Facebook poori duniya me 1 billion se bhi zyada daily active user ke sath sabse popular social networking websites me se ek hai. Facebook fan page bana kar aap apne potential readers, clients, aur customers ko khud se connect hone ka ek mauqa dete hai. Apne social media skills ke base par aap apne Facebook fans ko conversation me shamil kar sakte hai aur apne brand aur product ko promote kar sakte hai. Agar 1 billion se zyada active user hone ke bawajood aapka brand facebook pe nahi hai to ye aapke liye ek drawback ho sakta hai. To aaeye dekhte hai ke facebook pe hum apna Business Page Kaise Create kare.
How to create Facebook Fan Page
- create a Facebook page link pe click kare
- Apne Bussiness ke type ko select kare. Brand ki right category aapko right audience tak pahunchne me help karegi.
- Agar aap Apne website or blog ke liye page bana rahe hai to “Brand or Product” ya “websites” ko select kare.
- “Get Started” pe click kare
- Page Name aur Category select kare
- Deatail enter kare aur apne fan page ke liye profile picture choose kare
- Page ke liye Cover Choose kare
- Fan page ke liye hamesha apna official Gravatar select kare lekin agar aapka apna Gravatar na ho to aap hamesha aise picture select kare jo aapke brand’s logo se similar ho
- Facebook aapko apne fan page ke liye invite ke options bhi deta hai aap agar chahe to ise abhi ke liye skip kar sakte hai.