Agar ap aj ye Article parh rhe hai to aj ap aise technical term ko jan ne ja rhe hai jiska use ap aj ki life me har waqt krte hai.To dosto aj is article me ap janege ke “wi-fi kya hai” aur wi-fi kaise kam krta hai.
kya apko pta hai wi- fi ane ke pahle hamare pass koi bhi information bhejne k liye sirf ek means cable tha, jiske through hum koi bhi digital information internet pe bheja krte the phir jub internet ka use popular hua to logon ko cable se connect krne me problems hone lagi phir yhi se wi-fi technology ko bnane ki shuruat hui, Aur aj ye technology itni enhance hogyi hai ke her ghar me wi-fy use ho rha hai.
WI-FI kya hai.
Wi-fi modern era ka data transfer krne ka sub se asan aur tez technique hai.Bahut se logo ko misconception hai k wi-fi ka poora nam “wireless fidelity”,hai jub ke aisa nhi hai Wi-fi ek simple trademark phrase hai jiska meaning hai IEEE 802.11x.Wi-Fi ek popular wireless technology ka nam hai jo wireless high speed Internet aur Network provide krne k liye Radio wave ka use krta hai jisse ke hamare device ko web se information receive krne ki permission milti hai . ye ek aise technology hai jo hame ek limitted area tak apne phone, PC, Laptop ko high spees Internet se connect karta hai. Wi-Fi ek word hai jise 1999 me branding company ke dwara ek nam k roop me bnaya gya tha jise hum hi-fi se samanta ke karan easily recall kar sakte hai.
WI-FI Technology kaise kam krta hai
wi-fi ko kam krne k liye ek chote se device ki zaroorat hoti hai jise hum wireless transmitter ya hub ke nam se jante hai. Ye device home broad band k use se Internet se information receive karta hai, Aur phir ye transmitter information ko Radio wave m convert krke apne nearby devices ko Radio wave k through internet provide krta hai, aur ek chota local area network banata hai jiske andar jitne bhi devices hote hai wo is network ke through Internet se connect ho sakte hai.wi-fi radio signal ka use krta hai aur hum jante hai k radio wave zyada strong nhi hota hai, aur yhi reason hai k wi-fi network zyada coverage nhi deta hai. Ap jitna router k nazdik rhenge apko utna strong connection receive hogi, aur jitna dur jayenge utna hi network strength decrease krta jayega.
Wi-fi ke features
Wi-Fi ek apne network k andar roaming free service provide krta hai.
Wi-Fi ek faster aur secure network means provide krta hai.
Network separation ka liye WI-FI Virtual Local Area Network provide krta hai.
WI-FI 108 150 aur 300 link speed provide krta hai.