Yoast SEO plugin me aapko apne har ek page ke liye ek focus keyphrase input field milega. Yaham pe aap Google me apne page ko rank karne ke liye keyword ya keyphrase enter kar sakte hai. Jub aap keyphrase ka use karte hai to Yoast SEO aapke content ko check karega ke kya search engine ye pahchan payega ke aapka content kis bare me hai. Is Post me hum aapko janege Focus keyword kya hai uske bare me batayenge aur iske sath hi ye bhi batayenge ke hum right focus keyword kaise choose kare.
Focus Keyword Kya Hai?
Focus keyword ya keyphrase wah search term hai jiske liye aap apne page ya post ko rank karana chahte hai. Jub kabhi bhi log us search term ko search engine pe search kare to aapka post us search term ke liye SERP me visible hona chhaye.
Agar aap Yoast SEO ki help se apne page ke liye focus keyphrase set karte hai, to plugin aapke page ke content ko evaluate karta hai aur us search term ke liye aapka page high rank kare isliye aapke content ko behtar banane ke liye feedback provide karta hai.
Aapko apne post ke niche Yoast SEO meta box me apne focus keyword ke liye input field milegi.
Ya phir agar aap apne screen ke top right side me Yoast icon click karte hai to Yoast SEO sidebar me focus keyword enterkar sakte hai.
Aapko SEO analysis tab me apne content ko behtar banane ke liye feedback milega. agar aap diye gaye feedback ke according chalenge to aapke page ke content ko search engine ko ye jaane me aasani hogi ke aapka page kis bare me hai.
Focus keyphrase Kyu?
Regularly apne site pe quality content add karna ye accha SEO strategy hai. Aise me Google ye dekhta hai ke aapki site active hai kyuki naye content add kiye gaye hai aur aapke content ka volume bhi increase ho raha hai.
Lekin site pe randomly content ko add karna useful nahi hai. aapko keyword strategy tayyar karni hogi, aur un strategy ke base pe aapko apne audience ke liye high-quality content tayyar karni chahye.
Aur jub aap un articles ko likhte hai to aapko apne target kiye huye keyword ke liye apne content ko optimize karna important hai. Aur yahi pe Yoast SEO aapki help karta hai.
Focus keyphrase Kaise Choose Kare?
Apne focus keyphrase ko choose karte waqt aapko blog post ke liye kaun kaun se keywords ya keyphrases ko optimize karna chhaye usko dhyan me rakhte huye aapko kam se kam teen cheez karni chahye ki.
- Un focus keyword ko find karna jinhe log dhundh rahe hai.
- Search volume pe research kare
- Apne Keyphrase ko Google kare
To chalye ab is steps ko ek ek kar ke elaborate karte hai.
1. Un focus keyword ko find karna jinhe log dhundh rahe hai
Jaisa ke humne pahle hi mention kar diya hai ke aapka keyword strategy aapko kuch idea provide karta hai ke aap kis bare me likhna chhate hai. Agar aapke pass koi keyword strategy nahi hai to aapko create karna chahye. Aap hamare keyword research guide ko follow kar sakte hai.
Tool jo aapko keyphrases find karne me help karenge
Yoast SEO plugin aapko apne choose kiye gaye focus keyphrase ke liye post ko optimize karne me help karega. Aap Google keyword planner ki help se bhi apne focus keyphrase ko find kar sakte hai. Ye Google ka ek free toll hai jo aapko keyphrase ka search volume, ranking difficulty etc batata hai.
Iske sath hi aap Yoast Suggest tool ka bhi use kar sakte hai. Ye tool pahle dus keyword ko dhundhne ke liye Google Suggest ki tarah data ka use karta hai aur phir use expand karta hai. Ye usi tarah kaam karta hai jis tarah aap Google search box me search term ko type karte hai
Jin terms ko aap suggest me find karenge wo ya to words ke combination ho sakte hai ya phir single word honge joki logical honge aur inhe web pe search karne ke liye actual logo ne use kiya hota hai. Ye tool aapko aapke likhe janae wale particular area ke logo ke search behavior ke bare me first idea dene me helpful honge.
Aap Answer the Public ka use kar ke ye jaan sakte hai ke log kis particular topic ke bare me question karte hai. Yaha se aapko new post ke liye bahut sare inspiration milenge.
Is baat ko dhyan me rakhe ke ye search suggestions hamesha change hota rahta hai. Ye suggestion is baat pe based hoga ke aapne pahle kya search kiya hai.
Jub humne kuch din pahle “focus keyword” term ko search kiya tha to suggest output ye the:
Baad me output ye aaya:
Logo ke problem ke base pe suggest change hota hai, isliye important keyword ke liye ise monitor karna helpful hoga.
2. Search Volume Ke Keyphrase ka Research Kare
Ek bar jub aapko long-tail search term mil jaye to aapko uske liye rank karna hoga. Aapko kuch effort laga ke ye janna hoga ke kya us keyword or phrase ka search volume zyada hai ke nahi.
Google Trends ki help se aapko creative way me iska kuch idea mil jayega. Iske sath hi aap Google keyword planner ki help se bhi aap search volume ka pata laga sakte hai.
Google Trends aapko ek time me do search terms ke search volume ko compare karne ke liye allow karta hai. Is se aapko apne search term ke search volume ka kuch idea mil jata hai.
Apne Already Ranked Post ko Check Kare
Agar aapke pass pahle se acche kucch acche terms ke liye ranked post hai to aap jaan jayenge ke ye post kitne visitors ko attract karte hai. Google Trends ki help se agar aap apne apne old post ke keyphrase ko apne newpost ke liye soche gaye kayphrase se compare karenge, to is se aapko ye idea lag jayega ke aapka new keyphrase kitni traffic layega.
Aap apne aise old post ko choose kare jo aapke aapke new post jise aap likhne ja rahe hai us se similar ho. Agar aap long-tail keyword choose karne ja rahe hai to aap use long-tail keywords wale psot ke sath bhi check kare.
Google Trends ka use karne ka ek accha tareeqa ye hai ke jub aap bahut sare (long-tail) focus keywords ka use kar rahe ho. Kyu ki ye aapko easily ye shoew kar dega ke kis search term me dusre ke comparison me highest search volume hogi.
Isliye is se aapko ye janne me help milega ke kis long-tail keyword ko search me zyada use kiya jata hai.
3. Apne Keyphrase ko Google kare
Is baat ko janne ke baad ke kaun se search terms ko log use kar rahe hai, aapko ye jaane ki bhi zaroorat hai ke kya aapke post ya pages ke ideas un logo ki zaroorat aur expectations pe poora utar raha hai jo in search terms ka use karte hai.
Aapko search ke intent ka pata lagane ki zaroorat hai. Ke search karte waqt log kya result chahte hai.
Agar aap ye janna chahte hai ke aapka content logo ke search intent ko satisfy karta hai ke nahi to aap khud apne proposed keywords ko Google kare.
Search Engine Result Pages Ko Check Kare
Aap thora time le aur search engine result pages (SERPs) ko check kare. Ab aapko search result me aane wale article se apne article ko compare karna hai. Aapko ye dekhna hai ke kya aapka article search result me aane wale article me fit karta hai.
Search result pe dikhaye gaye content ka type aapko ye decide karne me help karega ke aapko apna content kis tarah ka tayyar karna hai.
Result Page Content
Result page ke content ko apne blog post ke liye ek inspiration banaye. Aapko aise content tayyar karne hai jo in sare result page ke content se ehtar ho aur aapka content inse different ho.
Aap aise content create karne ki koshish kare jo aapke readers ko uspe click karne aur share karne pe majboor kar de.
Social Media Aur Forums Ko Check Kare
Bahut sare social media aur various online forums pe ye check akr sakte hai ke log is topic ke bare me kya baat kar rahe hai. Ye aapko aapke post ya page ke liye bahut sare information provide karega.
Aap yaha pe directly un logo ko address kar sakte hai jinke pass aapke topic se related questions ya koi difficulty ho. Iske sath hi ye aapko aise word ko use karne me help karega jiski help se aap apne audience tak easily pahunch sakte hai.
Kya Sabhi Pages Pe Focus Keyphrase Hona Chahye?
Aksar log janna chahte hai ke kya unke about page or contact page me focus keyword hona chhay, aur hona chahye to wo hoga.
Iska answer bahut aasan hai. Har ek page me focus keyword ki zaroorat nahi hoti hai. Aapke contact page easily reachable hona chhaye.
Example ke liye aapko “<company name> address” ke liye rank hone ki zaroorat ho sakti hai. Ye ek focus keyword ki tarah samajh me nahi aata isliye hume ise khali ho chor dena chahye.
Iske sath hi khud se ye zaroor pooche ke kay aap apne post ko long term ke liye rank karna chahte hai. Kuch post jaise temporary announcements ko hame optimize karne ki zaroorat nahi.
Ummid hai aapko ye article (Focus keyword kya hai aur hum right focus keyword kaise choose kare) informative lagi hoaa. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (SEO in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress aur SEO Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.