Kisi bhi malware ya brute force attacks ke against apni Website ko protect krna hmesha humlog ki priority raha hai. Aur un security requirements ki help ke liye, WordPress Security ke kuchh options offer krta hai. Humne pahle bhi kuchh Best WordPress Security Plugins aur WordPress Security Tips ke bare me detail me batya hai. Aaj ke is Article me humlog WordPress Security Keys and Salts ke bare me baat krenge. Janenge ki ye kaya hota hai ? Ye work kaise karta hai ? Aur dekhenge WordPress Security Keys and Salts ko use kaise karte hain ?
Is Article me Padhen :
- What Are WordPress Salts and Security Keys?
- Why use WordPress Salts and Security Keys?
- How Does WordPress Salts and Security Keys Work?
- How to Use WordPress Security Keys and Salts?
- Other Frequently Asked Questions (FAQs)
1 : What Are WordPress Salts and Security Keys ?
Agr simple terms me kahen to, WordPress Security Keys ek password hai jisme random element hote hain, Jo long, complicated, and use break krna almost impossible hota hai. Ye browser ki cookies me stored information ka secure encryption provide krte hain, aur site ki security barriers ko break krna hard bnata hai.
WordPress salts data ki Extra random strings hai, Jo security keys ko hashes kr deta hai. Ye cookies aur apke authenticating credentials ke liye protection ki extra layer add karte hain.
WordPress ke current version me, Apki site ke liye cookies par sign krne ke liye 4 security keys use kiya jata hai. 4 security keys ke liye 4 WordPress salts ko recommended kiya jata hia, Jabki iski requirement nhi hai kiyunki WordPress default hi ise generate krta hai.
- LOGGED_IN_KEY – Ek log in users ke liye ek cookies generate krne ke liye use kiya jata hgai. In cookies ka use site par changes krne ke liye nhi kiya ja sakta hia.
- SECURE_AUTH_KEY – SSL admin ke liye ek authorizing cookie par sign krne ke liye use kiya jata hia, In cookies ka use site me changes krne ke liye kiya jata hai.
- AUTH_KEY – Non-SSL ke liye authorizing cookie par sign krne ke liye use kiya jata hai. In cookies ka use site chnges krne ke liye kiya ja sakta hai.
- NONCE_KEY – Nonce key par sign krne ke liye use kiya jat hai, Jo Non-generated hone se protect krta hai, Apko kuchh type ke attacks se save krta hai.
Isko agr is tarike se samjhen ki, Ek simple password jise aap decide krte hain, Usually vo asani se brok kiya ja sakta hai. Lekin ek random aur unpredictable set of variables ko encrypt krna difficult hai. Ye bhi ho sakta hai ki kisi ko password ka right combination ka guess krne me years lag jaye. To is tarh WordPress security Keys and Salts apki website ki safety and protection krte hain aur credentials login krte hain.
2 : Why use WordPress Salts and Security Keys?
Ye security keys apke Pasword ko crack krna hard bana deti hai. Ek non-encrypted password like “username” aur “WordPress” ko easily crack kiya ja sakt hai. Lekin ek random, unpredictable, encrypted password Jaise ki “88a7da62429ba6ad3cb3c76a09641fc” ko right combination banane me year se zyada bhi lag jyega. Apko apne WordPress powered blogs aur websites ki security increase krne ke liye Security Keys ka use karna chahiye.
3 : How Does WordPress Salts and Security Keys Work?
Other websites ke most platforms ke opposite, WordPress apne users ko track krne ke liye PHP sessions ka use nhi krta hai. Users ke sath sath comments me log in ki identity verifie krne ke liye, WordPress usually apke browser ke history me stored cookies ya information ka use karta hai. Jab aap apne dashboard me log in krte hain to kai cookies create aur save ho jati hai. Usually, two cookies create hoti hain :
- WordPress_[hash]
- WordPress_logged_in_[hash]
Pahle ek ka use sirf tab kiya jata hai jab aap apne dashboard par log in hote hain, Jabki dusre cookies ka use WordPress me kiya jata hai taki yeh ensure kiya ja sake ki aap log in hain ya nhi. Log in krne ke liye apke according use kiye jane wale description hashtag variable ka use karke hashed ( assigned cryptic values) ko specific kiya jata hai, Jo tab WordPress security keys me specified hote hain. Ye badle me strong krta hai aur kisi ko bhi yeh guess lagana impossible kar deta hai ki apka password kya hai.
4 : How to Use WordPress Security Keys and Salts?
Usually, Jab apki WordPress website self-host ki jati hai, to security keys pre-defined nhi hoti hai. Apko unhe khud generate krna pad sakta hai. But don’t worry, isko generate krne ka process kafi simple aur straightforward hai. Generally, secret key ko configure krne ke liye two way hai :
- Manually change the WordPress Security Keys and Salts.
- Using a WordPress Plugin.
Hum apke asani ke yhana pe two methods ke bare me discusses krnege to jo bhi method apko easy lage aap choose kar lijye.
Method 1: Manually Changing the Secret Keys & Salts :
Secret Key generate krne ke liye First step. WordPress ka apna random key generator hai to aap usi ka use karen. Isme apko bus kuchh sec lagega.
Ab apka Secret WordPress security key ready hai. Ab gae apko WordPress wp-config.php file open krna hai. Aap apne WordPress root folder me iski file pyenge. Authentication Unique WordPress Security Keys and Salts ko khojen jo usually database credentials ke baad located hota hai. Ab us code ke pure block ko copy kren jo apne pahle se random key generator ka use kar ke generate kiya tha. Ek baar jab aap aisa kar lete hain, To bus apni wp-config.php file me eight default variables ko replace karen. Aur fir apni ki huai setting ko save kar len.
Method 2: Using a Plugin :
Is method me humlog Salt Shaker ka use karenge. Salt Shaker ek Free WordPress security plugin me se hai, aur ye extremely user-friendly bhi hai, To ise humlog ab Install aur Activate kar lenge. Kisi bhi palugin ko Install and Activate kaise karte hain janne ke liye aap hmari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ki help le sakte hain.
jab Salt Shaker Install aur Activate ho jaye to fir hme ana hai Tool > Salt Shaker Page pe. Uske baad menu pe click kare, Apko ek new page dekhen ko milega, Jo SALT keys ko change krne ke liye schedule set krne ka option provide krenga.
Age ab aap WP Keys and Salts changes par tick kar den. Keys and salts ke changes ko schedule krne ke liye apko Daily, Weekly or Monthly basis ke option ko choose krne milega. To yahan pe jo bhi option apko choose karna hai kijye. Agr apko WordPress security keys and salts immediately change krna hai to aap page ke niche Change Now ka option dekh rahe honge, immediately security keys and salts ko chnge krne ke liye aap iska use kar sakte hain. jab aap ek baar keys ko change krenge to aap khud bhi automatically logged out ho jyenge.
Other Frequently Asked Questions (FAQs)
Kaya mujhe apni Security Keys yaad rakhni hai ?
Nhi, Apko apni Security Keys yaad rakhne ki zarurat nhi hai. Apko ise ek baar wp-config.php file me paste krna hota, that is it.
Ummid hai aapko ye article ( WordPress Security Keys and Salts ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me Social Share Buttons Kaise Add Kare ?
- Search Engines Ke Liye Image Optimize Kaise Kare ?
- 10 Best Social Media Plugins for WordPress
- WordPress Images Pe No Right Click Add Kaise Kare ?