Beginners hamesha WordPress Update karne se darte hai, ki kahin unka website break na ho jaye. Ye dar understandable hai, Lekin website ke best security aur performance ke liye WordPress ka latest version use karna zaruri hai. Iss Beginner’s Guide me, Ham apko dikhaenge ki website ko bina break kiye ek pro ki tarah apna WordPress Update Kaise Kare ?
WordPress Update Kaise Kare ?
Apne WordPress website ko upgrade karna ek regular maintenance task hai. Hamne ek infographic create kiya jise reference guide ke tarah asani se follow kar sakte hai.
Poora infographic dekhne ke liye niche diye gaye image par click kare ya continue sara instruction padhe.
Why You Should Always Update WordPress ?
Yaha kuch points hai, Jo apko WordPress Update Kyu Kare samjhne me madad karega.
Security : WordPress platform bahut sare bugs, vulnerabilities, aur hacks ka daily samna krata hai. Isliye WordPress Update karne ka pahla wajah security hai. WordPress ke har new version me bug fixes ko thik kar ke security ko improve kiya jata ha. Jo WordPress site ke hack hone ke chances ko kam karta hai.
WordPress update karne se bug fixed ho jate hai aur security holes pached ho jate hai. Effectively kisi ke liye bhi site ko break karna bahot hi mushkil ho jata hai.
WordPress security research ko lead karne se pata chalta hai ki, Maximum hacked WordPress website sirf isliye hack hui hai kyunki wo update nahi thi yani ki old version use ho rahi thi.
New features and functionalities : WordPress apne har major update me new features aur functionalities ko add karta hai. WordPress update kar ke sirf new stuff ko hi nahi, Balki aap purane stuff ko bhi behtar bana sakte hai. Wo na ki sirf ek website owner ke roop me apka kaam asaan karega, Balki apke visitors experience ko bhi improve karega.
Speed : Har ek new version apke website ko pahle se faster banane ke liye optimizations geared ke sath aata hai.
Compatibility with modern tools and technology : Technology itni speed se develop hoti ja rahi hai ki ise banae rakhna mushkil hai, Lekin WordPress kisi bhi tarah se technology banae rakhta hai. Isliye kuch modern plugins ko use karne ke liye WordPress core ke new version hone zaruri hai.
Ab chaliye jante hai step by step WordPress Update Kaise Kare?
Prepare Before Upgrading WordPress
WordPress update karne se pahle sabse important kaam hai, Apne WordPress ka poora backup create karna. Bhale hi apke pas ek automated Backup WordPress Plugin set up ho. Fir bhi make sure karne ke liye new backup create kare. Aur ise remote location par safely store kare.
Ek complete backup me sab kuch shamil hai.
- Your WordPress database
- All your images and media uploads
- Your WordPress plugins and themes
- Core WordPress files
Ye sare steps bahut important hai kyunki ye apko kuch ghalat hone par backup se WordPress ko restore karne ka permition deta hai. WordPress ka poora backup create karne ke liye WordPress ka complete backup kare ko follow kar sakte hai.
Ek baar jab aap pura backup bana lete hai, aur use ek alag jagah store kare (apne computer ya cloud storage jaise Google Drive), Then aap next step par move kar sakte hai.
Upgrading WordPress to The Latest Version
Apne WordPress site ko update karne ke liye do asaan method hai. Ek automatic hai aur dusra manual hai. Ham yaha dono method janenge.
Method 1: Updating WordPress using the Built-in System (1-Click)
Ye method bahut hi asan aur sabhi users ke liye recommended bhi hai.
Sabse pahle apne WordPress website ke admin area me log in kare aur Dashboard » Updates page par jaye. Next aap dekhenge ki WordPress ka new version available hai.
Ab aap bass update shuru karne ke liye “Update Now” button par click kare.
WordPress ab software ke new version ko laega aur ise apke liye install karega. Aap apne screen par update ke progress ko dekhenge. Upgrade hone ke dauraan, WordPress apki site ko maintenance mode me rakhta hai.
Apki site abhi bhi users ko dikhai degi, Lekin aap update hone dauran plugin ya theme install nahi kar paenge.
Update complete hone ke baad apko WordPress welcome screen par redirect kiya jaega. Sare release ke basis par aap ek page dekh sakte hai, jisme bataya gaya hai ki WordPress me new kiya kiya hai aur apko kon se kon se features try karne chahiye.
That’s all, Aap ne latest version me WordPress ko successfully update kar liya hai.
Method 2: Manually Update WordPress Using FTP
Iss method me WordPress files ko manually upload karne ke liye FTP ka use karna hai . Agar kisi reason se method 1 work nahi kar raha hai to iss Method 2 ka use kar sakte hai.
Sabse pahle aap WordPress latest version download kare. WordPress Download page par jaye aur “Download” button par click kare.
Apka browser WordPress ko ek zip file me download karega. Download hone ke baad zip file ko extract kare. Extract karne ke baad apko“WordPress” folder milega jisme update hone wale sare files available rahte hain.
Browser WordPress ko ek zip file me download karta hai. Download hone ke baad zip file ko extract kare. Extract karne ke baad uske “WordPress” folder update hone wale sare files available rahenge.
Next, Ab apna FTP account open kar ke apni website se connect kare. Agar janna chahte hai ki FTP ko website se kaise connect karenge to separate article WordPress site ko FTP Se Kaise Connect Kare padh sakte hai. FTP account ko website se Connect karne ke baad, Local file column me zip file se extracted “WordPress” file me jaye.
Remote file column me, Apni website ke root folder me jaye. Ye folder public_html ho sakta hai ya fir apke wbsite ke domain name ke naam par ho sakta hai. Iss folder ke andar apko apni WordPress files aur folder dikhai degi.
Apne computer par WordPress folder ke andar sabhi files ko selec kar ke right click kare.
Apka FTP client apke computer se WordPress files ko apki website par upload karna shuru kar dega. Jabki apke website par pahle se hi same name wali old file available hai. Then aapse puchha jaega ki aap unn files ka kiya karna chahte hai. to aap “Overwrite” ko mark kare aur “Always use this action” par mark kare.
Ye ensure karta hai ki, WordPress website ke sabhi files new version files me replaced ho jata hai.
Ek baar uploaded complete ho jane ke baad, Apne WordPress admin area me jana hai. Ye step zaruri hai kyunki kabhi-kabhi WordPress ke new version ko bhi apne WordPress database ko update karne ki zarurat hoti hai.
Apne WordPress website ke admin panel me login kare aur check kare ki apke pass Dashboard > Updates par navigate kar ke koi notification hai ya nahi. Agar apko kuch aisa dikhai deta hai ki database update karne ki zarurat hai, to apko apne site ke database ko update karna zaruri hai.
Aiese situation me WordPress Database update ko karne ke liye “WordPress database update” button par click kare.
Things to do After The Update
Ek baar jab aap WordPress ko apni website par upgrade kar lete hai, to apko make sure karne ki zarurat hoti hai ki sab kuch achhe se work kar raha hai. Bass ek new browser window me apni website par jaye aur WordPress admin area me settings par dhayan de.
Agar aap kisi issue par aate hai, to aap hamare WordPress solution page par nazar dale. Ise follow kar ke jis problem ko face kar rahe hai, uss problem ko figure out kar sakte hai.
To Doston bas itna hi, Ummid hai aapko ye article (WordPress Update Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- Beginner’s Guide: WordPress Update Kaise Kare
- WordPress Me Autoblog Create Kaise Kare ?
- Google Analytics Admin Dashboard Set Up Kaise Kare ?
- WordPress Yoast SEO Plugin Install and Setup Kaise Kare ?
- Step by Step – WordPress SEO Complete Guide for Beginners