WordPress site ko move karna kabhi easy nhi hota hai. Iske liye apko ek new web host find karna hoga, apne old web host ko cancel karna hoga, scripts ko check karna hoga, Links ko check karna hoga aur apne URL ko update karna hoga. Old URL ko replace krne ke liye each post or page ko manually edit karna kafi painful hai. To is article me hum apko easy way me btayenge ki WordPress Site ko Move Karne Ke Baad URL Update Kaise Kare ?
When and Why Do You Need to Update URLs ?
Web Host Switch karne ke apke kuchh bhi reason ho sakte hain. Agr aap apni site ko move karte hain, To apko URL ko update karne ki zarurat hogi, Taki log ise find kar saken. Ye changes apki site par post, Page aur images jaise URL ko update nhi karega. Isiliye apko URL ko update karna extremely important hai. Kiyuni great content create krne ka koai mtlb hi nhi bange jab ise koai dekhne wala hi na hoto.
Isse pahle ki aap apni WordPress website me major changes karna shuru karen, Ye bhut important hai ki aap Apne WordPress Blog Ka Complete Backup yaad se bana len, Taki agr aap kuchh galti karte hain to apke paas pure site ka backup ho jise aap dubra load kar saken.
Update URLs After Moving a WordPress Site :
URL Update krne ke liye apko Velvet Blues Update URLs plugin ko install aur activate karna hoga. Kisi bhi plugin ko apne website me install aur activate kaise karte hain, iske liya aap hmare step by step guide WordPress Plugin Install Kaise Kare ki help le sakte hain.
Jab plugin install aur activate ho jaye, fir apko ana hai Tools » Update URLs page pe plugin settings ko configure krne ke liye.
Yahan apko apni website ke old aur new URL provide karne hone. Uske baad apko ye choose karne ki zarurat hai ki aap kahan pe URL upload krna chate hain. Aap Post aur Page, Excerpts, Image attachments, custom fields etc. me URL upload kar sakte hain.
Ab age badhen aur each item ka selection karen jise aap update karna chte hain, aur phir ‘Update URLs Now’ button pe click karen. Plugin old URL ke sabhi examples ko apne new URL se khojega aur replace karega.
Ab aap apne website pe jakr dekhiye apko sare URL update milege. Agr aap chahen to hmare separate article Step by Step – WordPress SEO Complete Guide for Beginners ko read kar sakte hain.
Ummid hai aapko ye article (URL Update Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Me 404 Pages Track aur Redirect Kaise Kare ?
- WordPress Me Category Rename Kaise kare ?
- WordPress Me Featured Images Add Kiyun aur Kaise Kare ?