WordPress blog create karne ke series me aaj is post me hum aapko batayenge ke aap WordPress Theme Install Kaise Kare ? Is series me Abtak aapne sikha hai :-
- Apne Blog ke liye hosting kaise kharide
- Domain Name Register kaise kare
- WordPress kaise Install kare
- WordPress blog create karne ke baad zaroori settings
- WordPress Plugin Install kaise kare
WordPress Plugins ki tarh hi hum WordPress Theme ko bhi WP dashboard aur FTP se download kar sakte hai. Is post me hum aapko dono method se theme ko install karna batayenge.
WordPress Plugins ki tarh hi hum WordPress Theme ko bhi WP dashboard aur FTP se download kar sakte hai. Is post me hum aapko dono method se theme ko install karna batayenge.
Beginners hone ki wajah se jub tak aapko aapke need ke hisab se koi accha theme nahi mil jata aap apne site pe kuch theme ko try karna chahenge. Aapne shayad suna hoga ke WordPress ke liye hazaro free aur paid WordPress Theme available hai. Aap niche diye gaye resources ki help se WordPress themes ko download kar sakte hai. Shuruaat me apne blog ke liye free theme use karna aapki liye sahi rahega par website grow hone ke baad agar aap apne site ko ek professional look dena chahte hai to aap premium theme ka use kar sakte hai.
WordPress Plugins ki tarh hi hum WordPress Theme ko bhi WP dashboard aur FTP se download kar sakte hai. Is post me hum aapko dono method se theme ko install karna batayenge.
Beginners hone ki wajah se jub tak aapko aapke need ke hisab se koi accha theme nahi mil jata aap apne site pe kuch theme ko try karna chahenge. Aapne shayad suna hoga ke WordPress ke liye hazaro free aur paid WordPress Theme available hai. Aap niche diye gaye resources ki help se WordPress themes ko download kar sakte hai. Shuruaat me apne blog ke liye free theme use karna aapki liye sahi rahega par website grow hone ke baad agar aap apne site ko ek professional look dena chahte hai to aap premium theme ka use kar sakte hai.
- WordPress official Theme directory ( Free Themes)
- Genesis WordPress Theme (SEO optimized Theme)
- Elegant WordPress theme club
WordPress theme ko install karne se pahle aapko kisi bhi theme ko preview kar ke dekh lena chahye ke wo theme aapke site pe kaisa dikhega. Agar aapko wo theme accha lage to aap use install kar sakte hai.
Aap WP dashboard se free directory theme install kar sakte hai. Ya phir .zip file bhi install kar sakte hai. To aaye dekhte hai ke WP dashboard se theme ko kaise install kare.
Dashboard se WordPress Theme Install Kaise Kare ?
Dashboard se theme ko install karne ke do ways hai jiski help se aap theme ko wp dashboard se install kar sakte hai.
- Search and install method
- Upload and install method
Search and Install Method :
Agar aap WordPress.org themes directory se free WordPress theme download karna chahte hai to WordPress admin theme search functionality ka use karna sabse aasan tareeqa hai.
Iske liye sabse pahle aapko apne WordPress admin area me login karna hoga. Uske baad dashboard ke Appearance me jakar Theme ke option ko select karna hoga. Uske baad top me aa rahe Add new ke option pe click karna hoga.
Add New pe jane ke baad aapke samne ek page open hoga jisme aapko Featured, Popular, Latest, favourite, or feature filter ke options milenge jisme ja kar aap apne theme search kar sakte hai.
search bar me jis theme ko install karna chahte hai uska naam likhe. Humne theme ko search kiya hai. Aapke search basis pe ek theme ya theme ke list appear ho jayenge. Jis theme ko aapko install karna hai uspe cursor ko le jaye, wahan pe aapko install aur preview ka option dikhega.
Aap Preview ke option pe ja kar theme ko preview kar ke dekh sakte hai ke aapki site is theme ko install karne ke baad kis tarah ki dekhegi.
Theme ko install karne ke liye aap Install pe click kare. Theme Install ho jane ke baad theme ko Activate kar den, aapka theme successfuly install aur activate ho jayega.
Upload and Install Method :
Search and install method ki help se aap sirf WordPress.org theme’s directory ke free theme ko install kar sakte hai. Agar aap premium ya custom theme install karna chahte hai to aapko WordPress admin me upload method ka use karna hoga.
Search method se theme ko install karne ke liye sab se aapko us .zip file ko download karna hoga jise aapne kisi marketplace ya commercial theme provider se purchase kiya hai.
Uske baad apne WordPress admin area me login ho aur Appearance me Themes ke option pe jaye aur Add new pe click kare.
Add New pe jane ke bad aapko Upload Theme ka option dikhega uspe click kare aur choose file pe click kar ke .zip file ko apne computer ke drive se select kare aur Install ke option pe click kare.
Theme ke successfully install ho jane ke baad theme ko activate aur preview karne ka ek link aayega uspe click kar ke aap theme ko activate kar sakte hai.
Install WordPress Theme Using FTP Method :
FTP method aapke tab kaam aata hai hai jub aapka server security aapko dashboard se theme aur plugins ko install karne ke liye allow nahi karta hai.
FTP method ka use karne ke liye aapke pass FTP software jaise
FileZilla hona chahye. FTP ke sath hi aapke pass .zip file ko unpack karne ke liye WinRAR jaise file ki zaroorat hogi.
FTP method ka use karne ke liye sab se pahle hame .zip file ko unzip karna hoga. Theme file ko unzip karne ke liye aap WinRAR ko official site se download kar sakte hai.
Install ho jane ke baad theme ke .zip folder pe right click kare aur unzip ke option ko select kare.
Ab apne FTP manager me login kare aur wp-content/Themes folder ko locate kare. Yahan pe apne theme folder ko upload kare.
Theme ko upload karne ke baad aap apne WordPress admin area me aaye aur Appearance me jakar Theme ke option pe jaye. Aapko apna upload kiya gya theme wahan pe nazar aa jayega. Apne mouse ko theme ke pass le jaye aur Activate ke option pe click kare.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Theme Install Kaise Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?