Agr apka bhi ye sawal hai ke YouTube Channel Kaise Banaye , Youtube Channel se Paise Kaise Kamaye , Youtube par Channel Banakar Paise Kaise Kamaye , Online Paise Kaise Kamaye ya fir Apne Naam ka Youtube Channel kaise banaye aur aap ye nhi jante hain ki YouTube Channel kaise banate hai, balke aap YouTube Channel ke bare me kuchh bhi nhi jante hain, to is article ko pura end tak bilkul dhayan se padhen.
Jab aap is article ka koai bhi point bina miss kiye huye end tak padh lenge to apke jo sawal hain YouTube Channel Kaise Banaye , Youtube Channel se Paise Kaise Kamaye , Youtube par Channel Banakar Paise Kaise Kamaye , Online Paise Kaise Kamaye ya fir Apne Naam ka Youtube Channel kaise banay ye sare sawal khatm ho jyenge aur apke sare doubts khatm ho jyenge aur aap YouTube Channel Kaise Banate hain , Youtube Channel banane ke liye kin kin baton pe dhayan dena zaruri hai aur kin kin chizon ki hume zarurat padegi ye app puri trh se jaan jayenge.
Apke asani ke liye humne is article ko kuchh parts me devide kiya hai, vo sare parts niche diye huye hain, aap dekh skte hain :
- YouTube Channel ka Content Kya Hoga ? Kaise Deside Kren ?
- YouTube Channel ka Name Kya hoga ?
- YouTube Channel ka Gmail Account bnye ?
- Youtube Channel Kaise Banaye ?
- Kaun Kaun Se Equipment ki Zarurat Padegi ?
- Audio / Video Recording Ke Liye Free Sowftare Kaun Kaun Sa Use Kren ?
- Video Editing Ke Liye Free Sowftare Kaun Sa Use Kren ?
- Background Ke Liye Free Music Kahan Se Len ?
- YouTube Thumbnails Kaise Banaye ?
- Video Ko Apne YouTube Channel Pe Kaise Upload Kren ?
- YouTube Copyright Se Kaise Bache ?
- Apne Viewers Ke Sath Connect Rahen .
- Negative Comments Ka Kya Kren ?
- Video Ko Regularly Upload Karte Rahe .
- YouTube Channel Ko Monetize Kaise Kren ?
- YouTube Channel Se Paise Kaise Kamte Hain ?
Youtube Channel kaise Banaye ?
1 – YouTube Channel ka content kya hoga ? Kaise deside kren ?
Youtube channel banane ke liye sabse importent hai ki hum apne channel pe kya content rkhnge iske bare me sochna, Qki har YouTube channel ki ek identity hoti hai, aap ek hi channel pe sare topic ka video nhi daal skte hain, usse apke jo viewers hone vo confuse ho jyenge, isliye apko ek tarh ka content dalna hoga, jaise ke hum apko kuchh ideas dete hain examples ke liye :
- Vlogging
- Unboxing
- Reviews
- How to Do Something: Tutorials
- Cooking
- Education
- Comedy
- Lifestyle Advice
- Animation
- News
- Makeup / Beauty Tutorials
Ye hain kuchh YouTube Channel Ideas jinpe aap work kar skte hain, to jaisa ke maine batya ek TouTube Channel banane ke liye sabse apko YouTube Channel ka content kya hoga ye sochna hai, to ab apko apne YouTube Channel ka content kya hoga ye sochne me asani hogi.
2 – YouTube Channel ka Name Kya hoga ?
YouTube Channel ka content kya hoga ye sochne ke baad apko ab sochna hai ke YouTube Channel ka Name Kya hoga , Dhayan rahe ki aapne jo bhi content socha hai usi se relates naam hona chahiye , aur naam aisa hona hona chahiye jise log easly yaad rkhen, aur soch samajh se naam deside krna hai qki YouTube Channel naam naam ko aap baar baar chnge nhi kar sakte, isse apko nuksan hoga, to aap apne YouTube naam aisa rakhon jo :
- Catchy ho
- Spell krne me easy ho
- Dhayan rhe ki apne jo naam choose kiya hai vo kisi aur ka naam na ho ya fir ksi dusre business ke sath confuse na ho
- Short aur Impressive
3 – YouTube Channel ka Gmail Account bnye ?
YouTube Channel ka naam deside karne ke baad apko ab jo karna hai vo hai Gmail pe account banan, Kiyunki YouTube account banane ke liye apke paas mail ID hona compulsory hai, Waise to aap kisi bhi gmail ID se YouTube account create kar skte hain, to agr apke paas pahle se mail ID hai aur aap chahen to usi mail ID se apna YouTube Channel create kr lijye.
Aur agr nhi hai to aapne jo naam deside kiya hai apne YouTube Channel ka koshish kijye usi naam ka apka mail ID ho. Agar nhi jante gmail account kaise create karte hain to aap niche diye gye article ko padh skte hain.
Gmail Account Kaise Create kare ?
Jab aap is articke ko padh lenge to apko apna gmail account kaise create krna hai vo clear ho jyega.
4 – Youtube Channel Kaise Banaye ?
To ab mere paas Content hai, Channel Name bhi deside ho chuka hai, aur us naam se Mail ID bhi create ho chuka hai, to bari hai YouTube Channel create krne ki :
- Youtube Channel Kaise Banaye ?
- Setp : A – Sabse pahle Youtube.com pe jaiynge.
- Setp : B – Fir top me Sing in ka option hoga click krnge.
- Setp : C – Uske baad Mail ID aur Pasword dal ke next pe click krenge.
- Setp : D – Ab profile Icon pe Click krenge, aur wahan se YOUR CHANNEL pe ayenge.
- Setp : E – Ab yahan pe Jo Channel Name apne deside kiya hai vo daliye aur CREAT CHANNEL pe click kr dijye.
- Setp : F – Ab yahan pe aap Customize Channel pe click kar ke kijye.
- Setp : G – Ab yahan pe Channel ka profile pic, Channel ka cover page aur channel ka About Edit kar lijye.
To ab hmara YouTube Channel to create ho chuka hai, aur Channel ka profile pic, cover page, about sabkuch update ho chuka hai, aur ab hmara channel ekdm ready hai video dalne ke liye to ab age dekhte hain ki hume ab video kaise banani hai aur kin kin chizon ka khayal rkhna hai.
5 – Kaun kaun se Equipment ki zarurat padegi ?
To ab humne apna YouTube Channel create kar liya hai, aur use pura update kar liya hai, yahan tak to humne kar liya, ab shuru hota hai hmara main kaam, YouTube Channel pe apna content dalna, to sabse pahle hum ye dekhnge ki hume kin chizon ki zarurat padegi apna content ready krne ke liye, yani ke YouTube Video Equipment list me kya kya hai vo dekhnge,
YouTube Video Equipment List :
- Camera
Agr aapke paas inme se koai equipment nhi hai to koai baat nhi qki bhut se beginner YouTubers hain jo starting me camera ke jagh webcam ya smartphone ka use krte hain, aur agr apke pass camera hai to bhut achhi baat hai.
- Microphone
Camera ke baad apko dhayan dena hai audio quality pe, kiyunki agr apke YouTube Video ki audio sound achhi nhi hogi to viewers apke content ke sath zyada der tak engaged nhi rahenge, Hum apko bilkul bhi ye recommend nhi krnge ki aap laptop aur camera me jo built-in microphones hote hain unko use kren, Kiyunki usually unki audio quality bhut bad hoti hai to apko ek achhe microphone ki zarurat hogi, Ek achhe YouTube Video sound ke liye.
- Tripod Ya Gimbal Stabilizer
Agr apke footage jo honge videos jo honge vo hilte dulte rhenge mtlb Unsteady nhi rehnge to vo apke viewers ko distract kar sakta hai, to Tripods aur Gimbal apke photos aur videos ko stabilize krnge, Ye bhut importent hai ki aap apne video ko kaise record kar rhe hain qki isi se apke video ka production value increase hoga.
- Lighting
Agr aap apni video ki recording indoor me kar rhe hain aur wahan area dimly hai to Lighting equipment apke liye necessary ho jata hai, Agr apke video me proper light rhi to ye apke YouTube Video quality me huge difference la dega.
- Green Screen
YouTube Video background ko agr Creative banan hai to uske liye green screen best option hai, App Green Screen ka use kar ke apne video me interesting backgrounds ko add kar skte hain, Apne viewer ko engage rkhne ke liye aap apne background ko replace kar ke usme kuchh interesting ko add kr skte hain.
To ye hai apki YouTube Video Equipment list in chizon ki apko zarurat padegi YoTube Video banane ke liye.
6 – Audio / Video recording ke liye Free Software kaun kaun sa use kren ?
Ab apko zarurat padegi apni audio aur video ko record karne ki, to yahan pe main audio aur video ko record karne ke liye jo software bataya hai vo hum khud apne YouTube Video ke liye use krte hain, to agr apko :
- Live audio Record aur Noise reduction krna hai to uske ke liye – Audacity
- Screen Recording krna hai to uske ke liye : OBS ( Open Broadcaster Software )
7 – Video editing ke liye Free Sowftare kaun sa use kren ?
Jab apki YouTube Video ek achi quality ke sath Record ho jati hai to bari ati hai Video Editing ki, jo sabse important part hai apne content ko apne viewer ke samne rakhne ka, ye bahut zyada matter krta hai ki aap apne YouTube Content ko kis terh se express kar pate hain, apki Video Editing jitni achhi hogi apke viewer apke sath utna hi engage rahenge, to aap apne YouTube Video ko Edit karne ke liye kuchh free software ka use kar skte hain.
- Hitfilm Express
- Davinci Resolve
- Avid Media Composition
Yesab software hain jinse aap apni video ko edit kar sakte hain, agr apko in sab software ke bare me aur detail me janna hai to aap niche di huai video ko dekh sakte hain.
Agr aap apni video ko mobile se edit krna chahte hain to kuchh Video editing application ate hain jinse aap apne YouTube Video ko edit kar skte hain unme se ek Appliction hai KineMaster – Video Editor is app se aap apne video ko edit kar skte hain.
8 – Background ke liye free Music kahan se len ?
YouTube Video me jo background music hota hai vo aap kahan se len, Sare music free nhi hote hain agr aap kahin se bhi music le lete hain to apko copyright aa skta hai isliye apko kahin se bhi music nhi lena hai, aap free music lene ke liye niche diye gye step o follow kren :
- Step : A – Apne YouTube Channel pe aaiye.
- Step : B – YouTube Channel me ane ke baad Video Manager me aaiye.
- Step : C – Video Manager me ane ke baad apko ana hai Creator Studio Classic me,
- Step : D – Creator Studio Classic me ane ke baad apko yahan pe krna hai Skip pe click.
- Step : E – Skip krne ke baad apko yahan pe ab jana hai Create me .
- Step : F – Ab yahan pe apko YouTube Audio Library mil jyegi jaisa ke aap niche diye huye picture me dekh skte hain, aap yahan se apne YouTube Video Music download kar skte hain, Inme apko kuchh music me attribution dena hoga aur kuchh me nhi, agr apko attributionto nhi dena to aap Attribution me jakr , Attribution Not Required choose kar lijye.
9 – YouTube Thumbnails Kaise Banaye ?
Video Banne ke baad aur video upload hone se pahle hum bnyenge YouTube Thumbnail, kiyunki YouTube Thumbnail bhut hi important hota hai viewers ko attract karne ke liye, Bhut se log to sirf YouTube Thumbnail dekh ke video ko open krte hain, To ab sawal ye hai ke YouTube Thumbnails Kaise Banaye, Apko YouTube Thumbnail banane ke liye bhut sare website, applictation, Software mil jate hai jisse aap free me YouTube Thumbnails design kar skte hain.
Lekin yahan pe hum apko suggest krnge ki aap apna YouTube Thumbnails design Adobe Photoshop mehi design kijye, agr aap apna YouTube Thumbnails Adobe Photoshop me design krna chahte hain to niche di gyi video apke liye kafi helpful hogi.
10 – Video ko apne Youtube Channel pe kaise upload kren ?
Finally, Ab aa gya vo time jiska apko intezar tha, Ab humlog ko dekhna hai ki Video ko apne Youtube Channel pe kaise upload kren, To iske liye humlog niche diye gye steps ko follow karnge :
- A – Sabse pahle www.youtube.com pe ayenge.
- B – Youtube pe ane ke baad humko Top me profile icon pe click krna hai, uske baad ana hai My Channel me,
- C – My Channel me ane ke baad apko click krna hai Upload Button pe aur fir Video Upload ko choose krna hai ,
- D – Ab yahan pe Publick Button pe click kar ke apko choose krna hai ” Private ” ko , Uske baad apko Click krna hai ” Select File To Upload ” pe fir jahan pe bhi apki video rakhi hai use choose kijye, aur open pe click kar dijye.
- E – Ab apko yahan pe manage krna hai apne YouTube Video ko, pahle to ye upload hone me thoda time lega fir YouTube Video ka apko TITLE kya rkhan hai vo dalna hoga, Uske baad YouTube Video ka Description likhna hai, Fir YouTube Video ka Tags dalnge, Uske baad YouTube Video ko Playlist me Add karne, Fir YouTube Video ka Thumbnail jo bnaya tha vo lagyenge,
- F – Ab Private ko hata ke Publish choose krnge, fir Publish pe Click kar denge.
11 – YouTube Copyright se Kaise Bache ?
Bahut se countries me jab koai person apna original work ko create karta hai to us kaam ka vo automatically copyright earn kar leta hai, For example apne apni koai Photo, Audio, Video bnaai to apne us work ki copyright earn ki aur agr us work ko kisi aur ne use kiya to aap uspe copyright case bhej skte ho, to isse apko bach ke rehna hai khud ka content create krna hai, aur isse bachne ke liye apko YouTube ke Terms of Service aur YouTube Copyright ke bare me achhe se padhna hoga,
Short me khun to apko Vulgar aur Illicit content nhi dalna hai, Website hack krte huye ya kisi bhi Account ko hack krte huye video nhi bnanai hai, Kisi dure ke content pe video bnate hain to uske owner se apko Permission lena hoga , Aap apne Video me jo Music/Sound use kar rhe hain vo copyright free hona chahiye, Etc, To in sb se apko bach ke rehna hai.
12 – Apne viewers ke sath connect rahen .
Ab apko apne viewers ke sath connect rehna hoga, agr unko kuchh droughts hai to vo solve kijye, Agr vo kuchh Comments krte hain to unka jawab dijye, Viewers ko agr apka behaviour pasnd ayega to vo apko like krne, apke videos ko like krnge, Vo apse zyada interact krne aur apne janne walon se bhi apke bare me baat krnge to isse apki popularity badhegi aur apko acha response milega.
13 – Negative Comments ka kya kren ?
Jab apne YouTube pe videos dala hai, to aapko comments to milngehi, aur agr apko ek achhi networking banani hai apni to apko comments padhne hi honge to aise me apka samna kuchh negative comments se bhi hoga, to apko krna ye hai ki pahle to ekdam se ignore krna, Magr apko laga ki ise jawab dena chahiye ya jawab dena bhut zaruri lge to aap kuchh aisa kehne se bachiye jo hateful ho.
Kabhi bhi Negative Comments ko Attention nhi dijye, Hamesha Confident aur Positive rahiye.
14 – Video ko regularly upload karte rahe .
Video ko regularly upload karte rahne se apke YouTube Channel ki ranking improve hogi, Apne YouTube Channel ko fresh rakhne ke liye apko videos ko regularly upload karte rhna hoga, Apke channel ko log tabhi suscribe krnge jab unko time to time aap videos dete rahen, ye bhut zaruri hai apke YouTube Channel ko grow krne ke liye.
15 – YouTube channel ko monetize kaise kren ?
Ab ati hai bari ki aap apne YouTube channel ko monetize kaise kren, to yahan pe apko sabr se kaam lena hoga, Qki kuchh logo ke Channel ke upr Monetisation bhut jaldi on ho jata hai mgr kuchh logo ke YouTube Channel ko Monetize krne me kafi zyada time lag jata hai,
Sabse pahle to YouTube channel ko Monetize krne ke liye apke Channel pe 12 months me 1,000 subscribers aur 4,000 watch hours hona chahiye, Tabhi aap Monetisation ke liye Apply kar payenge, to jab apke paas 1000 subscribers aur 4,000 watch hours ho jyega to apko ana hai. Apne YouTube Channel me yahan pe akr apko ana hai Channel me, Fir akr aap yahan se Monetisation ke liye Apply karnge.
16 – YouTube Channel Se Paise Kaise Kamte Hain ?
Apka sawal tha ki Youtube Channel Kaise Banaye , Yahan se shuru kiya tha humne aur apne sabkuchh step by step sikha, ab humlog baat krne ja rhe hain ki YouTube channel ko monetize kaise kren , YouTube pe jab apka Monetisation on ho jyega tab Apke videos pe Advertise ane lagega jisse apko Earning hogi, Uske sath aap Affiliate marketing se bhi paise Earn kar skte hain, Aur jab aap thoda popular ho jaiyega, apke viewers badh jyenge fir Aap Direct promotion kar ke bhi paise kama skte hain, aur aap Paid Video bhi bana ke earn kar skte hain.
To is article me humne jana ke Youtube Channel Kaise Banaye, agr apne honesty is YouTube Article ko padha hai, aur apne koai bhi step miss nhi kiya hai to apka YouTube ko lekr Concept bilkul clear ho gya hoga, agr apko kuchh bhi droughts hain to aap niche di huai videos ko dekh skte hain.
Hame umeed hai ke aapke liye ye post useful hoga. Isi tarah ki aur bhi jankari ke liye aap hamare blog ko aage bhi padhte rahe.