Agar aap apne WordPress website ko reset karne ke liye ek asan tarika dhund rahe hain aur apne website ko new installation ke sath shuru karna chahte hai to mai aapko yaha WordPress website ko reset karne ke liye ek aasan tarika bataugi jiske zariye aap apne WordPress site ko new installation ke sath default state me la sakte hain. To chaliye hamlog jante hain WordPress Website Reset Kaise Kare ?
WordPress Website Reset karne ke liye ham WP Reset plugin ka use karenge. WP Reset plugin kisi bhi file ko modify kiye bina default installation values ke liye site ke database ko jaldi se reset kar deta hai. Ye sabhi customization aur content ko delete kar deta hai ya theme setting jaise kuch selected part ko delete kar deta hai.
WP Reset plugin built-in snapshots ka use kar ke ek hi click me restore functionality provide karta hai. Isme multiple fail-safe mechanisms hai jisse aap kabhi bhi apna data nahi khoenge. WP Reset, Plugin aur theme development ke liye bahut helpful hai. Ye reset settings aur re-test code provide kar ke testing aur debugging ke speed ko badhata hai. Ye non-developers ke liye sirf ek WP development tool hai.
Aagr apko WordPress ke Admin Panel ke bare me confusion hai ya uske Core Feature ke bare me nahi jante hai, To aap hamare separate article WordPress Admin Panel Introduction Complete Guide ko read kar sakte hain Is article ko padhne ke baad apko WordPress ke sare core feature ke bare me complete knowledge mil jayegi.
WordPress Website Reset Kaise Kare ?
WordPress website reset karne ke liye, Sabse pahle aap apne WordPress website par WP Reset plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad, WordPress dashboard ke menu “Tools >> wp reset” par visit kare.
Note :- Apne WordPress Website ko Reset karne se pahle hamesha apne website ke content ka backup le lena chahiye.
Next “Reset” par click kare aur scroll down kar ke “Site reset” section me jaye, waha aapko 3 option milenge unme se jis option ko aap website reset karne ke baad bhi wapas reactivate karna chahte hain uss option par “mark” kare.
Ab “Type in reset” box par click kar ke “reset” likhe aur fir “Reset site” button par click kare. Jaise hi aap “Reset Site” par click karenge, waise hi aapko confirmation ke liye puchha jaega. Kyunki ye ek bahut important term hai taki aap apne site ko ghalti se “reset” par click kar ke reset na kare.
Next ab finally apne WordPress website ko reset karne ke liye, aap“Reset WordPress” button par click kare.
Ab aapka WordPress website reset hone ka proces hoga.
Finally ab website reset ho chuka hai. Apne website ko dekhne ke liye aap apne website ko visit kar sakte hain.
Ummid hai aapko ye article (WordPress Website Reset Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?