Kya aap apne WordPress website ki visibility ko SERP me boost karna chhate hai? Better SEO results ke liye aapko in common mistakes ko avaoid karna hoga. Agar aap bhi WordPress site run kar rahe hai aur SERPs me zyada visiility aur traffic chate hai to aapko in WordPress SEO mistakes ko avoid karna hoga.
Is post me hum aapko kuch most common WordPress SEO mistakes aur ise fix kaise kare ye batayenge.
Common WordPress SEO Mistakes
Agar aap in WordPress SEO mistakes ko avoid ya fix karenge to ye aapke WordPress SEO ko boost karne me kafi helpful hoga.
1. Time Zone Set Karna Bhool Jana
Jub bhi aap apne post ko future me kabhi post karne ke liye schedule karte hai to aapko din ke kisi time ko select karna hota hai.
Aur aise condition me agar aapka time zone correctly set nahi hoga to aap jis time content ko share karne ka soch rahe hai us type wo nahi hoga.
Ye aapke work ke views, shares sab kuch ko affect karta hai, ultimately ye aapke organic engagement me rukawat dalta hai.
Aap setting me General me ja kar apne time zone ko select kar sakte hai.
Aap dropdown menu me Timezone labeled section me apne timezone ko select kar sakte hai.
2. Aapka Database Connection Establish Nahi Hai
Agar aapko database connection establish nahi hone ka error notification milta hai to aapka screen kuch is tarah dikhega.
Agar aapke sath bhi ye condition hai to iske liye kuch possible solutions hai:
Apne WordPress hosting provider kocall kare: Aisa ho sakta hai ke unke end me kuch garbar ho.
Apne wp-config.php file ko open kare: Aap file manager ya file transfer protocol (FTP) ki help se ye kar sakte hai. Agar zaroorat parti hai to file ko database, host, username, aur password ke naam ko correct
Check kare ke aap hack nahi huye hai: WordPress ke SEO-friendly nature hone ke bawajood dusre site ke comparsion me ye zyada hacking prone hai. Apne developer se contact kar ke ya security tool
ka use kar ke aap ye jan sakte ahi ke aapka site hack hua hai ya nahi. Aar aapka site hack ho gaya ha to apne login information ko turant change kijye aur backup ki help se apne site ko turant restore kijye.
3. Social Meta Data ko avoid karna
Agar aap SEO pe focussed hai to social media aapke mind me koi khas chiz nahi hogi.
Lekin aapko is baat ko na bhoole ke ye tool aapke site pe logo ko lata hai aur aapke traffic ko increase kar ke ranking ko badhata hai.
Facebook ke liye open graph meta data ko enable karne ke liye Yoast SEO tool ka use kare.
Aisa karne ke liye apne SEO Yoast Plugin me social pe jaye aur slide kar ke Add open graph meta data ko Disabled se Enabled kar den.
Aisa karne se aap ye specify kar sakte hai ke aap apne post ke sath kaun si photo share karna chhate hai.
Twitter panel me Twitter card meta data ko enable kare.
Add Twitter card meta data ko Disabled se Enabled karne ke liye slide kare.
Ye aapke URL ko kisi ke share karne pe full preview me badal deta hai.
4. XML Sitemap Na Hona
XML sitemap aapke site ka map hai jo XML format me hota hai. Agar aapne abtak apne sitemap submit nahi kiya hai to ab aap kar le.
Aap Yoast SEO plugin ka use kar ke easily apna sitemap create kar sakte hai. Iske liye aap niche diye gaye post ko follow kar sakte hai.
Apne sitemap ko Google Search Console me submit karne ke liye aap Google search console guide ko follow kar sakte hai.
5. 500 Internal Server Error
Agar white screen pe Internal Server Error aa raha hai to iska matlab hai ke aap 500 internal service WordPress error ko face kar rahe hai.
Ise resolve karne ke liye aap niche diye gaye post ko follow kar sakte hai.
6. Wrong Permalinks
SEO me Keywords shamil hai lekin ye sabkuch nahi hai.
Aap apne ranking ko improve kar sakte hai tittle se correlate karne ke liye apne post ke permalinks ko change kar ke click-through rate (CTR) ko badha sakte hai.
Apne harek permalink ko manually change karne ki jagah aap ise apni setting me automate kar sakte hai.
Apni settings me Permalinks me click kare, yaha pe aapko kuch options dikhenge jaise plain, date aur numeric. Aapko yaha pe Post name wale option ko select karna hai.
Permalink ko edit karte waqt is baat ka dhyan rakhe ke aapka target keyword usme shamil ho.
7. Footer Space Ka Use Nahi Karna
Internal linking ko improve karne aur logo ko apni ko lambe time tak browse karne ke liye aapko pane website ke home page aur dusre important landing pages ke footer me link ko add karna chhaye.
Jub Google websites ko crawl karta hai to wo branded anchor text ki help leta hai. Isi wajah se ye strategu aone simplistic nature ke bawajood bahut beneficial hai.
8. Irregular Content Rollout
Jitna zyada content aap publish karte hai utne zyada keyword ko aap target karte hai aur is tarah se aapke search engine results pages pe rank karne ke chances utne zyada ho jate hai.
Ye bhi sahi hai ke jitna zyada aap post karenge utna zyada quality traffic aapke site pe ayega.
9. Aap Ne Google Analytics Destination Goals Set Nahi Kiya
Hamare apni site me zyada se zyada SEO achieve karne ka main goal conversion hota hai.
Aur yahi wajah hai ke hame apme Google Analytics me destination goals ko setup karna chahye.
Aap is tool ka use ye measure karne ke liye kar sakte hai ke aapka kitna organic traffic conversion me change hota hai.
Jub koi conversion ho to uske liye “thank you” ya “congratulations” page create kare.
Aap is page ka use apne conversion ko measure karne ke liye kar sakte hai ke kya aap apne conversion goal tak pahunch rahe hai.
10. Apne Content Ko Refresh Nahi Karna
Content production zaroori hai. Lekin hame sirf content ko hi produce nahi karna chahye.
Ek sa seb se common WordPress errors jo log karte hai wo hai ke wo content refresh ya update nahi karte hai.
Agar aap aisa karte hai to aap apne content ko hamesha up to date aur evergreen bana sakte hai.
Aur agar aap apne content ko refresh nahi karte rahenge to aap bahut jald apne valuable traffic ko loss kar sakte hai.
11. Your Connection Has Timed Out
Agar aapke samne aisa screen a jata ahi jispe likha ho connection has timed out to aapko ise resolve karne ke liye kuch steps follow karna hoga. Is prolem ko resolve karne ke liye aap niche diye gaye post ko follow karna hoga.
Agar aapka Memory Limit exhaust ho gya hai to use increase kare
Apne memory limit ko increase karne ke liye aapniche diye gaye post ko follow kare.
Apne sabhi Plugins Ko Deactivate Kare
Apne sabhi plugin ko deactivate karne ke baad one by one activate kar ke ye janne ki koshish kare ke kaun sa plugin ki wajah se ye error show ho raha hai.
Default WordPress Theme Ko Revert Kare
Is baat ka dhyan rakhe ke default WordPress theme pe revert karne se pahle apne site ka backup kar le.
Aapka theme bhi is problem ki wajah ho sakta hai.
12. Broken Links
Aapko apne Broken Links ko regular basis pe check karte rahna chahye. Broken Links tab show hota hai jub external links change ho jata hai ya phir aapne apne permalinks ko ulter kiya hota hai.
Broken Links ko find karna mushkil nahi hai, aur aapko is WordPress error ko manually resolve karne ki zaroorat nahi hai.
Aap Broken Link Checker tool ka use kar ke apne broken link ko find kar sakte hai. Aap Broken Links ko fix karne ke liye niche diye gaye post ko follow kar sakte hai.
13. Scheduled Maintenance ki wajah se Site ka Unavailable Show Hona
Agar aapko “unavailable for scheduled maintenance” ka message aa raha hai to aapko pareshan hone ki zaroorat nahi hai.
Aisa tab hota hai jub WordPress kisi theme ya plugin ko update karta hai.
Aap apne WordPress account me jakar manually update kar sakte hai.
14. WordPress 404 Error
Ye issue zyadatar permalink settings ki wajah se aata hai.
Is issue ko fix karne ke liye Settings me Permalink me jaye.
Yahan pe aap apne permalinks ko reconfigure kar sakte hai. Aap manually use change kar sakte hai ya default setting ko overwrite kar sakte hai.
404 errorko fix karne ke lliye aap WordPress 404 Error ko kaise fix kare ye article padh sakte hai.
15. Schema Markup ka Use Nahi Karna?
Schema markup aapke SEO potential me bahut zyada difference la sakta hai.
Agar aap iska use nahi karte hai to iska matlab ye nahi hai ke iske liye aapko penalize kiya jayega. Lekin aapko ek acche opportunity ko miss nahi karna chahye.
Bahut tarah ke schema markup hai jise aap implement kar sakte hai jaise star ratings, Q&A schema aur FAQ schema.
Aap WordPress plugins ka use apne site pe schema implement kar sakte hai.
16. ‘Memory Exhausted’ WordPress Error
WordPress website me memory ka ek allowed byte size hai.
Agar aap plugin ya script ki wajah se us limit ke aage jayenge to aapko memory exhausted error show hoga.
Aapko apne is error ko resolve karne ke liye apne Memory Limit ko increase karna hoga. Is error ko fix karne ke liye aap is post WordPress me Memory Exhausted Error ko Fix kaise kare ko foll17ow kare.
17. ‘Missed Schedule’ Error
Agar aap unlogo me se hai jo time se pahle post ko schedule karte hai to aapko “missed scheduled post” WordPress error ka samna karna par sakta hai.
Aisa isliye hota hai kyuki WordPress post scheduling ke liye “cron jobs” ka use karta hai.
Unfortunately, wo kabhi kabhi fail ho jata hai, aur aapko dashboard se apne post ko manually post karne ki zaroorat hoti hai.
Agar aap system pe depend hona nahi chahte hai kyuki ye future me kabhi bhi fail ho sakta hai to aap Scheduled Post Trigger WordPress plugin ka use kar sakte hai.
18. White Screen of Death
Agar aapko WordPress error message ke bina ek plain old white screen dikhta hai to aap iski wajah se frustrate ho sakte hai.
Ise resolve karne ka do primary tareeqa hai jise aap use kar sakte hai.
- Agar aapka memory limit exhaust ho chuka hai to aap use increase kar de.
- Apne theme ko default pe set kare aur sabhi plugins ko disable kar de.
19. Apne WordPress Site ko Aap Back Up Karna Na Bhoolen
Kuch common WordPress errors ko fix karne me shayad aap apne site ka backup lena bhool sakte hai. Is baat ka dhyan rakhe ke aap apne site ka back up lena na bhoole.
Aage jane aur zyada mistake karne se pahle aapke liye ye zaroori hai ke aap apne site ka backup le len, taki aapki problem zyada na badhe.
Is tarah se agar aapki site pe kuch aur zyada problem create ho jata hai hai to aap apne back up se apne site ko recover kar sakte hai.
20. Aapka Tags & Categories Dono Live Hai
Apne WordPress websites ke sath jo biggest mistakes log karte hai wo ye hai ke wo apne tags aur categories dono ko live chor dete hai.
Aapko in dono me se sirf category ka use karna chahye.
Agar aap categories ko live kar rahe hai aur use noindex nahi karte hai to aapko unhe dynamically optimize karna hoga. Aap Yoast ki help se aisa kar sakte hai.
21. Aapko AMP Ke Bare Me Decide Karne Ki Zaroorat Hai
AMP ki baat ki jaye to yaha pe aapko ek bahut bara decision lena hoga.
Aap ya to 100% iska use kare ya phir ise poori tarah se skip kar de.
Agar aap AMP ko install karne ja rahe hai to is baat ka dhyan rakhe ke aap iske liye us page ko select kare jiske liye aap ise use karna chahte hai.
Aapko AMP ka use sirf apne blog section ke liye karna chahye.
Aap ise dusre pages ke liye bhi use kar sakte hai lekin ek baat ka dhyan rakhe ke aap ise maintain karne ke liye tayyar rahe.
Zyadatar log official plugin ka use karte hai.
22. Aapka Sidebar Maximized Na Ho
Aapko apne site pe sab se pahle ye batana chahye ke aap kaun hai aur aap kya karte hai. Is tarah se log ye jaan ke wo internet pe kaha pe hai aur ya unhe is page pe land karna chhaye.
Iske sath hi aapko call to action me in chizon ko shamil karna chaye:
- Categories.
- Best posts of all time.
- Social media link.
- Email captures.
- Top pages jinhe aap website pe rank karna chahte hai.
23. Pop-Up Tool Ka Nahi Hona
Pop ups ko log sirf like hi nahi karte hai balki ye aapke liye bahut accha kaam bhi karta hai. Isliye aapko chahye ke aap ise responsive way me use kare.
Sumo and OptinMonster kuch tools ke naam hai jinhe aap use kar sakte hai.
Ye dono ttol dusre kaamo ke sath sath pop-ups bhi offer karte hai.
Aap apne top pages pe in tools ki help se pop-ups ko easily display kar sakte hai.
Aap iska use kar ke apne lead ko 14% tak increase kar sakte hai.
24. Aap Core Web Vital Errors & Page Speed Issues Ko Check Nahi Karte Hai
Core Web Vitals 2021 ka ek important ranking factor hai.
Aapke liye ye bahut zaroori hai ke aap apne Google Search Console me check kare ke Core Web Vital errors nahi ho.
Iske sath hi aapka page jitna zyada fast hoga aapke liye wo utna accha hoga.
25. Aap Push Notifications ka Use Nahi Karte Hai Aur Remarketing Lists Nahi Banate hai
Push notifications bahut powerful hota hai. Push notification ke liye aap Pushnami tool ka use kar sakte hai.
Aapke liye ye bhi ek accha idea hai ke aap analytics tracking ke liye Google Tag Manager ko install kar le taki aap apne ads ke liye remarketing lists bana sake.
Ye kuch ghaltiyan hai jise hum apne site pe mainly karte hai. Isliye agar aap SERP me top me aana chate hai to aap in errors ko apni site pe karne se bache taki aap high traffic gain kar sake.
Ummid hai aapko WordPress SEO mistakes ka ye article (25 Common WordPress SEO mistakes) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.