Aaj kal log internet ke upar apna maximum time social media websites par hi spend krte hain. Aap apne WordPress website par users engagement increase aur new users ko attract krne ke liye social media ka use kar sakte hain. Aisa karne ka sabse easy way hai ki, Apne WordPress post ya page par Social Share Buttons ko add karna. To chaliye hamlog jante hain WordPress me Social Share Buttons Kaise Add Kare ?
WordPress me Social Share Buttons Kyun Add Kare ?
Social networking aaj sabse zayada popular online activities me se ek hai. Google ke according, abhi poori dunia me 3.80 billion social media users honge.
Ye hi reason hai ki social media marketing ab kisi bhi business ke growth strategy ka bhaut bada part hai. Agar aap zayada customers banana chahte hain to social media platforms bahut zayada effective channels hai logo tak pahunchne ke liye aur unse baat chit karne ke liye, taki aap unhe convince kar ke apna customer bana sake.
Problem ye hai ki jab aap apne product ko social media profiles par share karte hain to product title sirf aapke khud ke followers ke limited number tak hi phunchta hai.
Social media par apne business ko follow nahi karne wale logo tak pahunchne ke liye sabse achha tarika ye hai ki aap apne WordPress site par social share buttons add kare.
Social share buttons aapke website visitors ko apke content ko social media timeline par share karne ke liye inspire karta hai. Ye apke content ko friends aur followers ke zariye dekhne, re-share karne, comments karne aur like karne ke liye allow karta hai.
Website par social share buttons add karne ke benefits :
- Apni website par zayada traffic pa sakte hain.
- Social media following increase ho sakta hai.
- Zayada leads aur sales Generate ho sakta hai.
- Social proof aur brand recognition ban sakta hai.
Ye sab janne ke baad, Ab hamlog janenge WordPress me Social Share Buttons Kaise Add Kare ?
WordPress me Social Share Buttons Add Kare :
Ye janne ke liye ham Shared Counts plugin ko use karenge, Ye plugin internet par available best WordPress social media plugin me se ek hai. Iss plugin ka use kar ke aap asani se apne WordPress posts me social share buttons add kar sakte hain. Iss plugin ki sabse achhi baat ye hai ki ye performance ke liye optimized rahta hai aur aapki website ko slow nahi karta hai.
Dusre social sharing plugins ke opposite me, Shared Counts aapke website ke speed aur performance par kam se kam impact dalne ke liye ek unique caching method ka use karta hai.
Apne WordPress site par social share buttons ko add karne ke liye, Sabse pahle aap apne site par “Shared Counts” plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Plugin activate karne ke baad, Aap plugin setting ko configure karne ke liye apne WordPress dashboard ke menu bar me Settings » SharedCounts par jaye.
Iske baad aap scroll down kar ke “Display” section par jaye aur unn social share buttons ko choose kare jinhe aap apne site par show karna chahte hain. By default, three buttons pahle se hi selected hain (Facebook, Twitter, aur Pinterest).
Aap additional social share buttons add karne ke liye “white area field” par click kare.
Iske baad, Aap “share button style”ke dropdown menu se share button style choose kar sakte hain. Shared Counts plugin 8 beautiful button styles ke sath ata hai.
Next ab aap uss theme location ko select kare, Jahan aap social share buttons display karna chahte hain. Aap 3 option me se choose kar sakte hain : Before Content, After Content, aur Before and After Content.
Last me, Ab aap supported post types ko select kare, Isme by default “post” selected hai. Agar aap apne pages aur dusre post types par social share buttons display karna chahte hain to aap “page” option ke pass wale box ko “mark” kare.
Apni settings ko save karne ke liye “Save Changes” button par click kare.
Ek baar ye sab ho jane ke baad, Aap apne WordPress site par social sharing buttons ko dekhne ke liye apne website ke kisi bhi post ko visit kare.
WordPress me Social Share Counts Display Kare :
Share Counts plugin ke name se hi pata chalta hai ki, ye aapki website ko slow kiye bina aapke social share counts ko bhi show kar sakta hai.
“Social share counts” ko enable karne ke liye, Aap Shared Counts plugin ke settings par jaye aur share count source ko set up kare.
Shared Counts settings window par, Aap Top me “Share Counts” settings ko dekhenge. By default, apko “Count Source” ke liye selected koi bhi option nahi dikhai dega, jiska matlab hai ki share counts ko dubara save aur display nahi kiya ja sakta hai.
Social share counts ko show karne ke liye, Aap two sources me choose kar sakte hain.
SharedCount.com – Ye plugin ke liye recommended option hai. Agar aap iss option ko choose karte hain to “counts” ko SharedCount service API se dubara liya jata hai. Ye sirf 2 API calls ke sath sare counts lane ke liye allow karta hai. Jo ki performance ke liye sabse achha hai.
Native – Agar aap “Native” option choose karte hain to share counts ko social service se dubara liya jata hai. Jaise Facebook counts ke liye Facebook API, Pin counts ke liye Pinterest API. Ye method aapke site ko slow kar sakti hai kyunki iske liye aapko multiple API calls ki zarurat hoti hai.
Mai recommend kart hu ki, Apne count source ke roop me “SharedCount.com” ko choose kare. Uske SharedCount API key ke liye aapko ek field dikha dega.
SharedCount.com website par free account ke liye sign up kar ke aap SharedCount API key le sakte hain.
Apna email address aur password enter kare aur “Create Account” par click kare.
SharedCount.com website ab aapke email address par link send kar dega. Aap apne email ko uss link par click kar ke verify kare.
Aapka email verify ho jane ke baad, aap apne SharedCount account par login kare. Aapko apne SharedCount account ke screen par upar right side me apna email address aur uske paas me ek dropdown icon dikhai dega.
Next ab aap dropdown menu me “settings” par click kare. Yaha se apko SharedCount API key milega.
Next ab aap apne API key ko “copy” kare aur apne WordPress site ke plugin’s settings page par wapas jaye. Then “SharedCount API Key” field me copy kiye hue API key ko paste kare.
Uske niche aap social share counts se related kuch other settings dekhenge. Aap chahe to unhe review kar sakte hain aur unhe change bhi kar sakte hain.
Agar aap total counts show karna chahte hain to aap “Count Total Only” option ke paas wale box ko “mark” kare. Ek zero (0) display karne ke bajaye mai aapko “hide empty counts” option ko bhi mark karne ke liye recommend karti hu.
Next, aapko Display section me ek new “Total Counts” field show hoga. Ye aapko social share buttons ke sath total share counts show karne ke liye allow karta hai.
Next ab aap apni settings ko save karne ke liye “save changes” button par click kare. Ab aap har ek blog post ke liye share count ke sath social share buttons dekhne liye apne website ko visit kar sakte hain.
Selected Pages par Social Share Buttons Add Kare :
Social Share Buttons usually WordPress pages par add nahi kiya jata hai. Lekin kabhi kabhi aap unhe kuch specific pages par enable karna chahte hain. Agar aisa hai to aap Shared Counts ke shortcode ka use kar sakte hain : [shared counts].
Social Share Buttons display karne ke liye aap apni website par kahin par bhi iss shortcode ko add kar sakte hain. WordPress me shortcodes add karne ke liye, WordPress block editor me shortcode block hota hai.
Aap WordPress block editor ke zariye bahut hi asani se apne content area me block ko add kar sakte hain aur fir Shared Counts shortcode ko paste kar sakte hain.
Shortcode ka use kar ke aap apne website me kisi bhi page ya post par social share buttons add kar sakte hain. Aap niche diye gaye screenshot me dekh sakte hai ki hamare About Us page me Shortcode ke zariye social share buttons add ho gaye hain.
WordPress me Floating Social Share Bar Add Kare :
Shared Counts plugin aapko content ke upar aur content ke niche dono jagah par social share buttons add karne ke liye allow karta hai. Ye share buttons static hote hain isliye scroll karne par dikhai nahi dete hain.
Social share buttons ko display karne ke liye ek aur popular tarika “Floating social sharing bar” ko add kar ke hai. Ye ek social sharing menu hai jo scroll down karte hi users ke screen par sticks ho jata hai. Jab users screen ko scroll karte hain to bhi floating social share bar dikhte rahta hai. Ye zayada noticeable hota hai aur social sharing ko boost karne me help karta hai.
Kuch user experience experts ka kahna hai ki, Ye apke website ko bad look deta hai, Kyunki ye white space ko fill karta hai. Aur agar aap ise clean rakhenge to ye kafi useful ho sakta hai.
“Floating social share buttons” ko apne WordPress website par add karne ke liye, Aap apne WordPress website par Sassy Social Share plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad, plugin aapke WordPress admin sidebar me “Sassy Social Share” jaisa new menu item add karega. Iss par click karne se aap plugin ke setting page par pahunch jaenge.
Sabse pahle aap ek icon style choose kare, Ye plugin square, rounded, and rectangle buttons ke sath aata hai. Aap floating social share bar aur standard share bar dodno ke liye styles choose kar sakte hain.
Iske baad aap “Standard Interface” tab switch kare. Yaha se aap standard static social sharing buttons ko enable ya disable kar sakte hain.
Mai floating ya static social buttons me se kisi ek ko use karne ke liye recommend karungi. Kyunki dono ko ek sath use karna overkill hoga aur bad user experience bhi create kar sakta hai.
Next aap “Floating Interface” tab par switch kare aur “Enable Floating sharing interface” option ke paas wale box ko “mark” kare.
Next ab aap unn social media websites ko choose kare jinhe aap apnw website par display karna chahte hain. Aap yaha se social buttton add, remove aur simply drag and drop kar ke rearrange kar sakte hain.
Jab aap ye sare process kar lete hain to apke setting ke save karne ke liye “Save Changes” button par click kare. Ab aap floating social share buttons ko action me dekhne ke liye apne website par visit kare. Niche diye gaye screenshot me bhi aap dekh sakte hia ki ye website par kaisa dikhaega.
Ummid hai aapko ye article (WordPress me Social Share Buttons Kaise Add Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?