Halaki, aap easily shortcode ko add kar ke kisi dusre ustom Facebook feed ko display kar sakte hai.
Simply is tarah se shortcode ko add kare:
[custom-facebook-feed id=wpbeginner]
Plugin shortcode poore parameters ke range ke sath aata hai. Aap plugin’s website pe visit kar ke parameters ke complete list ko dekh sakte hai.
Facebook Feed Ke Appearance Ko Customize Kare
Plugin aapko apne website pe custom Facebook feed ke appearance ko personalize karne ke liye allow karta hai. Aap settings ko edit karne ke liye Facebook Feed » Customize page pe visit kar sakte hai.
Is section ko different tabs me divide kiya gaya hai, jaha pe aapko choose karne ke liye bahut se option milenge.
‘Post Layout’ tab pe click kare.
Humne ‘Half-width’ option ko choose kiya hai taki image aur text ek tarah dikhayi de.
Next step me aapko right me ‘Style Posts’ tab ko select karna hai. Yaha pe aap customize kar sakte hai ke background ya box shadow contrast ke liye use kar ke aapka post kaisa dikhega.
Layout se satisfied hone ke baad aap save changes button pe click karna aur apne feed ko preview karna na bhoole.
Social Wall Create karne Ke Liye Combine Feeds
Smash Balloon WordPress Social Wall addon ke sath aata hai jo aapko allow karta hai ke aap apne Facebook, Instagram, Twitter, and YouTube ke conten ko ek feed me combine kar sake.
Ye aapko aapke sabhi social platforms pe engagement maximize karne aur ko followers gain karne me help karega.
Ummid hai aapko Custom Facebook Feed Create karne ka ye article (WordPress Custom Facebook Feed Kaise Create karee) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.