Google Analytics Admin Dashboard ko setup karna Google analytics ko apne site ya blog pe add karne ke baad ka step hai. Agar hum analytics ko theek se setup nahi karenge to hum jo bhi report apne audience aur apne site pe aane wali traffic ke bare me janna chahte hai wo hame theek theek nahi mil sakti hai. Is liye hame sab se pahle apne Google Analytics Admin Dashboard setup karna chahye. To chalye dekhte hai ke hum Google Analytics ko kaise setup kare?
Agar aapne abtak Google Analytics ko apne site ya blog me add nahi kiya hia to aap hamare is guide ko follow kar sakte hai.
Analytics ko apne account me add kar lene ke baad hamare liye ye janna zaroori hota hai ke hum analytics ko kaise use kare. To agar aap bhi ye janna chahte hai ke aap Google analytics ka use kaise kare to aap hamare is article ko follow kar sakte hai.
Google Analytics me aapko jitne bhi customizations karne hai wo is baat pe depend karta hai ke aap kis type ke business ko run kar rahe hai. Yaha pe jis settings ko humne discuss kiya hai wo bahut se site owners ke liye recommended hai. To chalye hum dekhte hai ke hum apne Google Analytics ko kaise setup kare.
Google Analytics ko kaise setup kare?
Google analytics me hame bahut sare features provide karta hai, jise hsame janne aur samajhne ki zaroorat hoti hai. Kisis bhi beginners ke liye google analytics ko samajhna mushkil ho sakta hai.
Analytics ko apne zaroorat ke hisab se setup karne ke liye aapko sab se pahle ye pata hona chahye ke kaun si feature kya facility provide karti hai.
Google analytics ke detail description ke liye aap hamare article Google Analytics Beginners Guide ko follow kar sakte hai. Is article me aapko sab kuch mil jayega ke hame analytics kyu use karna chahye, ye hamare SEO me kaise help karta hai, aur iske kya kya features hai.
1. Property Settings
Sabse pahle ye sure kar le ke aapne in specialty reports ko enabled kiya hai.
Google Analytics me sign in kare aur Admin > Property Settings me jaye. Aur phir inhe check kare:
- URL sahi hai ke nahi
- Demographics and Interest Reports > ON ko enable kare
- Use enhanced link attribution > ON
- Users Metric in Reporting > ON ko enable kare
- Kya Google Ads linked hai aur PPC data populating hai?
- Kya Google Search Console correctly linked hai?
2. View Settings
Ab hum kuch basic settings ko dekhte hai.
Admin > View Settings me jaye
Aur in sections ko check kare:
- Ecommerce Tracking > ON
- Site Search Tracking > ON (yaha pe is baat ka dhyan rakhe ke aap apne search query parameters ko zaroor set kar le)
- URL ko verify kare ke wo correct hai.
- Verify kare ke time zone aur currency correct ho.
Referral spam ko filter karne ke liye “Bot Filtering” ox ko check kare.
3. Add Filters
Filter aapke aur apke client ke IP address se traffic aur spam traffic ko filter kar ke aapko sab se accurate data provide karne me help karta hai. Is tarah aapka time save hota hai aur is chiz ke liye pareshan nahi hote hai ke aap traffic ko purchase me convert kyu nahi kar pa rahe hai.
Google Analytics Me Apne IP Address ke Liye Filter Set Kaise Kare
- Google Analytics me sign in kare
- Admin > View Settings > Filters > Add Filter me jaye
- Filter ka naming kare
- “exclude” choose kare
- “traffic from the IP addresses” ko choose kare aur IP address add kare.
- “equal to” choose kare
4. Goals
Site traffic hi sirf ek data nahi hai jo mayne rakhta hai, iske alawa aur bhi bahut kuch hai jise aap track kar sakte hai aur Goal aapko isme help karta hai.
Goal Google ko batata hai ke aapke business ke liye kaun se action most important hai.
Goal ko set up karne ke liye aap Admin > Goals (under Create View) > New Goal me jaye.
5. Dashboards
Google Analytics ko jo chiz itna zyada powerful banata hai wo iske customization ki ability.
Dashboard un stats aur data ka high-level view provide karta hai jo aapke business ke liye sabse zyada important hota hai.
Yaha pe dashboards ke kuch examples ko consider kiya gya hai:
- SEO dashboard, created by BrightonSEO
- Top content and key terms dashboard
- Traffic growth dashboard
6. Alerts
Agar aapke account me kuch parameter milte hai to Alert aapko notification bhejta hai. Is feature ki help se aapko apne site me aaye major changes ka pata chalta hai.
Kabhi kabhi hum apne site traffic me sudden drop ko notice karte hai. Ye sudden drop hamare site ke liye harmful ho sakte hai.
Aur imagine kare ke aap aise condition me kisi important kaam me busy ho aur aapne ispe dhyan nahi diya to aise condition me Alert aapko email send kar deta hai.
Google Analytics custom alerts aapko aapke Analytics reports me hone wale huge changes ko monitor karta hai aur aapko turant notify karta hai.
Isliye aap turant investigate kar ke pata laga sakte hai ke kis wajah se aapke site me ye changes aaye hai, aur is tarah se aap bare loss ke hone se bach jayenge.
Alerts set karne ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kare:
- Google Analytics me sign in kare
- Admin control panel me jaye
- Custom Alert > New Alert pe click kare
Ab aap apne alerts ke name aur parameter set kare.
7. Google Analytics Health Checklist
Google Analytics kaise kaam karta hai ye janne ke liye sab se accha tareeqa hai ke aap health check kare.
In 10 point checklist se start kare:
- Kya koi additional platforms connected hai? (Google Ads, etc.)
- Kya site search enabled hai?
- Kya aapne koi aise metric ke liye alert set kiya hai jiske liye aapko immediate action ki zaroorat ho?
- Kya aapne apne khud ke IP address ko block karne ke liye filter add kiya hai aur kya aapne apne site pe traffic bhejne wale kisi bhi spam site ko block kiya hai?
- Kya aapne Demographics and Interest Reports ko enable kiya hai?
- Kya aapke site search me logo ko wo mil raha hai jo unhe chahye?
- Aapka bounce rate kya hai?
- Kya pichle week me traffic me bhari kami ya beshi aayi hai? Agar haan to kaun se sources ke liye – organic, paid, referral?
- Kaun se key terms ke liye aap ranking kar rahe hai?
- Aapke site pe content ka most popular piece kaun sa hai? Aur kyu?
Ek SEO professional ke liye Google Analytics ko samajhna bahut zaroori hai.
Google Analytics aapko sirf ye samajhne me help nahi karta hai ke kya kaam kar raha hai bulki ye bhi samajhne me help karta hai ke kya nahi kar raha aur kyu nahi kar raha.
Yaha pe jitne bhi data ke bare me bataya gya hai wo sab free me available hai bus aapko bus ye janna hai ke iska fayda kise uthaya jaye.
To Doston bas itna hi, Ummid hai aapko ye article ( Google Analytics ko kaise setup kare? ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO Guide in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko SEO aur WordPress Ke Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read More :
- Step by Step – WordPress SEO Complete Guide for Beginners
- WordPress Yoast SEO Plugin Install and Setup Kaise Kare ?
- Google Analytics Admin Dashboard Set Up Kaise Kare