How to forward multiple emails in Gmail: Texting aur social media sites communication ke liye kafi popular ho gaye hai. Lekin jub business ki baat aati hai to abhi bhi e-mail communication world ka king hai. Agar aap business environment me kaam kar rahe hai to aapko bulk me email bhejne ki zaroorat parti hogi. Aaj is post me hum aapko batayenge ke aap multiple email kaise bhej sakte hai.
Multi Forward for Gmail chrome browser ka ek extension hai jiski madad se aap apne gmail me ek sath kayi email forward kar sakte hai. To aaeye dekhte hai ke ye hum kaise karen.
How to forward multiple emails in Gmail
- Chrome Store pe Multi Forward for Gmail extension page pe jayen
- Apne browser me Extension ko add karne ke liye “ADD TO CHROME pe click karen
- Extension ko apne chrome browse me add karne ke liye “Add” pe click karen.
- Extension ke browser me add ho jane ke baad aapko browser’s menu bar me uska icon dikhega. Ise proper work karne ke liye aap browser ko close kar ke reopen karen
- Jub browser reopen ho jaye to menu bar me extension ke chote arrow icon pe clik karen.
- Ab Gmail account ko access karne ke liye ‘sign in’ ke button pe click karen.
- Aap google panel me jayen wahan pe aapko extension ko apne Gmail account ke information ko access karne ke liye authorise karna hoga. Authorization process ko aage badhane ke liye “continue” button pe click karen.
- Ab “Accept” button pe click karen taki extension aapke account se mail bhejne ke liye important information ko access kar sake.
- Ab aapko ek message milega jisme bataya jayega ke aap extension ko kaise use karen. Aap us tab ko close kar den.
- Ab message ke forwarding ke process ko start karen. Apne Gmail ka inbox open karen aur un emails ko select karen jise aap forward karna chah rahe hai. Top me aa rahe chote arrow icon pe clcik karen
- Ab aapko recepients ke email address ko enter karna hoga. Aap multiple email-address ko enter kar sakte hai. Aur aap “Multi-Forward” button pe click kar ke forwarding process ko start kar sakte hai.
- Selected email ko forward hone me kuch time lagega. Email process hone ke waqt aapko niche dikh rahe jaisa screen dikhega.
- Process complete ho jane ke baad aapko niche dikh rahe jaisa success message milega. Ye aapko batayega ke aapke bheje gaye sabhi message successfuly recipients tak forward kar diye gaye hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.